Imaan O Aqeedat Ki Ye Taabeer Nahin Hai Naat Lyrics || Barkate Raza


Imaan O Aqeedat Ki Ye Taabeer Nahin Hai Hazrat Tajush Shariah Allama Akhtar Raza Khan Al-Azhari Ki Shaan Me Likhi Gayi Ek Nihayat Hi Roohani Aur Buland-Khayal Manqabat-E-Paak Hai. Is Khubsurat Kalam Ko Mashhoor Naat Khwan Al-Haaj Asad Iqbal Ne Apni Behad Dilkash Aur Buland Aawaz Me Pesh Kiya Hai.

Naat InformationDetails
Naat TitleImaan O Aqeedat Ki Ye Taabeer Nahin Hai
Poet / WriterUnknown
CategoryManqabat e Tajush Shariah
Naatkhawan / ReciterAsad Iqbal
Book NameBarkate Raza Naat Book

Imaan O Aqeedat Ki Ye Taabeer Nahin Hai Lyrics In Roman

Imaan O Aqeedat Ki Ye Taabeer Nahin Hai
Seene Mein Madine Ki Jo Tasveer Nahin Hai

Sunte Hain Dhadak Uthta Hai Imaan Ka Seena
Kaise Main Kahoon Naat Mein Taaseer Nahin Hai

Chakra Ke Wahin Aondhe Jahannam Mein Girenge
Jin Pairon Mein Imaan Ki Zanjeer Nahin Hai

Hai Mufti E Azam Ki Nigahon Ki Amanat
Akhtar Raza Kisi Ki Bhi Jageer Nahin Hai

Kya Kilk E Raza Taj E Shariat Ko Mila Hai
Larte Hain Magar Haath Mein Shamsheer Nahin Hai

Imaan O Aqeedat Ki Ye Taabeer Nahin Hai Lyrics In Hindi

ईमान-ओ-अक़ीदत की ये ताबीर नहीं है
सीने में मदीने की जो तस्वीर नहीं है

सुनते हैं धड़क उठता है ईमान का सीना
कैसे में कहूं नात में तासीर नहीं है

चक्रा के वहीँ औंधे जहन्नम में गिरेंगे
जिन पैरों में ईमान की जंज़ीर नहीं है

है मुफ़्ती-ए-आज़म की निगाहों की अमानत
अख़्तर रज़ा किसी की भी जागीर नहीं है

क्या किल्क-ए-रज़ा ताज-ए-शरीयत को मिला है
लड़ते हैं मगर हाथ में शमशीर नहीं है

Imaan O Aqeedat Ki Ye Taabeer Nahin Hai Lyrics In Urdu

ایمان و عقیدت کی یہ تعبیر نہیں ہے
سینے میں مدینے کی جو تصویر نہیں ہے

سنتے ہیں دھڑک اٹھتا ہے ایمان کا سینہ
کیسے میں کہوں نعت میں تاثیر نہیں ہے

چکرا کے وہیں اوندھے جہنم میں گریں گے
جن پیروں میں ایمان کی زنجیر نہیں ہے

ہے مفتیِ اعظم کی نگاہوں کی امانت
اخترؔ رضا کسی کی بھی جاگیر نہیں ہے

کیا کلکِ رضاؔ تاجِ شریعت کو ملا ہے
لڑتے ہیں مگر ہاتھ میں شمشیر نہیں ہے

Leave a Comment