Musallam Hai Muhammad Se Wafa Siddiq-e-Akbar Ki Lyrics
Musallam Hai Muhammad Se Wafa Siddiq-E-Akbar Ki
Nahin Bhooli Hai Duniya Ko Ada Siddiq-E-Akbar Ki
Ham Un Ki Madh-Goi Daakhil-E-Sunnat Na Kyun Samjhen
Nabi Taa’reef Karte The Sada Siddiq-E-Akbar Ki
Rasoolullah Ke Lutf-O-Karam Se Ye Mila Rutba
Madad Karta Raha Har-Dam Khuda Siddiq-E-Akbar Ki
Kalaamullah Men Hai Tazkira Un Ke Mahaamid Ka
Zamaane Se Bayaan Ho Shaan Kya Siddiq-E-Akbar Ki
Najaabat Men Sharaafat Men Rafaaqat Men Sakhaawat Men
Hui Shohrat Ye Kis Ki Jaa-Ba-Jaa ? Siddiq-E-Akbar Ki
Wo Khud Ik Sidq The Koi Agar Is Raaz Ko Jaane
Sadaaqat Hi Sadaaqat Thi Sada Siddiq-E-Akbar Ki
Zameen Par Dhoom Hai Un Ki Falak Par Un Ke Charche Hain
Zameen-O-Aasmaan Par Hai Sana Siddiq-E-Akbar Ki
Muarrikh Dam-Ba-Khud Hai Sar-Ba-Sajda Hai Qalam Us Ka
Ta’aalallah ! Ye Shaan-E-‘Ula Siddiq-E-Akbar Ki
Jo Un Ka Hai Rasoolullah Us Ke Hain Khuda Us Ka
Wilaayat Ka Waseela Hai Wila Siddiq-E-Akbar Ki
Kami Kaisi Naseer ! Un Ke Madaarij Men Maraatib Men
Badi Tauqeer Hai Naam-E-Khuda ! Siddiq-E-Akbar Ki
Musallam Hai Muhammad Se Wafa Siddiq-e-Akbar Ki Lyrics
मुसल्लम है मुहम्मद से वफ़ा सिद्दीक़-ए-अकबर की
नहीं भूली है दुनिया को अदा सिद्दीक़-ए-अकबर की
हम उन की मदह-गोई दाख़िल-ए-सुन्नत न क्यूँ समझें
नबी ता’रीफ़ करते थे सदा सिद्दीक़-ए-अकबर की
रसूलुल्लाह के लुत्फ़-ओ-करम से ये मिला रुत्बा
मदद करता रहा हर-दम ख़ुदा सिद्दीक़-ए-अकबर की
कलामुल्लाह में है तज़्किरा उन के महामिद का
ज़माने से बयाँ हो शान क्या सिद्दीक़-ए-अकबर की
नजाबत में, शराफ़त में, रफ़ाक़त में, सख़ावत में
हुई शोहरत ये किस की जा-ब-जा ? सिद्दीक़-ए-अकबर की
वो ख़ुद इक सिद्क़ थे, कोई अगर इस राज़ को जाने
सदाक़त ही सदाक़त थी सदा सिद्दीक़-ए-अकबर की
ज़मीं पर धूम है उन की, फ़लक पर उन के चर्चे हैं
ज़मीन-ओ-आस्माँ पर है सना सिद्दीक़-ए-अकबर की
मुअर्रिख़ दम-ब-ख़ुद है, सर-ब-सज्दा है क़लम उस का
त’आलल्लाह ! ये शान-ए-‘उला सिद्दीक़-ए-अकबर की
जो उन का है, रसूलुल्लाह उस के हैं, ख़ुदा उस का
विलायत का वसीला है विला सिद्दीक़-ए-अकबर की
कमी कैसी, नसीर ! उन के मदारिज में, मरातिब में
बड़ी तौक़ीर है, नाम-ए-ख़ुदा ! सिद्दीक़-ए-अकबर की