Al Madad Khwaja-e-Deen Hind Ke Mah-e-Mubeen Lyrics
Al-Madad Khwaja-E-Deen !
Hind Ke Maah-E-Mubeen !
Ik Dasht Ko Khwaja Ne Gulzaar Banaaya Hai
Ik Waadi-E-Zulmat Ko Zau-Baar Banaaya Hai
Allah Ne Khwaja Ko Mukhtaar Banaaya Hai
Kul Hind Ke Waliyon Ka Sardaar Banaaya Hai
Al-Madad Khwaja-E-Deen !
Hind Ke Maah-E-Mubeen !
Ab Qalb-O-Nazar Sab Kuchh Jaageer Tumhaari Hai
Har Dil Ki Satah Par Ab Tasweer Tumhaari Hai
Ho Kufr Ki Gardan Kham Kyun-Kar Na Tere Aage
Kirdaar-E-Mu’azzam Jab Shamsheer Tumhaari Hai
Al-Madad Khwaja-E-Deen !
Hind Ke Maah-E-Mubeen !
Gul Ban Ke Mahak Utha Jo Tujh Se Juda Khwaja !
Wo Garq Huwa Samjho Jo Tujh Se Phira Khwaja !
Kyun-Kar Na Hon Girweeda Ham Teri Buzurgi Par
Naazaan Hai Tere Upar Jab Peer Tera Khwaja !
Al-Madad Khwaja-E-Deen !
Hind Ke Maah-E-Mubeen !
Kashmir Se Taamil Tak Us Ka Hi ‘Ilaaqa Hai
Bhaarat Ka Har Ik Zarra Us Ka Hi Asaasa Hai
Kurshi Pe Koi Baithe Kya Is Se Garaz Ham Ko
Taa-Hashr Mera Khwaja Is Hind Ka Raja Hai
Al-Madad Khwaja-E-Deen !
Hind Ke Maah-E-Mubeen !
Rehmat Ki Fazaaon Men Baa-Khair Chale Jaao
Duniya Ki Mahaafil Se Rukh Pher Chale Jaao
Milna Hai Agar Tum Ko Bhaarat Ke Shahanshah Se
Lo Izn Bareli Se Ajmer Chale Jaao
Al-Madad Khwaja-E-Deen !
Hind Ke Maah-E-Mubeen !
Laakhon Ko Mere Khwaja Ne Kalma Padhaya Hai
Bhaarat Ke Muqaddar Ko Khwaja Ne Jagaaya Hai
Kashkol Men Khwaja Ne Dariya Ko Samaaya Hai
Allah Ki Qudrat Ka Kya Jalwa Dikhaaya Hai
Al-Madad Khwaja-E-Deen !
Hind Ke Maah-E-Mubeen !
Zulmat Ki Nafas Ko Phir Ya Rab ! Tu Dhuwan Kar De
Ajmer Ke Gulshan Se Ab Door Khizan Kar De
Fitteen Mujaawar Ko Ya Raah-E-Hidaayat De
Ya In Ko Zamaane Se Be-Naam-O-Nishan Kar De
Al-Madad Khwaja-E-Deen !
Hind Ke Maah-E-Mubeen !
Sooraj Ko Bhi Sharma De Zarra Mere Khwaja Ka
Dariya Ko Dubo De Ik Qatra Mere Khwaja Ka
Hai Hind Ki Har Shai Par Qabza Mere Khwaja Ka
Khushki Mere Khwaja Ki Dariya Mere Khwaja Ka
Al-Madad Khwaja-E-Deen !
Hind Ke Maah-E-Mubeen !
Khurshid-E-Zameen Tum Ho Mahtaab-E-Gagan Tum Ho
Zahra Ke Lahoo Ibn-E-Sultaan-E-Zaman Tum Ho
Allah Ki Rehmat Se Bakhshish Ki Kiran Tum Ho
Ajmer Ki Dharti Par Aur Jalwa-Figan Tum Ho
Al-Madad Khwaja-E-Deen !
Hind Ke Maah-E-Mubeen !
Shabbir Ne Karbal Men Ik Deen Ko Bachaaya Hai
Is Deen Ko Khwaja Ne Phir Hind Men Laaya Hai
Fitnon Se Raza Ne Phir Jab Deen Ye Bachaaya Hai
Tab Jaa Ke Kahin Ham Ne Is Deen Ko Paaya Hai
Al-Madad Khwaja-E-Deen !
Hind Ke Maah-E-Mubeen !
Gardish Se Pareshan Dil Haalaat Ka Maara Hai
Gam Is Ko Sataae Ye Kab Tujh Ko Gawaara Hai
Tugyaani Men Kashti Hai Aur Door Kinaara Hai
Ai Doobton Ke Waali ! Ab Tera Sahaara Hai
Al-Madad Khwaja-E-Deen !
Hind Ke Maah-E-Mubeen !
Hai Gulshan-E-Hasti Men Nikhat Mere Khwaja Ki
Sad-Shukr Ki Hai Dil Men Ulfat Mere Khwaja Ki
Kaunain Men Gar Tujh Ko Nusrat Ki Tamanna Hai
Ayyub Shikasta ! Kar Midhat Mere Khwaja Ki
Al-Madad Khwaja-E-Deen !
Hind Ke Maah-E-Mubeen !
Ayyub Na Bhoolega Khwaja ! Tere Ehsan Ko
Sairaab Kiya Tu Ne Ummat Ke Gulistan Ko
Pashti Se Bulandi De Phir Qaum-E-Musalman Ko
Taskeen-E-Atam De De Har Qalb-E-Pareshan Ko
The Harmonious Blend of Spirituality and Art: A Journey Through Naatkhawan.com
Learn to Read the Quran with Noorani Qaida: Your Guide to Perfect Pronunciation
Shab E Barat Ki Fazilat | Shab E Barat Ki Namaz | Faqeere Aalahazrat | 2023
Ramadan Kareem | Ramadan Kareem Ki Fazilat | Roza Chorne Ka Nuksaan | 2023
Eid Mubarak Bayan | Eid Mubarak Images | Wishes 2023
Namaz Ka Tarika | Step By Step With Tarjuma 2023 | Namaz Kaise Padhe
Durood e Ibrahim Sharif In Hindi English Urdu | Durood Sharif
अल-मदद, ख़्वाजा-ए-दीं !
हिन्द के माह-ए-मुबीं !
इक दश्त को ख़्वाजा ने गुलज़ार बनाया है
इक वादी-ए-ज़ुल्मत को ज़ौ-बार बनाया है
अल्लाह ने ख़्वाजा को मुख़्तार बनाया है
कुल हिन्द के वलियों का सरदार बनाया है
अल-मदद, ख़्वाजा-ए-दीं !
हिन्द के माह-ए-मुबीं !
अब क़ल्ब-ओ-नज़र सब कुछ जागीर तुम्हारी है
हर दिल की सतह पर अब तस्वीर तुम्हारी है
हो कुफ़्र की गर्दन ख़म क्यूँ-कर न तेरे आगे
किरदार-ए-मु’अज़्ज़म जब शमशीर तुम्हारी है
अल-मदद, ख़्वाजा-ए-दीं !
हिन्द के माह-ए-मुबीं !
गुल बन के महक उठा, जो तुझ से जुड़ा, ख़्वाजा !
वो ग़र्क़ हुवा समझो, जो तुझ से फिरा, ख़्वाजा !
क्यूँ-कर न हों गिरवीदा हम तेरी बुज़ुर्गी पर
नाज़ाँ है तेरे ऊपर जब पीर तेरा, ख़्वाजा !
अल-मदद, ख़्वाजा-ए-दीं !
हिन्द के माह-ए-मुबीं !
कश्मीर से तामिल तक उस का ही ‘इलाक़ा है
भारत का हर इक ज़र्रा उस का ही असासा है
कुर्शी पे कोई बैठे, क्या इस से ग़रज़ हम को
ता-हश्र मेरा ख़्वाजा इस हिन्द का राजा है
अल-मदद, ख़्वाजा-ए-दीं !
हिन्द के माह-ए-मुबीं !
रहमत की फ़ज़ाओं में बा-ख़ैर चले जाओ
दुनिया की महाफ़िल से रुख़ फेर चले जाओ
मिलना है अगर तुम को भारत के शहंशाह से
लो इज़्न बरेली से अजमेर चले जाओ
अल-मदद, ख़्वाजा-ए-दीं !
हिन्द के माह-ए-मुबीं !
लाखों को मेरे ख़्वाजा ने कलमा पढ़ाया है
भारत के मुक़द्दर को ख़्वाजा ने जगाया है
कश्कोल में ख़्वाजा ने दरिया को समाया है
अल्लाह की क़ुदरत का क्या जल्वा दिखाया है
अल-मदद, ख़्वाजा-ए-दीं !
हिन्द के माह-ए-मुबीं !
ज़ुल्मत की नफ़स को फिर, या रब ! तू धुवाँ कर दे
अजमेर के गुलशन से अब दूर ख़िज़ाँ कर दे
फ़ित्तीन मुजावर को या राह-ए-हिदायत दे
या इन को ज़माने से बे-नाम-ओ-निशाँ कर दे
अल-मदद, ख़्वाजा-ए-दीं !
हिन्द के माह-ए-मुबीं !
सूरज को भी शर्मा दे ज़र्रा मेरे ख़्वाजा का
दरिया को डुबो दे इक क़तरा मेरे ख़्वाजा का
है हिन्द की हर शय पर क़ब्ज़ा मेरे ख़्वाजा का
ख़ुश्की मेरे ख़्वाजा की, दरिया मेरे ख़्वाजा का
अल-मदद, ख़्वाजा-ए-दीं !
हिन्द के माह-ए-मुबीं !
ख़ुर्शीद-ए-ज़मीं तुम हो, महताब-ए-गगन तुम हो
ज़हरा के लहू, इब्न-ए-सुल्तान-ए-ज़मन तुम हो
अल्लाह की रहमत से बख़्शिश की किरन तुम हो
अजमेर की धरती पर और जल्वा-फ़िगन तुम हो
अल-मदद, ख़्वाजा-ए-दीं !
हिन्द के माह-ए-मुबीं !
शब्बीर ने कर्बल में इस दीं को बचाया है
इस दीन को ख़्वाजा ने फिर हिन्द में लाया है
फ़ित्नों से रज़ा ने फिर जब दीं ये बचाया है
तब जा के कहीं हम ने इस दीन को पाया है
अल-मदद, ख़्वाजा-ए-दीं !
हिन्द के माह-ए-मुबीं !
गर्दिश से परेशाँ दिल हालात का मारा है
ग़म इस को सताए ये कब तुझ को गवारा है
तुग़्यानी में कश्ती है और दूर किनारा है
ऐ डूबतों के वाली ! अब तेरा सहारा है
अल-मदद, ख़्वाजा-ए-दीं !
हिन्द के माह-ए-मुबीं !
है गुलशन-ए-हस्ती में निकहत मेरे ख़्वाजा की
सद-शुक्र कि है दिल में उल्फ़त मेरे ख़्वाजा की
कौनैन में गर तुझ को नुसरत की तमन्ना है
अय्यूब शिकस्ता ! कर मिदहत मेरे ख़्वाजा की
अल-मदद, ख़्वाजा-ए-दीं !
हिन्द के माह-ए-मुबीं !
अय्यूब न भूलेगा, ख़्वाजा ! तेरे एहसाँ को
सैराब किया तू ने उम्मत के गुलिस्ताँ को
पश्ती से बुलंदी दे फिर क़ौम-ए-मुसलमाँ को
तस्कीन-ए-अतम दे दे हर क़ल्ब-ए-परेशाँ को