Qareeb-E-Mustafa He Koi Koi lyrics || Barkate Raza

Yeh Nihayat Hi Khoobsurat Aur Roohani Naat Sharif “Qareeb-E-Mustafa He Koi Koi” Aqeedat Ke Saath Pesh Hai. Is Pakeeza Kalam Mein Huzoor E Akram ﷺ Ki Qurbat Aur Unke Ishq Ki Haqeeqat Ko Bohat Hi Pyare Andaaz Mein Bayan Kiya Gaya Hai.

Naat InformationDetails
Naat TitleQareeb-E-Mustafa He Koi Koi
Poet / WriterAllama Muhammad Naeem Nagori Naqshbandi
CategoryNaat Lyrics
Naatkhawan / ReciterAlhajj Syed Fasihuddin Soharwardi
Book NameBarkate Raza Naat Book

Qareeb-E-Mustafa He Koi Koi Lyrics In Roman

Qareeb E Mustafa Sallallahu Alayhi Wa Sallam Hai Koii Koii
Mazay Yay Luutt-Ta He Koii Koii

Bashar Samjha Unhayn Laakhon Nay Laykin
Haqeeqat E Aashna He Koii Koii

Ghaneemat Jaan Jitni Bhi Mili He
Kay Mekhaana Khula He Koii Koii

Madinay Pohnchtay Hain Yuun To Laakhon
Par Madina Dekhta He Koii Koii

Tayray Rozay Ki Noori Jaaliyon Ko
Nazar Say Choomta Hai Koi Koi

Qareeb-E-Mustafa He Koi Koi Lyrics In Hindi

क़रीब ए मुस्तफ़ा सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम है कोई कोई
मज़े ये लूटता है कोई कोई

बशर समझा उन्हें लाखों ने लेकिन
हक़ीक़त ए आश्ना है कोई कोई

ग़नीमत जान जितनी भी मिली है
के मैख़ाना खुला है कोई कोई

मदीने पहुँचते हैं यूँ तो लाखों
पर मदीना देखता है कोई कोई

तेरे रौज़े की नूरी जालियों को
नज़र से चूमता है कोई कोई

Qareeb-E-Mustafa He Koi Koi Lyrics In Urdu

قریبِ مصطفیٰ ﷺ ہے کوئی کوئی
مزے یہ لوٹتا ہے کوئی کوئی

بشر سمجھا انہیں لاکھوں نے لیکن
حقیقتِ آشنا ہے کوئی کوئی

غنیمت جان جتنی بھی ملی ہے
کہ مے خانہ کھلا ہے کوئی کوئی

مدینے پہنچتے ہیں یوں تو لاکھوں
پر مدینہ دیکھتا ہے کوئی کوئی

تیرے روضے کی نوری جالیوں کو
نظر سے چومتا ہے کوئی کوئی

Leave a Comment