Farishte Kya cheez hai?

Farishte Kya cheez hai?

 

SAWAAL: Farishte Kya cheez hai ?

JAWAAB: Faishte Insaan ki tarah maqluq hai, lekin woh noor se paida kiye gaye hai. Na woh mard hai, na woh aurat hai, na kuch khaate hai, na kuch peete hai, jitne kaam khudaaye ta’ala ne unke supurd kiya hai usi me lage rehte hai. Kuch Farishte Bandon ka achcha bura amal likhne par muqarar hai jinko KIRAAMAN, KAATIBEEN kaha jaata hai. Kuch Farishte Qabr me murdon se sawaal karne par muqarar hai jinko MUNKAR, NAKEER kaha jaata hai. Aur kuch Farishte Huzur Swallallaahu alaihi wa sallam ke darbaar me musalmaano ke darood wa salaam pahunchane par muqarar hai. Unke alaawa aur bhi bahut se kaam hai unme chaar Farishte bahut mashoor hai, Awwal Hazrath-E-JIBRAEEL Alaihissalaam jo ALLAAH ta’ala ke Ahekaam paigambaro tak pahunchate hai. Dusre Hazrath-E-ISRAFEEL Alaihissalaam jo Qiyamat ke din soor Phunkenge. Teesre Hazrath-E-MIKAEEL Alaihissalaam jo Paani barsane aur Rozi pahunchane par muqarar hai. Aur Chauthe Hazrath-E-IZRAEEL Alaihissalaam jo logon ki Jaan nikaalne par muqarar hai. Jo shaks yeh kahe Farishta koi cheez nahi ya yeh kahe ki Farishta neki ki khuwwat ka naam hai too woh kaafir hai.

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: