Sarkar E Do Aalam Ke Pyaare Chacha Ke Bete Aur Daamad Hazrat Maula Ali Mushkil Kusha Ki Shaan Mein Likha Gaya Yeh Haseen Kalam Dilon Ko Nooraani Aur Ishq E Haider Se Labrez Karta Hai. Aaiye Is Pyari Manqabat Ke Zariye Apne Qalbi Talluq Ko Mazeed Mazboot Banayein Aur Barkatein Haasil Karein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Ya Ali Aap Ko Mana Jaaye |
| Poet / Writer | Tariq Mehmood Mitha |
| Category | Manqabat E Maula Ali |
| Naatkhawan / Reciter | Abbas Anand Abdali |
| Book Name | Barkate Raza Naat Book |
Ya Ali Aap Ko Mana Jaaye Lyrics In Roman
Ya Ali Aap Ko Mana Jaaye
Aur Jahannum Mein Zamana Jaaye
Aapke Ghar Ka Ye Aayeen Raha
Deen Bach Jaaye Gharana Jaaye
Dil Mein Rakhta Hai Jo Bughz E Haidar
Uska Sajda Bhi Na Maana Jaaye
Har Taraf Gooñj Hai Haidar Haidar
Jis Taraf Bahlol Diwana Jaaye
Ye Wohi Dar Hai Jahañ Se Raahap
Leke Beitoñ Ka Khazana Jaaye
Ya Ali Aap Ko Mana Jaaye
Aur Jahannum Mein Zamana Jaaye
Ya Ali Aap Ko Mana Jaaye Lyrics In Hindi
या अ़ली आपको माना जाए
और जहन्नुम में ज़माना जाए
आपके घर का ये आईन रहा
दीन बच जाए घराना जाए
दिल में रखता है जो बुग़्ज़ ए हैदर
उसका सज्दा भी ना माना जाए
हर तरफ़ गूंज है हैदर हैदर
जिस तरफ़ बहलोल दिवाना जाए
यह वोही दर है जहां से राहप
लेके बेटों का खज़ाना जाए
या अ़ली आपको माना जाए
और जहन्नुम में ज़माना जाए
Ya Ali Aap Ko Mana Jaaye Lyrics In Urdu
یا علی آپ کو مانا جائے
اور جہنم میں زمانہ جائے
آپ کے گھر کا یہ آئین رہا
دین بچ جائے گھرانہ جائے
دل میں رکھتا ہے جو بغضِ حیدر
اس کا سجدہ بھی نہ مانا جائے
ہر طرف گونج ہے حیدر حیدر
جس طرف بہلول دیوانہ جائے
یہ وہی در ہے جہاں سے راہپ
لے کے بیٹوں کا خزانہ جائے
یا علی آپ کو مانا جائے
اور جہنم میں زمانہ جائے