chashm-e-tar ka asar dekhte reh gaye Lyrics
chashm-e-tar ka asar dekhte reh gaye
un ko pesh-e-nazar dekhte reh gaye
bagh-e-janat ke jalwe nazar aaein ge
sabz gumbad agar dekhte reh gaye
aye noori farishte madeene mein jab
noor wale ka ghar dekhte reh gaye
rasta un ko dargahe haq tak mila
mustafa ka jo dar dekhte reh gaye
zikr un ka mudawa-e-ghum jab bana
mon mera charagar dekhte reh gaye
kaisi meraj bakhshi khuda ne hamein
un ke qadmoon pe sar dekhte reh gaye
jo mohabbat Muhammad se karte hain
dil mein rab ka guzar dekhte reh gaye
shehr-e-tayba ki har ik gali mein riyaz
khuld ki rahguzar dekhte reh gaye