Khuda Ke Fazal Se Hum Par He Saya Ghous E Azam Ka Lyrics
Khuda Ke Fazl Se Hum Par He Saya Ghous E Azam Ka
Humen Dono Jahan Me He Sahara Ghous E Azam Ka
Muhammed Ka Rasoolo Me He Jaise Martaba A’ala
He Afzal Awliya Me Yun Hi Rutba Ghous E Azam Ka
Mureedi La-Takhaf Keh Kar Tasalli Di Ghulamo Ko
Qayamat Tak Rahe Be-Khauf Banda Ghous E Azam Ka
Hamari Laj Kiske Hath He Baghdad Wale Ke
Musibat Tal Dena Kam Kiska Ghous E Azam Ka
Gaye Ek Waqt Me Sattar Mureedo Ke Yaha Hazrat
Samajh Me A Nahi Sakta Muamma Ghous E Azam Ka
Luab Apna Chataya Ahmed E Mukhtar Ne Inko
To Phir Kaise Na Hota Bolbala Ghous E Azam Ka
Azizo Kar Chuko Taiyar Jab Mere Janaze Ko
To Likh Dena Kafan Par Nam E Wala Ghous E Azam Ka
Farishto Rokte Ho Kyu Mujhe Jannat Me Jane Se
Ye Dekho Hath Me Daman He Kiska Ghous E Azam Ka
Lahad Me Jab Farishte Mujhse Poochenge To Keh Dunga
Tariqa Qadri Hu Nam Leva Ghous E Azam Ka
Khudawanda Dua Maqbool Kar Hum Roo Siyaho(N) Ki
Gunahon Ko Hamare Baksh Sadqa Ghous E Azam Ka
Janab Ghous Dulha Aur Barati Auliya Honge
Maza Dikhlayega Mehshar Me Sehra Ghous E Azam Ka
Nida Dega Munadi Hashr Me Yun Qadriyo Ko
Kidhar He Qadri Karle Nazara Ghous E Azam Ka
Mukhalif Kya Kare Mera Ke He Behad Karam Mujh Par
Khuda Ka Rehmatallil A’almeen Ka Ghous E Azam Ka
Farishte Madrasa Tak Sath Pohchane Ko Jate The
Ye Darbar E Ilahi Me He Rutba Ghous E Azam Ka
Salasile Jahan Kyu Gar Na Unke Rob Se Kampe
Na Laya Sher Ko Khatre Me Kutta Ghous E Azam Ka
Jameel E Qadri Sau Jan Ho Qurban Murshid Par
Banaya Jisne Tujh Jaise Ko Banda Ghous E Azam Ka
Khuda Ke Fazal Se Lyrics in Hindi and Roman
खुदा के फ़जल से हम पर है साया ग़ौसे आज़म का
हमें दोनो जहां में है साया ग़ौसे आज़म का
Khuda Ke Fazl Se Hum Par Hai Saaya Ghous E Azam Ka
Humen Dono Jahaan Mein Hai Sahara Ghous E Azam Ka
अजीज़ो कर चुको तैयार जब मेरे जनाज़े को
तो लिख देना कफ़न पर नामे वाला ग़ौसे आज़म का
Azizo Kar Chuko Taiyaar Jab Mere Janaaze Ko
To Likh Dena Kafan Par Naam E Waala Ghous E Azam Ka
फ़रिश्तों रोकते क्यूं हो मुझे जन्नत में जाने से
ये देखो हाथ में दामन है किसका ग़ौसे आज़म का
Firishto Rokte Kyun Ho Mujhe Jannat Me Jaane Se
Ye Dekho Haath Mein Daaman Hai Kiska Ghous E Azam Ka
मुह़म्मद का रसूलों में है जैसे मर्तबा आ़ला
है अफ़ज़ल औलिया मे यूं ही रुत्बा ग़ौसे आज़म का
Muhammed Ka Rasoolo Mein Hai Jaise Martaba A’ala
Hai Afzal Awliya Me Yun Hi Rutba Ghous E Azam Ka
हमारी लाज किसके हांथ है बग़दाद वाले के
मुसीबत टाल देना काम किसका ग़ौसे आज़म का
Hamari Laaj Kiske Haath Hai Baghdad Wale Ke
Musibat Taal Dena Kaam Kiska? Ghous E Azam Ka
गये इक वक़्त में सत्तर मुरीदों के यहां हज़रत
समझ में आ नहीं सकता मुअम्मा ग़ौसे आज़म का
Gaye Ek Waqt Mein Sattar Mureedon Ke Yaha Hazrat
Samajh Me Aa Nahi Sakta Muamma Ghous E Azam Ka
बुला कर काफ़िरों को देते हैं अबदाल का रुतबा
हमेशा जोश में रहता है दरिया ग़ौसे आज़म का
Bula Kar Kafilo Ko Dete Hain Abdar Ka Rutba
Hamesha Josh Me Rehta He Dariya Ghous E Azam Ka
लुआब अपना चटाया अहमदे मुख़्तार ने इनको
तो फिर कैसे ना होता बोलबाला ग़ौसे आज़म का
Luab Apna Chataya Ahmed E Mukhtar Ne Inko
To Phir Kaise Na Hota Bolbaala Ghous E Azam Ka
लहद में जब फ़रिश्ते मुझसे पूछेंगे तो कह दूंगा
तरीक़ा क़ादरी हूं नाम लेवा ग़ौसे आज़म का
Lahad Mein Jab Farishte Mujhse Poochenge To Keh Dunga
Tariqa Qadri Hu Naam Leva Ghous E Azam Ka
खुदा वन्दा दुआ मक़बूल कर रु सियाहों का
गुनाह़ों को हमारे बक्श सदक़ा ग़ौसे आज़म का
Khudawanda Dua Maqbool Kar Hum Roo Siyaho(N) Ki
Gunahon Ko Hamare Baksh Sadqa Ghous E Azam Ka
जनाब ग़ौस दुल्हा और बराती औलिया होंगे
मज़ा दिख लायेगा मह़शर में सहरा ग़ौसे आज़म का
Janaab Ghous Dulha Aur Baraati Auliya Honge
Mazaa Dikhlayega Mehshar Me Sehra Ghous E Azam Ka
मुख़ालिफ़ क्या करे मेरा कि है बेहद करम मुझ पर
खुदा का रह़मतलिल्ल आ़लामीं का ग़ौसे आज़म का
Mukhalif Kya Kare Mera Ke Hai Behad Karam Mujh Par
Khuda Ka Rehmatallil A’almeen Ka Ghous E Azam Ka
फ़रिश्ते मदरसे तक साथ पहुचाने को जाते थे
ये दरवारे इलाही में है रुतबा ग़ौसे आज़म का
Farishte Madrase Tak Saath Pohchaane Ko Jaate The
Ye Darbaar E Ilahi Mein Hai Rutba Ghous E Azam Ka
जमील ए क़ादरी सौ जान से क़ुर्बान मुर्शिद पर
बनाया जिसने मुझ जैसे को बन्दा ग़ौसे आज़म का
Jameel E Qadri Sau Jaan Ho Qurbaan Murshid Par
Banaya Jisne Tujh Jaise Ko Banda Ghous E Azam Ka
– –
|
Khuda Ke Fazal Se Hum Par He Saya Ghous E Azam Ka Lyrics

Khuda Ke Fazal Se Hum Par He Saya Ghous E Azam Ka Lyrics
Khuda Ke Fazl Se Hum Par Hai Saaya Ghaus e Azam ka Lyrics In Urdu with Roman English
خدا کے فضل سے ہم پر ہے سایہ غوث اعظم کا ہماری لاج کس کے ہاتھ ہے بغداد والے کے گئے اک وقت میں ستر مریدوں کے یہاں آقا سلاطین جہاں کیوں کر نہ ان کے رعب سے کانپیں نہ کیوں کر اولیا اس آستانے کے بنیں منگتا بلاکر کافروں کو دیتے ہیں ابدال کا رتبہ نیا ہفتہ، نیا دن، سال نو جس وقت آتا ہے وہ کہہ کر قم باذن اللہ جِلا دیتے ہیں مردوں کو جِلایا استخوانِ مرغ کو دست کرم رکھ کر فرشتے مدرسے تک ساتھ پہنچا نے کو جاتے تھے جو حق چاہے وہ یہ چاہیں، جو یہ چاہیں وہ حق چاہے رہائی مل گئی اس کو عذاب قبر و محشر سے یہ سنتے ہیں نکیرین اس پہ کچھ سختی نہیں کرتے لحد میں جب فرشتے مجھ سے پوچھیں گے تو کہہ دوں گا ندا دے گا منادوی حشر میں یوں قادریوں کو چلا جائے بلا خوف و خطر فردوس اعلیٰ میں فرشتو روکتے ہو کیوں مجھے جنت میں جانے سے جناب غوث دولھا اور براتی اولیا ہوں گے یہ کیسی روشنی پھیلی ہے میدان قیامت میں یہ محشر میں کھلے ہیں گیسوئے عنبر فشاں کس کے محمد ﷺ کا رسولوں میں ہے جیسے مرتبہ اعلیٰ عطا کی ہے بلندی حق نے اہل اللہ کے جھنڈوں کو اسی باعث سے ہیں قبروں میں اپنی اولیا زندہ بلاداللہ ملکی تحت حکمی سے یہ ظاہر ہے (فرمانِ غوثِ اعظم: بِلَادُ اللّہِ مُلْکِیْ تَحْتَ حُکْمِیْ ( Farman e Ghaus e Azam : “Bilaadullahi Mulki Tahta Hukmi” ہوا موقوف فوراً ہی برسنا اہل مجلس پر فقیہوں کے دلوں سے دھو دیا ان کے سوالوں کو سفر سے واپسی میں دین اقدس کو کیا زندہ جو فرمایا کہ دوشِ اولیا پر ہے قدم میرا دمِ فرماں خراساں میں معین الدین چشتی نے نہ کیوں کر سلطنت دونوں جہاں کی ان کو حاصل ہو لعاب اپنا چٹایا احمد مختار نے ان کو رسول اللہ نے خلعت پنہایا برسرِ مجلس محرر چارسو مجلس میں حاضر ہو کے لکھتے تھے کھلے ہفتاد در اک آن میں علم لدنی کے ہمارا ظاہر و باطن ہے ان کے آگے آئینہ پڑھی لاحول اور شیطاں کے دھوکے کو کیا غارت قصیدے میں جناب غوث کے دیکھو نظرت کو رہے پابند احکامِ شریعت ابتدا ہی سے یہ قیدی چھٹ رہے ہیں اس لیے میدان محشر میں گزاری کھیل میں کل، اب ہوئی اعمال کی پرسش کبھی قدموں پہ لوٹوں گا کبھی دامن پہ مچلوں گا سجل ان کو دیا وہ رب نے جس میں صاف لکھا ہے شفا پاتے ہیں صدہا جاں بلب امراض مہلک سے مریدی لا تخف کہہ کر تسلی دی غلاموں کو جہاز تاجراں گرداب سے فوراً نکل آیا ہوئی اک دیو سے لڑکی رہا اس نام لیوا کی جو اپنے کو کہے میرا مریدوں میں وہ داخل ہے ٹھکانا اس کے نیچے یا خدا مل جائے ہم کو بھی خدا وندا دعا مقبول کر ہم روسیاہوں کی نبیﷺ نور الہٰی اور یہ نورِ مصطفائی ہیں نبیﷺ کے نور کو گر دیکھنا چاہے انہیں دیکھے رسول اللہ ﷺ کا دشمن ہے غوث پاک کا دشمن مخالف کیا کرے میرا کہ ہے بےحد کرم مجھ پر جمیل قادری سو جاں سے ہو قربان مرشد پر خدا کے فضل سے ہم پر ہے سایہ غوث اعظم کا |
KHUDA KE FAZL SE HAM PAR HAI SAAYA GHAUS-E-AZAM KA Naat Lyrics
Khuda Ke Fazl Se Ham Par Hai Saaya Ghaus-e-Azam Ka
Hameñ Donoñ Jahaañ Meiñ Hai Sahaara Ghaus-e-Azam Ka
By The Grace of Allah, Over Us Is The Shade of Ghaus e Azam
In Both The Worlds, We Have Been Blessed, With The Aid of Ghaus e Azam
Baliy’yaat-o-Gham-o-Afkaar Kyuñ Kar Gheyr Sakte Haiñ
Saroñ Par Naam Lewoñ Ke Hai Panja Ghaus-e-Azam Ka
How Will We Be Surrounded By Calamities, Grief And Anxiety
Over Those Who Take His Name, Is The Hand of Ghaus e Azam
‘Mureedi Laa Takhaf’ Keh Kar Tasal’li Di Ghulaamoñ Ko
Qiyaamat Tak Rahe Be-Khauf Banda Ghaus-e-Azam Ka
He Gave Confidence To His Servants, By Saying, ‘Fear Not My Devotee’
Until The Day of Reckoning, Fearless Will Be The Slave of Ghaus e Azam
Jo Apne Ko Kahe Mera Mureedoñ Meiñ Wo Daakhil Hai
Ye Farmaaya Huwa Hai Mere Aaqa Ghaus-e-Azam Ka
The One Who Says He Is Mine, Is Counted As My Devotee
This Has Been Declared, By My Master Ghaus e Azam
Sijil In Ko Diya Wo Rab’b Ne Jis Meiñ Saaf Lik’kha Hai
Ke Jaaye Khuld Meiñ Har Naam Lewa Ghaus-e-Azam Ka
He Was Given A Certificate By Allah, In Which It Is Written Clearly
That Into Heaven Will Enter, Every True Devotee of Ghaus e Azam
Hamaari Laaj Kis Ke Haath Hai Baghdad Waale Ke
Musibat T’aal Dena Kaam Kis Ka Ghaus-e-Azam Ka
In Whose Hands Is Our Honour? In The Hands of The Baghdadi Personality
Whose Action Is It To Deflect Calamities? It Is That of Ghaus e Azam
Jahaaz-e-Taajiraañ Girdaab Se Fawran Nikal Aaya
Wazifa Jab Unhoñ Ne Par’h Liya Ya Ghaus-e-Azam Ka
From The Whirlpool, The Ship of The Merchants, Surfaced Immediately
When They Recited The Blessed Litany, Saying, O Ghaus e Azam
Gaye Ek Waqt Meiñ Sat-tar Mureedoñ Ke Yahaañ Aaqa
Samajh Meiñ Aa Nahiñ Sakta Mu’am-ma Ghaus-e-Azam Ka
To The Homes of Seventy Disciples, My Master Went Instantaneously
We Are Unable To Understand This Amazing Mystery of Ghaus e Azam
Shifa Paate Haiñ Sad-ha Jaañ Balab Amraaz-e-Mohlik Se
‘Ajab Daarush-Shifa Hai Aastaana Ghaus-e-Azam Ka
Hundreds of Terminally Ill, From Their Terminal Diseases, Attain Remedy
An Amazing Place of Cure, Is The Blessed Court of Ghaus e Azam
Na Kyuñ Kar Awliya Is Aastaane Ke Banaiñ Mangta
Ke Iqleem-e-Wilaayat Par Hai Qabza Ghaus-e-Azam Ka
At This Court, Why Shouldn’t The Awliya, Seek Devotedly
For Over The Domain of Sainthood, Is The Control of Ghaus e Azam
Bula Kar Kaafiroñ Ko Dete Haiñ Abdaal Ka Rutba
Hamesha Josh Par Rehta Hai Darya Ghaus-e-Azam Ka
He Summons The Unbelievers, And Bestows Them The Gnostic’s Duty
Always Flowing Strongly, Is The River of Ghaus e Azam
‘Bilaadul’laahi Tahta Hukmi’ Se Ye Zaahir Hai
Ke ‘Aalam Meiñ Har Ek Shai Par Hai Qabza Ghaus-e-Azam Ka
It Is Clear From ‘The Kingdom of Allah Is Under My Authority’
That Upon Every Thing In The Universe, Is The Control of Ghaus e Azam
‘Wa Wal-laani ‘Alal Aqtaabi Jam’an’ Saaf Kehta Hai
Ke Har Ek Qutb Hai ‘Aalam Meiñ Chela Ghaus-e-Azam Ka
‘And He Has Granted Me Authority Over All The Qutbs’ Is Declaring Clearly
That Every Qutb In The World, Is The Devotee of Ghaus e Azam
‘Fa Hukmi Naafidhun Fi Kul’li Haalin’ Se Huwa Zaahir
Tasar’ruf Ins-o-Jinn Sab Par Hai Aaqa Ghaus-e-Azam Ka
From ‘So My Order Is Effective In Every Condition’ It Was Said Clearly
Over All The Jinns & Humans, Is The Regulation of Ghaus e Azam
Salaateen-e-Jahaañ Kyuñ Kar Na Un Ke Ro’b Se Kaañpeñ
Na Laaya Sher Ko Khatre Meiñ Kut’ta Ghaus-e-Azam Ka
Why Should The Kings of The World Not Tremble, Before His Authority
Even To The Lion, No Priority Was Given, By The Dog of Ghaus e Azam
Huwi Ek Deo Se Lar’ki Riha Us Naam Lewa Ki
Par’ha Jangal Meiñ Jab Us Ne Wazifa Ghaus-e-Azam Ka
From A Devil, The Daughter of His Devotee Was Released Promptly
When In The Jungle He Recited, The Litany of Ghaus e Azam
Huwa Mawqoof Fawran Hee Barasna Ahl-e-Majlis Par
Jo Paaya Abr-e-Baaraañ Ne Ishaara Ghaus-e-Azam Ka
Over Those Present In This Gathering, It Stopped Raining Immediately
When The Rain Cloud Received The Indication From Ghaus e Azam
Naya Hafta Naya Din Saal-e-Nau Jis Waqt Aata Hai
Har Ek Pehle Baja Laata Hai Mujra Ghaus-e-Azam Ka
When A New Week, A New Day, And A New Year Approaches Promptly
Each One of Them First Presents Salutations Before Ghaus e Azam
Jo Haq Chaahe Wo Ye Chaaheñ, Jo Ye Chaaheñ Wo Haq Chaahe
To Mit’ Sakta Hai Phir Kis Tarha Chaaha Ghaus-e-Azam Ka
In Allah’s Will Is His Wish, In What He Wishes, Is The Will of The Almighty
So How Then Can Be Erased, This Grand Prominence of Ghaus e Azam
Faqeehoñ Ke Diloñ Se Dho Diya Un Ke Sawaaloñ Ko
Diloñ Par Hai Bani Adam Ke Qabza Ghaus-e-Azam Ka
From The Hearts of Jurists, He Erased Their Questions Instantly
Upon The Hearts of The Humans, Is The Control of Ghaus e Azam
Wo Keh Kar ‘Qum Bi Idhnil’laah’ Jila Dete Haiñ Murdoñ Ko
Bahut Mash’hur Hai Ihya-e-Mauta Ghaus-e-Azam Ka
He Revives The Dead, By Saying, ‘Rise In The Name of Allah Almighty
Very Famous Is The Reviving of The Dead, As Performed By Ghaus e Azam
Jilaaya Ustukh-waan-e-Murgh Ko Dast-e-Karam Rakh Kar
Bayaañ Kya Ho Sakay Ihya-e-Mauta Ghaus-e-Azam Ka
Placing His Hand, He Revived The Skeleton of The Rooster Instantly
What Can Be Said About The Reviving of The Dead, By Ghaus e Azam
‘Ilay-ya Ya Mubaarak’ Aati Thee Aawaaz Khalwat Meiñ
Yahiñ Se Jaan Le Munkir Tu Rutba Ghaus-e-Azam Ka
‘Come Towards Me O Blessed One’, This Call He Would Hear In Privacy
O Adversary! From This Alone, Realise The Status of Ghaus e Azam
Farishte Madrasay Tak Saath Pahunchaane Ko Jaate Thay
Ye Darbaar-e-Ilaahi Meiñ Hai Rutba Ghaus-e-Azam Ka
The Angels Accompanied Him When He Went To The Seminary
In The Court of Almighty Allah, This Is The Status of Ghaus e Azam
Safar Se Waapasi Meiñ Deen-e-Aqdas Ko Kiya Zinda
Muhiyud’deen Huwa Yuñ Naam-e-Waala Ghaus-e-Azam Ka
He Revived The Sacred Deen, On Returning From His Journey
‘The Reviver of The Religion’, Thus Became The Name of Ghaus e Azam
Jo Farmaaya Ke Daush-e-Awliya Par Hai Qadam Mera
Liya Sar Ko Jhuka Kar Sab Ne Talwa Ghaus-e-Azam Ka
When He Said, ‘My Foot Is On The Neck of Every Wali’
Lowering Their Heads, They All Took The Sole of Ghaus e Azam
Dam-e-Farmaañ Khorasaañ Meiñ Mu’eenud’deen Chishti Ne
Jhuka Kar Sar Liya Aankhoñ Pe Talwa Ghaus-e-A’zam Ka
As He Gave This Command, In Khorasaan; Mu’eenud’deen Chishti
Lowered His Head And Took On His Eyes, The Sole of Ghaus e Azam
Na Kyuñ Kar Saltanat Donoñ Jahaañ Ki Unko Haasil Ho
Saroñ Par Apne Lete Haiñ Jo Talwa Ghaus-e-Azam Ka
Why Should They Not Be Given, Both The World’s Kingship & Royalty
When They Are Those Who Take On Their Heads, The Sole of Ghaus e Azam
Lu’aab Apna Chataaya Ahmad-e-Mukhtaar Ne Unko
To Phir Kaise Na Hota Bol Baala Ghaus-e-Azam Ka
He Was Given His Saliva By Nabi Ahmed, Who Is Empowered Legally
So How Then Could Such Honour, Ever Evade Ghaus e Azam
Rasoolullah Ne Khil’at Pehnaaya Bar Sar-e-Majlis
Bajay Kyuñ Kar Na Phir ‘Aalam Meiñ D’anka Ghaus-e-Azam Ka
Rasoolullah Garbed Him In The Spiritual Mantle, In His Blessed Assembly
So How Then, Could Such Fame In This World, Evade Ghaus e Azam
Muhar’rir Chaar Sau Majlis Meiñ Haazir Ho Ke Likhte Thay
Huwa Karta Tha Jo Irshaad-e-Waala Ghaus-e-Azam Ka
Four Hundred Scribes Would Be Present, Writing In His Holy Assembly
Whatever Blessed Words Were Mentioned By Ghaus e Azam
Agar Che Murgh Sab Ke Bol Kar Khamush Hote Haiñ
Magar Haañ Murgh Bolega Hamesha Ghaus-e-Azam Ka
Even Though The Roosters of All Crow, And Then Retire Silently
But Always Will Be Crowing, The Rooster of Ghaus e Azam
Khulay Haftaad Dar Ek Aan Meiñ ‘Ilm-e-Ladun’ni Ke
Khazeena Ban Gaya ‘Ilmoñ Ka Seena Ghaus-e-Azam Ka
Seventy Doors of Sacred Inspired Knowledge, Opened Instantly
The Treasure Chest of Sacred Sciences, Became The Chest of Ghaus e Azam
Hamaara Zaahir-o-Baatin Hai Un Ke Aage Aa-ina
Kisi Shai Se Nahiñ ‘Aalam Meiñ Parda Ghaus-e-Azam Ka
Like A Mirror, Our Outward And Inward Condition, Is Before Him, Clearly
From Nothing In The World, Is There A Veil For Ghaus e Azam
Par’hi ‘Laa Hawl’ Awr Shaitaañ Ke Dhokay Ko Kiya Ghaarat
‘Uloom-o-Fazl Se Wo Noor Chamka Ghaus-e-Azam Ka
He Recited The ‘La Hawl’ As He Destroyed The Deceit of Shaitaan Promptly
From Knowledge & Excellence, Shone This Light of Ghaus e Azam
Qasiday Meiñ Janaab-e-Ghaus Ke Dekho ‘Nazartu’ Ko
To Soojhe Door Ki Zaahir Ho Rutba Ghaus-e-Azam Ka
In The Qasida of Ghaus e Azam, Look At ‘I Have Seen’ Clearly
To The Deep Thinker, Will Become Apparent, The Status of Ghaus e Azam
Rahe Paaband Ahkaam-e-Shari’at Ibtida Hee Se
Na Ch’hoot’a Sheer Khwaari Meiñ Bhi Rauza Ghaus-e-Azam Ka
He Was Subservient To The Directives of Shari’at, From Very Early
Even A Single Fast In Infancy, Was Not Omitted By Ghaus e Azam
Hai Jab ‘Arsh-e-Ilaahi Pehli Manzil Un Ke Zeene Ki
To Phir Kis Ki Samajh Meiñ Aaye Rutba Ghaus-e-Azam Ka
When The Station of His First Step, Is The Arsh of Allah Almighty
Then Who Will Ever Comprehend, The Status of Ghaus e Azam
Muhammad Ka Rasooloñ Meiñ Hai Jaise Martaba Aala
Hai Afzal Awliya Meiñ Yuñ Hee Rutba Ghaus-e-Azam Ka
Like Over The Rasools, Muhammad Has Such Grand Rank & Superiority
Likewise, Exalted Amongst The Saints, Is The Rank of Ghaus e Azam
‘Ata Ki Hai Bulandi Haq Ne Ahlul-laah Ke Jhandoñ Ko
Magar Sab Se Kiya Ooncha Pharera Ghaus-e-Azam Ka
To The Banners of The Awliya Allah, Excellence Was Given By The Almighty
But Higher Than All of Them, He Made The Banner of Ghaus e Azam
Isee Baa’is Se Haiñ Qabroñ Meiñ Apni Awliya Zinda
Hayaat-e-Daa’imi Paata Hai Kushta Ghaus-e-Azam Ka
Due To This, The Awliyah Are Alive In Their Graves, Most Certainly
Everlasting Life Is Given To One, Who Dies In The Love of Ghaus e Azam
Meri Jaañ-Kundani Ka Waqt Raahat Se Badal Jaaye
Sar-e-Baaleeñ Agar Ho Jaaye Phera Ghaus-e-Azam Ka
My Life’s Final Moments Will Turn To Complete Tranquility
If At My Head-side, For A While Passes By, Ghaus e Azam
Rihaayi Mil Gayi Us Ko ‘Azaab-e-Qabr-o-Mahshar Se
Yahaañ Par Mil Gaya Jis Ko Wasila Ghaus-e-Azam Ka
From The Torment of The Grave & Hereafter, He Has Become Free
If Here He Was Able To Acquire The Mediation of Ghaus e Azam
Ye Sunte Haiñ Nakeerain Us Pe Kuch Sakhti Nahiñ Karte
Likha Hota Hai Jis Ke Dil Pe Tughra Ghaus-e-Azam Ka
It Is Heard That The Angels of The Grave Do Not Treat Him Harshly
On Whose Heart has Engraved The Holy Plaque of Ghaus e Azam
‘Azeezo Kar Chuko Tay’yaar Jab Mere Janaaze Ko
To Likh Dena Kafan Par Naam Waala Ghaus-e-Azam Ka
O My Beloveds! When My Funeral Bier Is Prepared And Made Ready
Then On My Shroud, You Must Write, The Eminent Name of Ghaus e Azam
Lahad Meiñ Jab Farishte Mujh Se Poochenge To Keh Dunga
Tariqa Qaadiri Huñ Naam Lewa Ghaus-e-Azam Ka
I Will Say In My Grave When The Angels Approach To Question Me
I Am In The Qaadiri Spiritual Order, I Am A Devotee of Ghaus e Azam
Nida Dega Munaadi Hashr Meiñ Yuñ Qaadiriyoñ Ko
Kidhar Haiñ Qaadiri Kar Leñ Nazaara Ghaus-e-Azam Ka
On The Day of Reckoning, The Caller Will Call Out To Every Qaadiri
Where Are The Qaadiris, Now Come And Admire Ghaus e Azam
Chala Jaaye Bila Khauf-o-Khatar Firdaus Aala Meiñ
Faqat Ek Shart Hai Ho Naam Lewa Ghaus-e-Azam Ka
You Will Enter Into Exalted Paradise, Without Any Fear & Anxiety
The Only Condition Is That You Be A Devotee of Ghaus e Azam
Farishtoñ Rokte Kyuñ Ho Mujhe Jannat Meiñ Jaane Se
Ye Dekho Haath Meiñ Daaman Hai Kis Ka Ghaus-e-Azam Ka
From Admission Into Paradise, O Angels! Why Are You Hindering Me
Look! I Have In My Hands, The Sacred Mantle of Ghaus e Azam
Janaab-e-Ghaus Doolha Awr Baraati Awliya Honge
Maza Dikhla-ega Mahshar Meiñ Sehra Ghaus-e-Azam Ka
The Ghaus Will Be The Groom, And The Awliya Will Be In The Assembly
On Reckoning Day, A Blessed Vision, Will Be The Garland of Ghaus e Azam
Ye Kaisi Roshni Phayli Hai Maidaan-e-Qiyaamat Meiñ
Niqaab Ut’tha Huwa Hai Aaj Kis Ka Ghaus-e-Azam Ka
What Is This Glow, Which On The Day of Reckoning Is Glowing Brightly?
Whose Veil Has Been Lifted Today? It Is That of Ghaus e Azam
Ye Mahshar Meiñ Khule Haiñ Gaisoo-e-‘Ambar Fishaañ Kis Ke
Barasta Hai Karam Ka Kis Ke Jhaala Ghaus-e-Azam Ka
On Judgement Day, Whose Hair Has Opened, Releasing Musk So Fragrantly?
Whose Rain of Generosity Is Showering? It Is The Rain of Ghaus e Azam
Ye Qaidi Ch’hut Rahe Haiñ Is Liye Maidaan-e-Mahshar Meiñ
Khuda Khud Bañt-ta Hai Aaj Sadqa Ghaus-e-Azam Ka
Today On Judgement Day, The Prisoners Are Being Freed So Swiftly
For Allah Is Distributing Today, The Generous Blessings of Ghaus e Azam
Guzaari Khel Meiñ Kal, Ab Huwi A’maal Ki Pursish
Magar Kaam Aa Gaya Us Dam Wasila Ghaus-e-A’zam Ka
We Spent Our Past In Entertainment, We Now Have To Give Accountability
But Benefitting Us In That Moment, Was The Mediation of Ghaus e Azam
Kabhi Qadmoñ Pe Laut’unga, Kabhi Daaman Pe Machlunga
Bata Dunga Ke Yuñ Ch’hut-ta Hai Banda Ghaus-e-Azam Ka
At Times I Will Fall At His Feet, At Times Holding His Mantle With Ecstasy
I Will Demonstrate, How I Was Freed, As The Slave of Ghaus e Azam
Thikaana Us Ke Neeche Ya Khuda Mil Jaaye Ham Ko Bhi
Khar’a Ho Hashr Meiñ Jis Waqt Jhanda Ghaus-e-Azam Ka
We Too Should Find Some Place Underneath It, O Allah Almighty
When On Judgement Day, Will Be Hoisted, The Flag of Ghaus e Azam
Khudawanda Dua Maqbool Kar Ham Roo-Siyaahoñ Ki
Gunaahoñ Ko Hamaare Bakhsh Sadqa Ghaus-e-Azam Ka
Accept The Duas of These Sinful & Disgraced Ones, O Allah Almighty
Do Forgive Our Sins, Through The Blessings of Ghaus e Azam
Meri Phooti Huwi Taqdeer Ki Qismat Chamak Jaaye
Banaaye Mujh Ko Sag Apna Jo Kut’ta Ghaus-e-Azam Ka
The Destiny of My Ruined Fate, Will Start Glowing Brightly
If As His Dog I Am Accepted, By The Dog of Ghaus e Azam
Lahad Meiñ Bhi Khuli Haiñ Is Liye ‘Ush’shaaq Ki Aankheñ
Ke Ho Jaaye Yahiñ Shayad Nazaara Ghaus-e-Azam Ka
Even In Their Graves, Wide Open Are The Eyes of His Every Devotee
In Hope That They Will Probably See Here, The Vision of Ghaus e Azam
Sada-e-Soor Sun Kar Qabr Se Ut’h-te Hee Poochunga
Ke Batlaawo Kidhar Hai Aastaana Ghaus-e-Azam Ka
On Hearing The Soor’s Echo, I Will Rise From My Grave Saying Instantly
Please Do Tell Me, Where Is The Grand Station of Ghaus e Azam
Kuch Ek Ham Hee Nahiñ Haiñ Aastaan-e-Paak Ke Kut’te
Zamaana Pal Raha Hai Kha Ke Tukr’a Ghaus-e-Azam Ka
We Are Not The Only Ones, Who Are Dogs of His Court So Holy
The World Is Surviving, By Eating The Morsels of Ghaus e Azam
Nabi Noor-e-Ilaahi Awr Ye Noor-e-Mustafa-i Haiñ
To Phir Noori Na Ho Kyuñ Kar Gharaana Ghaus-e-Azam Ka
The Nabi Is The Light of Allah & And The Light of Mustafa Is He
Why Then Should Your Family Not Be Radiant, O Ghaus e Azam
Nabi Ke Noor Ko Gar Dekhna Chaahe Inheñ Dekhe
Sarapa Noor-e-Ahmad Hai Sarapa Ghaus-e-Azam Ka
Look At Him, If You Wish To See The Light of The Beloved Nabi
From Head To Foot, The Light of Ahmad, Is The Physique of Ghaus e Azam
Rasoolullah Ka Dushman Hai Ghaus-e-Paak Ka Dushman
Rasoolullah Ka Pyaara Hai Pyaara Ghaus-e-Azam Ka
The Enemy of Rasoolullah, Is The Enemy of Ghaus e Azam
The Beloved of Rasoolullah, Is The Beloved of Ghaus e Azam
Mukhaalif Kya Kare Mera Ke Hai Be-had Karam Mujh Par
Khuda Ka, Rahmatulil Aalameeñ Ka, Ghaus-e-Azam Ka
What Can The Enemy Do To Me, For Upon Me Is The Immense Generosity
Of Allah Almighty, of The Mercy Unto The Worlds, And of Ghaus e Azam
JAMEEL-E-QAADRI Sau Jaañ Se Ho Qurbaan Murshid Par
Banaaya Jis Ne Tujh Jaise Ko Banda Ghaus-e-Azam Ka
Upon Your Murshid, With A Hundred Lives, Be Sacrificed O Jameel e Qaadiri
It Is He, Who Made Someone Like You, The Slave of Ghaus e Azam