Kiya Khabar Kiya Saza Mujhko Milti

Kiya Khabar Kiya Saza Mujhko Milti

Kiya khabar Kiya saza mujhko milti Mere Aaqa ne izzat bachali

Farde isiyan meri mujh se le kar, Kali Kamli mein Apni chupali

 

Woh aata par ata karne wale, Aur ham bhi nahin talne wale

Jaisi deodi he waise bhikari, Jaisa Data hein waise sawali

 

Mein ghada hoon magar kis ke dar ka, Woh jo Sultan-e-Kono Makan hein

Yeh Ghulami bari mustanad he, Mere sar par he taj-e-Bilali

 

Mein Madine se Kiya agaya hun, Zindagi jaise bujh si gayi hai

Ghar ke andar faza soni soni, Ghar key bahar sama khali khali

 

Meri Umr-e-Rawan bas thehar jaa, Ab safar ki zuroorat nahin hai

Unke qadmon mein meri jabeen hai, Aur haathon mein Roze ki Jali

 

Mein faqat naam lewa hun Unka, Unki tawseef mein Kiya karoonga

Mein na Iqbal, Khusro na Saadi, Mein na Qudsi na Jami na Hali

 

Kya Hi Zauk Afza Shafaat Hain Tumhari Wah Wah  Naat Lyrics

Kya Jane Duniya Wale Rutba Mere Madani Ka  Naat Lyrics

Kya Khabar Kya Saza Mujh Ko Milti  Naat Lyrics

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: