Daleel e Kibriya Bankar Huzur Aaye Lyrics || Barkate Raza


Huzoor E Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Shaan E Aqdas Me Likha Gaya Yeh Nihayat Hi Khubsurat Kalam Daleel E Kibriya Bankar Huzur Aaye Saim Chishti Ka Ek Haseen Nazrana Hai. Is Pyare Kalam Ke Zariye Tajdar E Kainat Ki Amad Aur Unki Rahmat Ka Zikr Nihayat Hi Adab Aur Aqeedat Se Kiya Gaya Hai.

Naat InformationDetails
Naat TitleDaleel e Kibriya Bankar Huzur Aaye
Poet / WriterSaim Chishti
CategoryNaat Sharif
Naatkhawan / ReciterQari Shahid Mahmood
Book NameBarkate Raza Naat Book

Daleel e Kibriya Bankar Huzur Aaye Lyrics In Roman

Daleel E Kibriya Bankar Huzur Aaye Huzur Aaye
Bahar E Jaañ-Fiza Bankar Huzur Aaye Huzur Aaye

Na Ghabraao Gunahgaaro, Milega Chain Beemaaro
Ghame Dil Ki Dawa Bankar Huzur Aaye Huzur Aaye

Khushi Ke Phool Barsaao, Salaami Ke Liye Aao
Hamara Aasra Bankar Huzur Aaye Huzur Aaye

Hai Rahmat Har Taraf Chhayi, Gunahgaaroñ Ki Ban Aayi
Karam Ban Kar Wafa Bankar Huzur Aaye Huzur Aaye

Hai Naghma Aaj Rahmat Ka, Saja Kar Taaj Rahmat Ka
Nigaar E Ambiya Bankar Huzur Aaye Huzur Aaye

Nabi Aaye Ghulaami Ko, Jhuke Taare Salaami Ko
Risalat Ki Ziya Bankar Huzur Aaye Huzur Aaye

Bichha Kar Dil Ke Daaman Ko, Padheñge Naat Ham ‘Saim’
Karam Ki Intaha Bankar Huzur Aaye Huzur Aaye

Daleel e Kibriya Bankar Huzur Aaye Lyrics In Hindi

दलील ए किबरिया बनकर हुज़ूर आए हुज़ूर आए
बहार ए जांफ़िज़ा बनकर हुज़ूर आए हुज़ूर आए

न घबराओ गुनहगारो, मिलेगा चैन बीमारो
ग़म ए दिल की दवा बनकर हुज़ूर आए हुज़ूर आए

ख़ुशी के फूल बरसाओ, सलामी के लिए आओ
हमारा आसरा बनकर हुज़ूर आए हुज़ूर आए

है रहमत हर तरफ़ छाई, गुनहगारों की बन आई
करम बनकर वफ़ा बनकर हुज़ूर आए हुज़ूर आए

है नग़मा आज रहमत का, सजा कर ताज रहमत का
निगार ए अंबिया बनकर हुज़ूर आए हुज़ूर आए

नबी आए ग़ुलामी को, झुके तारे सलामी को
रिसालत की ज़िया बनकर हुज़ूर आए हुज़ूर आए

बिछा के दिल के दामन को पढ़ेंगे नात हम साइम
करम की इन्तहा बनकर हुज़ूर आए हुज़ूर आए

Daleel e Kibriya Bankar Huzur Aaye Lyrics In Urdu

دلیلِ کبریا بن کر حضور آئے حضور آئے
بہارِ جاں فضا بن کر حضور آئے حضور آئے

نہ گھبراؤ گناہگارو ملے گا چین بیمارو
غمِ دل کی دوا بن کر حضور آئے حضور آئے

خوشی کے پھول برساؤ سلامی کے لئے آؤں
ہمارا آسرا بن کر حضور آئے حضور آئے

ہے رحمت ہر طرف چھائی، گناہگاروں کی بن آئی
کرم بن کر وفا بن کر حضور آئے حضور آئے

ہے نغمہ آج رحمت کا، سجا کر تاج رحمت کا
نگارِ انبیاء بن کر حضور آئے حضور آئے

نبی آئے غلامی کو جھکے تارے سلامی کو
رسالت کی ضیاء بن کر حضور آئے حضور آئے

بچھا کے دل کے دامن کو پڑھیں گے نعت ہم صائم
کرم کی انتہا بن کر حضور آئے حضور آئے_

Leave a Comment