Do Jahan Me Doosra Koi Tumsa Milta Nahi
DO JAHAN MEIN KOI TUMSA DUSRA MILTA NAHI
dundhte firten hain mahro-ma pata milta nahi
Hai rage gardan se aqrab, Nafs ke andar hai wo
youn gale milne par bhi ae khuda juda milta nahi
aabe bahre ishqe jana sineh me he maujzan
kon kaheta he hamen aabe baqa milta nahi
aabe tege ishq pi kar zindaye jaweed ho
gam na kar jo chshmaye aabe baqa milta nahi
dub to bahe fana me phir baqa payega tu
qabl az bahar fana bahar bahre baqa milta nahi
dunya he aur apna matlab be garz matlab koi
aashna milta nahi na aashna milta nahi
zarh zarrah khak kaa chamka he jis ke noor se
be basirat he jise wo mahe liqa milta nahi
jo khuda deta hai, milta hai usi sarkar se
kuch kisi ko haq se is dar ke siva melta nahi
kiya ilaqa dushmane mahboob ko Allah se
be razaye mustafa hargiz khuda milta nahi
koi mange ya na mange, milne ka dar hai yahi
be ataaye mustafai, mud-da milta nahi
rah-numavo ki si surat rah mari kam he
rah-zan hain kihkwadar rahnuma milta nahi
ahle gahle hai mashaikh har har gali
beham wa bahama marde khuda milta nahi
hain safaye zahiri ke saman khub khub
jis ka batin saf ho wo ba safa milta nahi
bar zubane tasbeeh w dare dil gau khur ka daur hai
aese milte hain bahut is se wara milte nahi
daur sahil mauj hail par bera kijiye
navu he majdhr me aur na khuda milta nahi
wasle maula chahte ho, to wasila dhundhlo
be-wasile khuda, hargiz milta nahi
damane mahboob chhore, mange khud Allah se
aese murdak ko khuda se mud-da milta nahi
qasime nemat se ham mange to, najdi youn bake
kiun nabi se mangiye allah se kiya milta nahi
mustafa ma jaa illa rahmatallil aalamin
chara saze dusrate tere sive milta nahi
ham to ham wo anbiya ke waste
un ko jo milta he be wasta milta nahi
anbiya bad awliya is sarkar me
har wali rasta be wasta milta nahi
nahiye sunnat hami lillat mujadd3 din ka
pekaro rushdo hida ahmed raza milta nahi
kis tarah ho hazir dar noori be par shaha
nake roke dushmnao ne rasta milta nahi

