Hum Bhi Madeene Jayeinge No Matter If Taibah Is Far Away

Hum Bhi Madeene Jayeinge No Matter If Taibah Is Far Away

 

Salle Ala Nabi Ye Na Salle Ala Muhammadin

Salle Ala Shafi Ye Na Salle Ala Muhammadin

Wo Jo Na The To Kuch Na Tha, Wo Jo Na Ho To Kuch Na Ho

Jaan Hai Wo Jahaan Ki, Jaan Hai To Jahaan Hai

Aamade Mustafa Se Hai Phoola Phala Chaman Chaman

Ayi Bahaar Har Taraf Khilne Laga Chaman Chaman

Aamade Mustafa Huwi Roshan Zamaana Ho Gaya

Jin Ke Huzoor Ho Gaye Unka Zamaana Ho Gaya

Ham Bhi Madine Jayenge Aaj Nahi To Kal Sahi

Aaqa Humein Bulayenge Aaj Nahi To Kal Sahi

Galiyon Mein Ghuum Ghuum Kar Khaake Madinah Chuum Kar

Nazron Se Ham Lagayenge Aaj Nahi To Kal Sahi

Galiyon Mein Jhuum Jhuum Kar Khaakhe Madinah Chuum Kar

Naat-e-nabi Sunayenge Aaj Nahi To Kal Sahi

Dekha Jo Unko Baanethe Mein Ne Bhi Bar Ke Shawk Se

Daste Ataa Ke Samne Daste Talab Barha Diya

No Matter Is Taiba Far Away, We Have To Go And Visit One Day

Aqa Will Call Us Day One Day, Murshid Will Show The Way One Day

Haal Dil Sunayenge Aaj Nahi To Kal Sahi

Bighri Apni Banayenge Aaj Nahi To Kal Sah

Hum Ne To Maan Hi Liya Ke Aap Hai Jaan-e-kainat

Najdi Bhi Maan Jainge Aaj Nahi To Kal Sahi

—————– Other —————–

—————- Version —————-

Noor E Nigah E Amina Shoukhat-o-shan-e Fatima

Tere He Dam Kadam Se Hai Ronaq-e-bar E Aisha

Tujh Sa Koi Shakeel Hai Aur Na Koi Jameel Hai

Tere He Dam Ka Pasbaaan Hazrat-e-jibrail (A.s) Hai

Tujh Se Zamana Shadshad Sab Ke Dilon Main Tere Yad

Tere Janib Se Kabhi Koi Giya Na Murad

Apne Dukhon Ki Dastaan Le Ke Riyaaz Khakista Jaan

Aya Bht Ye Door Se Dar Pe Tere Shah-e-shahaan

—————– Other —————–

—————- Version —————-

Hum Bhi Madina Jayenge Aaj Nahi Toh Kal Zarur

Aaqa Hame Bulaenge Aaj Nahi Toh Kal Zarur

Dil Mera Bekarar Hai Gam Dil Pe Beshumaar Hai

Ranjo Aalam Bataenge Aaj Nahi Toh Kal Zarur

Duniya Ne Jo Bhi Gam Diya Hum Ne Khushi Se Sah Liya

Aaqa Ko Hum Sunaenge Aaj Nahi Toh Kal Zarur

Jo Kuch Bhi Mangna Hai Woh Aaqa Se Mang Lenge Hum

Mangi Muraad Payenge Aaj Nahi Toh Kal Zarur

Dar Pe Kisi Ke Jaye Kyu Daste Talab Badaye Kyu

Sab Kuch Nabi Se Payenge Aaj Nahi Toh Kal Zarur

Daulat Nahi Ki Ja Saku Darde Jigar Dikha Saku

Lekin Huzuur Aayenge Aaj Nahi Toh Kal Zarur

Aaqa Hame Bulaenge Anjum Madina Jayenge

Naat Unhe Sunaenge Aaj Nahi Toh Kal Zarur

—————– Other —————–

—————- Version —————-

Salle Ala Nabiyena, Salle Ala Muhammadin

Salle Ala Shafiyena, Salle Ala Muhammadin

Cher Ke Saaze La Ilaah, Mast Bana Gaya Koi

Aur Duniya Jo Mehve Khwaab Thi, Aake Jaga Gaya Koi

Salle Ala Muhammadin

Auliya Anbiya Tamaam, Parhte Darood Subho Shaam

Aur Khud Khuda Ka Hai Yeh Kaam

Salle Ala Muhammadin

Bemisl Noore Ahmadi, Aisa Nahin Koi Nabi

Aur Parhte Farishte, Hain Sabhi

Salle Ala Muhammadin

Teri Ada, Ada Aey Haqq, Teri Raza, Raza Aey Haqq

Aur Wahi-aey Khuda Tera Kalaam, Tujh Par Darood Aur Salaam

Salle Ala Muhammadin

Bakhshi Gai Hai Sab Khata, Taubah Ka Dar Bhi Hai Khula

Aur Adam Ne Jab Ke Yeh Parha

Salle Ala Muhammadin

 

Sharing Is Caring:

Leave a Comment