Zameen Mashriq Se Maghrib Tak lyrics || Barkate Raza

Aakhirat Ki Fikr Aur Qayamat Ka Khauf-O-Manzar Pesh Karta Hua Ye Intehai Asar-Angez Aur Khoobsurat Kalam ‘Zameen Mashriq Se Maghrib Tak’ Muhammad Zubair Ki Rehbar Awaz Mein Pesh Kiya Gaya Hai. Is Hamdiya Kalam Ke Roman, Hindi Aur Urdu Lyrics Niche Darj Hain.

Naat InformationDetails
Naat TitleZameen Mashriq Se Maghrib Tak
Poet / WriterUnknown
CategoryHamd-O-Nazm
Naatkhawan / ReciterMuhammad Zubair
Book NameBarkate Raza Naat Book

Zameen Mashriq Se Maghrib Tak Lyrics In Roman

Zameen Mashriq Se Maghrib Tak Barabar Saaf Hoyegi
Sitare Toot Jaayenge Zameen Ko Zalzala Hoga

Na Us Din Baap Bete Ka Na Beta Baap Ka Hoga
Khuda Ke Rubaroo Jis Din Kayamat Ka Bapa Hoga

Na Hamshira Baradar Ki Na Zouja Apne Shouhar Ki
Woh Aisa Waqt Hoga Bhai Bhai Se Juda Hoga

Wah Aisi Rob Ki Ja Hai Ke Darbar-E-Ilahi Me
Hazaron Sar Bulandon Ka Ajizo Sar Jhuka Hoga

Khuda Baithega Jis Dum Adl Ki Kursi Pe Ae Yaro
Badon Ki Badjaza Hogi Bhalon Ka Han Bhala Hoga

Jo Kahte Hain Sirate Mustaqim Ik Sakht Manzil Hai
Har Ik Ko Uske Upar Se Ajeezo Doudna Hoga

Koi Jayenge Jannat Me Koi Naare Jahannam Me
Gharaz Har Nek-O-Bud Ka Wah Faisla Hoga

Zameen Mashriq Se Maghrib Tak Lyrics In Hindi

ज़मीं मशरिक़ से मग़रिब तक बराबर साफ़ होयेगी
सितारे टूट जायेंगे ज़मीं को ज़लज़ला होगा

ना उस दिन बाप बेटे का ना बेटा बाप का होगा
ख़ुदा के रुबरु जिस दिन कयामत का बपा होगा

ना हमशीरा बरादर की ना ज़ौजा अपने शौहर की
वोह ऐसा वक़्त होगा भाई भाई से जुदा होगा

वाह ऐसी रोब की जा है के दरबार-ए-इलाही में
हज़ारों सर बुलन्दों का अजीज़ो सर झुका होगा

ख़ुदा बैठेगा जिस दम अदल की कुर्सी पे ऐ यारो
بदों की बदजज़ा होगी भलों का हां भला होगा

जो कहते हैं सिराते मुस्तक़ीम इक सख्त मंज़िल है
हर इक को उसके ऊपर से अजीज़ो दौड़ना होगा

कोई जायेंगे जन्नत में कोई नारे जहन्नम में
ग़रज हर नेक-&-بد का वाह बराबर फैसला होगा

Zameen Mashriq Se Maghrib Tak Lyrics In Urdu

زمیں مشرق سے مغرب تک برابر صاف ہوئے گی
ستارے ٹوٹ جائیں گے زمیں کو زلزلہ ہوگا

نہ اس دن باپ بیٹے کا نہ بیٹا باپ کا ہوگا
خدا کے روبرو جس دن قیامت کا بپا ہوگا

نہ ہمشیرہ برادر کی نہ زوجہ اپنے شوہر کی
وہ ایسا وقت ہوگا بھائی بھائی سے جدا ہوگا

واہ ایسی رعب کی جا ہے کہ دربارِ الٰہی میں
ہزاروں سر بلندوں کا عزیزو سر جھکا ہوگا

خدا بیٹھے گا جس دم عدل کی کرسی پہ اے یارو
بدوں کی بدجزا ہوگی بھلوں کا ہاں بھلا ہوگا

جو کہتے ہیں صراطِ مستقیم اک سخت منزل ہے
ہر اک کو اس کے اوپر سے عزیزو دوڑنا ہوگا

کوئی جائیں گے جنت میں کوئی نارِ جہنم میں
غرض ہر نیک و بد کا وہاں فیصلہ ہوگا

Leave a Comment