SHUKR-E-KHUDA KE MUJH PE HAI SAAYA-E-GHAUS-UL-WARA NAAT LYRICS

SHUKR-E-KHUDA KE MUJH PE HAI SAAYA-E-GHAUS-UL-WARA NAAT LYRICS

 

Manqabate Huzur Ghaus-e-Azam (Kalam-e-Tufaili)

Ya Shaikh Mohiuddin,
Ya Abdul Qadir,
Tu Shaan-e-Mustafa Ho,
Tu Shaan-e-Haidar-o-Hanain Ho,
Ya Dastageer Ya Pir-e-Pira(N)

01)
Shukr-e-Khuda Ke Mujh Pe Hai Saaya-e-Ghaus-Ul-Wara
Elahi Hashr Tak Rahe Gale Me Patta-e-Ghaus-Ul-Wara

02)
Sara Zamana Palti Hai Woh Hai Sadqa-e- Ghaus-Ul-Wara
Taaj-e-Aulia Jo Sazi Hai Woh Hai Talwa-e Ghaus-Ul-Wara

03)
Unki Shadi Me Hai Aulia Barati,Abdaal-o- Qalandar Bhi
Kiya Hoga Woh Nazara Jab Sazi Ho Sehra-e-Ghaus-Ul-Wara

04)
Unki Mehfil Me Aate Hai Sunne Hazaro(N)-Lakho(N) Diwana
Sarparasti-e-Madni Aqa Hai Woh Khutba-e-Ghaus-Ul-Wara

05)
Madrse Tak Farishte Saath Pahu(N)Chane Jaya Karte The
Darbar-e-Elahi Me Hai Kitna Aala Rutba-e-Ghaus-Ul-Wara

06)

Woh Waqt Ke Siddiq-o-Umar Hai(N) Usman-o-Haidar Bhi
Rangat-e-Hasnain Hai Woh Hai Chehra-e-Ghaus-Ul-Wara

07)

Kiya Ho Hawi Mujh Par Jo Ho Meri Mukhalif Yaa Mushkil
Hum Ghulamo(N) Par Hai Har Pal Sahara-e-Ghaus-Ul-Wara

08)
Mureedi Takhaf Keh Kar Jo Dee Hai Tasalli Ghulamo(N) Ko
Hashr Tak Rehega Be-Khauf Banda-e-Ghaus-Ul-Wara

09)
Yaqeeni Hai Hum To Jayenge Jannat Sath Murshid Ke
Mehshar K Din Hath Me Hoga Jhanda-e- Ghaus-Ul-Wara

10)
Wisaal-e-Murshid Ka Woh Manzar Jo Bani Hai Tarikhi
Haq Numa Hai Akhtar Woh Hai Jalwa-e-Ghaus-Ul-Wara

11)
Hum Jo Qadiri Bane Hai(N) Yeh Wasila-e-Murshid Hai
Mujh Gunhegar Ko Banaya Hai Kutta-e-Ghaus-Ul-Wara

12)
Ay Mere Chahne Walo Jab Kar Chuke Tayyar Meri Janaze Ko To
Zarur Likh Dena Qafan Par Diwana-e-Ghaus-Ul-Wara

12)
Har Silsilo(N) Me Hai Shah-e-Jeelan Ka Hi Faizan
Barkati Razvi Ashrafi Hai Yeh Sab Silsila-e-Ghaus-Ul-Wara

13)
Zara Soonle Ay Munkiro(N) Kiya Hai Maslak-E-Ahmad Raza
Paigham-e-Ahmad Raza Hai Woh Fatwa-e-Ghaus-Ul-Wara

14)
Ay Tufaili Naaz Khud Par Karte Rehna Hamesha
Akhtar Hai Murishid Tera Yeh Hai Faisla-e-Ghaus-Ul-Wara

Sharing Is Caring:

Leave a Comment