Laye Tashreef Duniya Me Khairul Wara Haq O Batil Hua Aamne Samne Lyrics
Molana Muneer Ahmed
Laye Tashreef Duniya Me | Molana Muneer Ahmed
Nabi (saw) Nabi (saw)
Tal’a al badru ‘alaiyna
Min thaniyyati wada’i
Wajaba sh-shukhru ‘alaiyna
Ma da’a lilahi da’i
Laye tashreef duniya me khair-ul-waran
Haq-o-batil hua amne samne
Kufr ab sharm se muh chhupane lage
Aaye jab Mustafa (saw) aamne samne
Chand se khoob tar hai rukh-e-Mustafa (saw)
Unko dekha to ye Ayesha (ra) ne kaha
Pheeki pheeki si lagti thi uski ziya
Chand jab tak raha aamne samne
Laye tashreef duniya me khair-ul-waran
Haq-o-batil hua amne samne
Kufr ab sharm se muh chhupane lage
Aayen jab Mustafa (saw) amne samne
Ek din Abu Jahal ne nabi se kaha
Ye bata aaj hai meri mutthi me kya
Dast-e-Abu Jahal me kankari ne kiya
Wasf shah-e-huda amne samne
Laye tashreef duniya me khair-ul-waran
Haq-o-batil hua amne samne
Kufr ab sharm se muh chhupane lage
Aayen jab Mustafa (saw) amne samne
Kufr ne phir uthaya ye fitna naya
Hain Nabi (saw) to karen chand tukde zara
Dekhte dekhte chand shaq ho gaya
Jab Nabi (saw) ne kaha aamne samne
Laye tashreef duniya me khair-ul-waran
Haq-o-batil hua amne samne
Kufr ab sharm se muh chhupane lage
Aaye jab Mustafa (SAW) amne samne
Qatl ka jab Umar (ra) ne irada kiya
Jazba-e-shauq Arqam ke ghar le gaya
Dekhte hi jamal-e-rukh-e-Mustafa (saw)
Dil se kalma padha aamne samne
Laye tashreef duniya me khair-ul-waran
Haq-o-batil hua amne samne
Kufr ab sharm se muh chhupane lage
Aayen jab Mustafa (saw) aamne samne
Gumshuda ek sooyi hai waqya
Jane kab tak use dhoondtin Ayesha (ra)
Raat ki tirgih me ujala liye
Aa gaye Mustafa (saw) amne samne
Laye tashreef duniya me khair-ul-waran
Haq-o-batil hua amne samne
Kufr ab sharm se muh chhupane lage
Aayen jab Mustafa (saw) aamne samne