tera kya banega bande naat lyrics
Tera kya banega bande tu soch aakhirat ki- Urdu poetry
Tera kya banega bande tu soch aakhirat ki
Is jahan me har taraf hain mushkilen
Har taraf hain aafaten hi aafaten
Kuch ghire aafat me, to kuch bimaar hain
Hai yahan duniya me koi bhi sukhi?
Ji nahi, hargiz nahi, sab hain dukhi,
Chal diye duniya se sab saaho gada
Koi bhi duniya me kab baaki raha.
Tera kya banega bande tu soch aakhirat ki
Bewafa duniya pe mat kar aitbar
Tu achaanak maut ka hoga shikaar
Maut aakar hi rahegi yaad rakh
Jaan jakar hi rahegi yaad rakh
Tera kya banega bande tu soch aakhirat ki
Gar jahan me sau baras tu jee bhi le,
Qabr me tanha qayamat tak rahe
Jab farishta maut ka cha jayega
Fir bacha koi na tujhko paayega
Tera-kya-banega-bande-tu
Tera kya banega bande tu soch aakhirat ki
Maut aayi pahalwan bhi chal diye
Khoobsurat naujawan bhi chal diye
Dabdaba duniya me hi rah jaayega
Husn tera khaak me mil jaayega
Teri taakat, tera fann, ohdaa tera
Kuch na kaam aayega sarmaaya tera
Tera kya banega bande tu soch aakhirat ki
Jeetne duniya Sikandar tha chala
Jab gaya duniya se khaali haath tha
Lehlahaate khet honge sab fanaa
Kushnumaa baagaat ko hai kab bakaa
Tu kushi ke phool lega kab talak
Tu yahan zinda rahega kab talak
Tera kya banega bande tu soch aakhirat ki
Qabr roza karti hai ye pukaar
Mujh me hain keede makaude beshumaar
Yaad rakh mai hun andheri kothri
Tujh ko hogi mujh me sun wahshat badi
Mere andar tu akela aayega
Haan magar aamaal leta aayega
Tera kya banega bande tu soch aakhirat ki
Is jahan me har taraf hain mushkilen
Har taraf hain afaten hi afaten
Kuchh ghire afat me kuchh beemar hain
Jo koi qarze ke zer-e-bar hain
Hai yahan duniya me koi bhi sukhi
Ji nahin hargiz nahin sab hain dukhi
Chal diye duniya se sab shah-o-gada
Koi bhi duniya me kab baqi raha
Tera kya banega bande tu soch akhrat ki
Tera kya banega bande tu soch akhrat ki
Bewafa duniya pe mat kar aitbar
Tu achanak maut ka hoga shikar
Maut aa kar hi rahegi yaad rakh
Jaan ja kar hi rahegi yaad rakh
Tera kya banega bande tu soch akhrat ki
Tera kya banega bande tu soch akhrat ki
Gar jahan me sau baras tu jee bhi le
Qabr me tanha qayamat tak rahe
Jab farishta maut ka chhaa jayega
Phir bacha koi na tujh ko payega
Tera kya banega bande tu soch akhrat ki
Tera kya banega bande tu soch akhrat ki
Maut aayi pahalwan bhi chal diye
Khoobsurat naujawan bhi chal diye
Dabdaba duniya me hi rah jayega
Husn tera khak me mil jayega
Teri taqat tera fan ohda tera
Kuchh na kam ayega sarmaya tera
Tera kya banega bande tu soch akhrat ki
Tera kya banega bande tu soch akhrat ki
Jeetne duniya Sikandar tha chala
Jab gaya duniya se khali hath tha
Lahlahate khet honge sab fanah
Khushnuma baghat ko hai kab baqa
Tu khushi ke phool lega kab talak
Tu yahan zinda rahega kab talak
Tera kya banega bande tu soch akhrat ki
Tera kya banega bande tu soch akhrat ki
Qabr rozana ye karti hai pukar
Mujh me hain keede makaude beshumar
Yaad rakh main hun andheri kothri
Tujh ko hogi mujh me sun wahshat badi
Mere andar tu akela ayega
Haan magar ‘amaal leta ayega
Tera kya banega bande tu soch akhrat ki
Tera kya banega bande tu soch akhrat ki
Kar le tauba rab ki rahmat hai badi
Qabr me warna saza hogi kadi
Ya khuda hai iltija ‘Attar ki
Sunnaten apnayen sab Sarkar (saw) ki
Ya ilahi azpaye shah-e-umam
Hashr me ‘Attar ka rakhna bharam
Tera kya banega bande tu soch akhrat ki
Tera kya banega bande tu soch akhrat ki