Chehra Lage Suhana Mere Azhari Miyan Lyrics

Chehra Lage Suhana Mere Azhari Miyan Lyrics

 

Chehra Lage Suhana Mere Azhari Miyan ka Lyrics

Chehra Lage Suhana Mere Azhari Miyan ka
Har Sunni hai Diwana Mere Azhari Miyan ka

Bat’ta hai Sadqa Mufti-e-Aazam ke Naam ka
Luto Ye hai Khazana Mere Azhari Miyan ka

Ta’zime Ala Hazrat Jis Dil mein bas gayi hai
Us Dil mein hai Tarana Mere Azhari Miyan ka

 

 

Roshan Charag Sunniyat hai Jinke Khoon Dil se
Kya Khub hai Gharana Mere Azhari Miyan ka

Bagdad se Madina Ajmer se Bareli
Roohani aana jana Mere Azhari Miyan ka

Jutlaye Lakh koi Lekin hai ye hakikat
Logon hai Ye Zamana Mere Azhari Miyan ka

Chishti hein Qadri hein Noori bhi Ashrafi bhi
Aesa hai Shamiyana Mere Azhari Miyan ka

Is Waste Mein Khalid karta hun Pyar Tumse
Padte ho Tum Tarana Mere Azhari Miyan ka

 

Sharing Is Caring:

Leave a Comment