Hazrat Shaikh Sayyed Sharf-ud-deen Abu Muhamamd Isa Qadri al-Jilani Biography
Hazrat Shaikh Sayyed Sharf-ud-deen Abu Muhamamd Eisā Qaadri al-Jilani rahmatullāhi alaihi :
Aap ke waalid ka naam Hazrat Ghauṡ-ul-aazam Shaikh Sayyed Muhiy-ud-deen Abdul Qaadir bin Hazrat Sayyed Abu Saaleh Moosā Jangi-dost Jilani radiy-Allāhu ta’ala anhu aur waalida ka naam Bibi Madeena binte Meer Muhammad Masjidi hai.
Aap Hasani saadaat hain.
**************
Aap ne apne waalid se ta’aleem haasil ki.
Apne waalid ke wisaal ke baad Aap Misr tashreef laaye aur ta’aleem wa tadrees karte rahe.
Aap Mohaddeeṡ, Faqeeh, Khateeb, Muballigh aur umda Shaayar the.
**************
Aap ki 1 saahabzaadi hai : Bibi Faatima.
**************
Aap ka wisaal 12 Ramazaan 573 Hijri (March 1178 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Qarafa, Cairo (Egypt) me hai.
*******************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Shaikh Sayyed Sharf-ud-deen Eisā Qaadri al-Jilani rahmatullāhi alaihi aur Ahle bait aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.