Hindi Aur Urdu Sher O Shayari

Hindi Aur Urdu Sher O Shayari

 

हम्दे माबूद हो य़ा नाते रसूले अरबी
बर सरे बज़्म सुनाने का उसी को हक़ है

जो भी सरकार की सीरत पे अमल करता हो
जश्ने सरकार मनाने का उसी को हक़ है ।

Ham Nashin Tune Kahin To Unhe Dekha Hoga,
Chandni Jaisa Badan Chand Sa Chehra Hoga,
Mere Murshid Ka Pata Puchhne Walo Sun Lo,
Wo Jahan Honge Ujala Hi Uljala Hoga.

Khushboo Hai Taazgi Hai Latafat Faza Me Hai,
Har Wasf Har Kamaal Mere Mustafa Me Hai,
Jisne Bhi Dekha Padh Liya Kalma Khuloos Se,
Kitni Kashish Jamaale Rasoole Khuda Me Hai.
Faize Nigaahe Hazrate Aale Rasool Se,
Raahe Najaat Maslake Ahmad Raza Me Hai.

Kar Deta Hai Beemar Jise Bughz Ali Ka,
Usko To Maseeha Bhi Shifa De Nahi Sakte.

Khwab Kya Khwab Ki Taabeer Ko Zinda Kar Den,
Murda Tadbeer Ko Tadbeer Se Zinda Kar Den,
Gause Aazam Tere Khuddam Ko Taaqat Wo Mili,
Wo Agar Chahen To Tasveer Ko Zinda Kar Den.

Kitna Achcha Ye Kaam Karta Hai,
Zikre Khairul Anaam Karta Hai,
Aake Yousuf Raza Mohabbat Se,
Pehle Tumko Salaam Karta Hai.

Mukhtar Si Meri Kahani Hai,
Jo Bhi Hai Unki Meharbaani Hai,
Jitni Saanso Ne Unka Naam Liya,
Bas Meri Wahi Zindagaani Hai.

Mere Ahmad Raza Ka Jo Bhi Rasta Chhod Deta Hai,
Use Bhi Jeete Ji Saara Zamana Chhod Deta Hai,
Bhale Hi Barf Ki Silli Pe Leta Ho Koi Najdi,
Raza Ka Naam Sunte Hi Paseena Chhod Deta Hai.

Faize Nigaahe Hazrat E Aale Rasool Se,
Raahe Nijaat Maslake Ahmad Raza Me Hai.

Champa Pe Naaz Hai Na Chameli Pe Naaz Hai,
Har Aashike Nabi Ko Bareilly Pe Naaz Hai.
Ahmad Raza Ne Jahan Pe Guzaare Hain Raato Din,
Hamko Usi Purani Haweli Pe Naaz Hai.

Jo Bolte Nahi Wo Bekaar Lagne Lagte Hain,
Wo Thik Hokar Bhi Beemar Lagne Lagte Hain,
Janaab Apna Ta’lluk Hai Us Kabeele Se,
Jahan Gulaam Bhi Sardaar Lagne Lagte Hain.

Gauhar E Fatima Ko Dekha Hai,
Yaani Ashiqe Mustafa Ko Dekha Hai,
Uski Aankho Ko Bhala Koun Bhayega,
Jisne Bhi Akhtar Raza Ko Dekha Hai.

Mauje Gam Sar Utha Nahi Sakti,
Bebasi Hamko Rula Nahi Sakti,
Jisne Thama Hai Gaus Ka Daaman,
Usko Duniya Kabhi Mita Nahi Sakti.

Is Karam Ka Karun Shukr Kaise Ada,
Jo Karam Mujhpe Mere Nabi Kar Diya,
Mai Sajata Raha Mehfil E Mustafa,
Mujhko Har Gam Se Rab Ne Bari Kar Diya.

Zindagi Jinki Guzarti Hai Jinki Ujaalo Ki Tarah,
Yaad Rakhte Hain Unhe Log Misaalo Ki Tarah,
Ilm Wala To Kabhi Marta Hi Nahi Aasif,
Zinda Rehta Hai Wo Kitaabo Ke Hawalo Ki Tarah.

Insaaniyat Ne Jab Se Tera Dar Pakad Liya,
Shaitaan Ne Suna Hai Ki Bistar Pakad Liya,
Maine To Bas Kaha Tha Ki Sarkar Aa Gye,
Mushkil Zameen Pe Baith Gayi Sar Pakad Liya.

 

 

 

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d