HUSSAIN JAISA SHAHEED-E-AAZAM JAHAN MEIN KOI HUA NAHI HAI NAAT LYRICS

HUSSAIN JAISA SHAHEED-E-AAZAM JAHAN MEIN KOI HUA NAHI HAI NAAT LYRICS

 

 

Hussain Jaisa Shaheed-E-Aazam Jahan Mein Koi Hua Nahi Hai
Churi Ke Niche Gala Hai Lekin Kisi Se Koi Gila Nahi Hai

Yazeed Sar Pe Tegh Bole Hussain Sajde Me Gir Ke Bole
Madine Walo Gawah Rehna Namaz Meri Qaza Nahi Hai

Pukare Abbas Aye Sakina Main Paani Launga Aye Sakina
Katein Hain Baazu Chida Hai Seena Abhi Mera Sir Kata Nahi Hai

Yazeed Sar Pe Tegh Bole Hussain Sajde Me Gir Ke Bole
Madine Walo Gawah Rehna Namaz Meri Qaza Nahi Hai

Hussain Farmaye Ye Sathiyo Se Adaa Karo Pusj Laal Sajde
Hai Tegh Khanjar Tabar Ka Saya Kaha Hamara Khuda Nahi Hai

Gareeb Ummat Ki Bekasi Par Hussain Ka Sir Kata Hai Lekin
Yazeed Jaise Shaki Ke Aage Hussain Ka Sir Jhuka Nahi Hai

Yazeed Duniya Me Laakh Aaye Or Sitam Ban Ban Ke Zulm Dhaaye
Chirag-E-Touheed Phir Bhi Sadik Jala Hai Lekin Bujha Nahi Hai

Sharing Is Caring:

Leave a Comment