Imam e zamana lyrics

Imam e zamana lyrics

Utha Ke Parda dikha do Jalwa ay ibne Zehra (SA) Imam e Zamana (AS)

Haseen Manzar kab dikhega
Khuda ke ghar par Alam ka Saya

Namaz Padhwayeñe ge Jo Maula
To peechhe Saf Mein milenge Isa

Haram mein Majlis wafa karenge
padhenge Nauha Imam e Zamana

 

Utha Ke Parda dikha do Jalwa ay ibne Zehra (SA) Imam e Zamana (AS)…

 

Bahut hi Chhota Sa Ghar Hai Mera
Per Ismein Hujra Hai Ek Tera

Sharaf Ye Mujhko bahut bada hai
Tu Mujhse Karle Ye Ek Vada

Bus ek Shab Ko Tu Mere Ghar Mein
Qayam Karna Imame Zamana

 

Utha Ke Parda dikha do Jalwa
Ay ibne Zehra Imam e Zamana..

 

Misaal e Kaaba Yeh Dil Hai Mera
Hai isme Maula Tera Basera

Sada e Dhadkan Mera fareeza
Bhala Main kaghaz pe ab likhun kya

Tu dhadkano Ki Sada sunega
Tu Jaan lega Imame Zamana

 

Utha Ke Parda dikha do Jalwa
Ay ibne zehra Imam e Zamana..

 

Safar tha paidal jab Arbayiñ ka
Main har jagah Tujhko dhundhta tha

Tu Zaairoñ mein tu Aashiqon Mein
Aye Mere Maula kahin To Hoga

Yah Soch kar hi main sabke qadmon
ko chumta tha Imaam e Zamana

 

Utha Ke Parda dikha do Jalwa
Ay ibne zehra Imaam e Zamana..

 

Kitab e Haq se yeh Maine Jana
Ki Har EK Shay ko Fanaa Hai Maula

Laga hua hai Qaza Ka pehra
Nahin Hai saanson ka ab Bharosa

Jo band ho jaayeñ Meri Aañkheñ
Mujhe jagana Imaam e Zamana

 

Utha Ke Parda dikha do Jalwa
Ay ibne zehra Imam e Zamana..

 

Tujhe tasavvur Mein Jab Bhi Dekha
Ali (AS) ke jaisa Tera Hasham tha

Hai tere qabze mein Teigh e Haider
Alam Hai kaañdhe Pe Ba-Wafa ka

Misaal e Duldul sawari, andaz fatehana! Imame Zamana

 

Utha Ke Parda dikha do Jalwa
Ay ibne Zehra (SA) Imame Zamana..

 

Dua Hai Mazher Ki Raat Din ab
Kahenge aameen Matmi sab

Ho Sehn e Kaaba Mein Jab Bhi Majlis
Baraye Zikr e Hussain o Zainab

Ba gharz e Nauha tum apne Farhan
ko bulana Imaam e Zamana

 

Utha Ke Parda dikha do Jalwa
Aye ibne Zehra Imaam e Zamana..

 

 

Imam e Zamana Imam e Zamana bada dukh bhara hai hamara
fasana
Imam E Zamana Imam e Zamana
Mukhalif hua hai ya zalim zamana..
Imam E Zamana Imam e Zamana

hawas maal o zar ki na kal thi na abb hai
faqat ek nigah-e-karam ki talab hai
yahi hai jahaa’n main hamara khazana
Imam e Zamana Imam e Zamana..

Ali ke mohibbo Salamat raho
tum
jahaa’n bhi raho ba hifazat
raho tum
ataa khud karenge tumhe aab o dana
Imam e Zamana Imam e Zamana..

Luta dunga ashqo’n ke sab motio’n ko
chhupa rakha hai dil me apne ghamo’n ko
meri arzoo hai mere ghar bhi aana
Imam e Zamana Imam e Zamana…

Ziyarat ki khwahish ko dil me basa kar
mai hasrat se dhekunga nigahein uthakar
kahi’n par agar qafela ho rawana Imam e Zamana Imam e Zamana…

Mujhe to zamee’n par hi jannat mili hai
meri zindagi bandagi me dhali hai
tera astaana hai mera thikana
Imam e Zamana Imam e Zamana…

Madad kar Mohammad ke waaris hamari
mita de dil -e- zaar ki beqarari
sakhi hai zamane me tera gharana.. Imam e Zamana Imam e Zamana…

Hawao’n me roshan jo TAHIR diya hai
yahi dar haqiqat wo noor e Khuda hai
Fizao’n me gunje tera hi tarana
Imam e Zamana Imam e Zamana..

Sharing Is Caring:

Leave a Comment