JO BANON PAR HAY BAHAAR-E-CHAMAN AARAI-E-DOST NAAT LYRICS
Jo banon par hay bahaar-e-chaman aarai-e-dost,
Khuld ka naam na le bulbul-e- shaidaayi-e-dost.
Thak key beithe to dar-e-dil pe tamannai-e-dost,
Kaun sey ghar ka ujala nahin zebai-e-dost.
Arsa-e- hashr kuja mawqaf-e-mahmood-kuja,
Saaz hangaamon sey rakhti nahi yaktai-e-dost.
Mehr kis munh sey jaluw daari janan karta,
Saaya key naam sey bezaar hay yaktaai-e-dost.
Marne waalon ko yahaan milti hay umr-e-javed,
Zinda choregi kisi ko na maseehai-e-dost.
Unko yakta kiya aur khalq banai ya’ani,
Anjuman karke tamasha karein tanhai-e-dost.
Ka’aba-o-arsh mein kohraam hay naa kami ka,
Aah kis bazm mein hay jalwa-e-yaktaai-e-dost.
Husne be pardah key parde ne mitta rakha hay,
Dhoondne jaayein kahaan jalwa-e-har jaai-e-dost.
Shauq roke na ruke paaon uthaye na uthe,
Kaisi mushkil me hain Allah tamannai-e-dost.
Sharm sey jhukti hain mehraab key saajid hain Huzoor,
Sajdah karwaati hay Ka’aba sey jabeen saayi-e-dost.
Taaj waalo ka yahaan khaak pe maatha dekha,
Saarey daaraoon ki daaraa hoyi daaraai-e-dost.
Toor par koyi koyi charakh pe ye arsh sey paar,
Saare baalaon pe baala rahi baalaai-e-dost.
Anta fee him ne adoo ko bhi liya daaman mein,
Aishe jaaved Mubarak tujhe shaydai-e-dost.
Ranj-e-aada ka RAZA chaarah hi kya hay key unhein,
Aap gustaakh rakhe halm-o-shakeebaai-e-dost.