JO NABI KA NAHI WO KISI KA NAHI NAAT LYRICS

JO NABI KA NAHI WO KISI KA NAHI NAAT LYRICS

 

Jo Nabi ka nahi wo kisi ka nahi ,
Usko apna banane se kya fayda
Gauso Khwaja se jisko muhabbat na ho
Uske ghar aane jaane se kya faayda

Dushmano se ye kahte the Hazrat Bilal,
Rab ka mahboob hai waqai bemisaal
Main na chorun ga daaman Nabi ka kabhi,
Mujhpe Kode chalane se kya faayda

Nanha Asgar chala , Nanha Asgar chala waadiye khuld me,
Waqt ke un yazeedon se kahte hue
Haude Kausar ke maalik hai nana mere,
Tera ahsaan uthaane se kya fayda

Ye hai farman Yousuf Nabi ka mere,
Maa ke kadmon ke neeche hai Jannat teri
Baap ma ki agar tune khidmat na ki
Hajj-o-Umra pe jaane se kya fayda.

Sharing Is Caring:

Leave a Comment