JO YOM SAB AYYAM ME SABSE AZEEM HE WO JUMMA KARIM HE NAAT LYRICS
Jo yom sab ayyam main sabse azeem he Wo jumma karim he
Jo deen pasand didaye gafurur rahim hai Wo jumma karim he
Jis Deen ke waste mere aaqa ne farmaya
Juma’a rab ne momin ke liye eid banaya
Jo deen nigahe aaqa me itna azeem hai
Wo jumma karim he
Kyu na karu salaam deeno ke imaam ko
Sunte jab khud aaqa durudo salaam ko
Jis me qoobuliyat ki ghadi bhi muqim he
Wo jumma karim he
Jis Deen huyi thi pyaare hazrate aadam ki takhlik
Jis Deen huwa tha aap ka wisaale ba ka maal
Jo deen khuda ke nazdeekh itna azeem hai
Wo jumma karim he
Jis Deen azaan bhi izaafi aata huyi
Machli se Jis Deen zaate yunoos riha huyi
Hoga isi Deen mehshar hadishe azeem hai
Wo jumma karim he
Jo deen azaabe qabr se rakhta he bacha ke
Bakhshe jaate he muzrim bhi dojakh se bulake
Ye to akeel farmane durrey yatim he
Wo jumma karim he