KAAM RUKNE KA NAHI AYE DILE NADA KOI NAAT LYRICS

KAAM RUKNE KA NAHI AYE DILE NADA KOI NAAT LYRICS

 

 

Kaam Rukne Ka Nahi Aye Dile Nada Koi

Parda e Gaib Se Ho Jayega Sama’n Koi

 

Arz Unse Kare Dil Ka Mere Arma’n Koi

Phir Madeene Me Mile Hum Ko Bhi Ramza’n Koi

 

Saare Nabiyo Ki Badi Azmato Rifat Hai Magar

Na Bana Unke Siwa Arsh Ka Mehma’n Koi

 

Baare Isiya Ke Sabab Ho Gaya Halka Palla

Bakhshwaya Mujhe Aakar Sare Meezaa’n Koi

 

Dare Jana Ki Huzoori Jo Moyassar Ho Mujhe

Fir Na Baqi Rahe Dil Me Mere Arma’n Koi

 

Ham Bhi Ek Roz Madine Me Pahonch Jayenge

Aapna Bhi Gaib Se Ho Jayega Sama’n Koi

 

Meri Kashti Ke Nigeh Baan Hai Ghaus e Aazam

Aazma Le Meri Kashti Kabhi Tufaa’n Koi

 

Khwaja e Hind Ke Darbar Ki Hai Baat Badhi

Kabhi Mayus Nahi Lauta Paresha’n Koi

 

Lakh Qanoon Bana Lo Aye Siyasat Dano

Hind Se Jayega Har Giz Na Musalma’n Koi

 

Baaghe Hassan Ke Phoolo Ki Mahek Aati Hai

Aalahazrat Ka Padhe Naatiya Deewa’n Koi

 

Faize Hassa’n Ne Banaya Unhe Hassanul Hind

Na Zamane Me Mila Unsa Ghazal Khwa’n Koi

 

Ishqe Sarwar Ki Badaulat Mila Unko Ye Laqab

Hind Ka Kaise Bane Doosra Hassa’n Koi

 

Azmate Mufti e Aazam To Badi Baat Rahi

Misle Akhtar Hi Dikha Aye Mahe Taaba’n Koi

 

Par Tawe Taaje Shariyat Hain Qaid e Millat

Na Mila Unsa Kahi Humko Nigehba’n Koi

 

Baghe Akhtar Ke Hai Do Phool Husaam o Humam

Dekha Hai Aur Kahi Ayesa Gulista’n Koi

 

Taabe Hussam O Humam Aur Badhe Yu Hi Sada

Inme Ek Dil Hai Koi Aur Meri Jaa’n Koi

 

Tujh Pe Faizan Hai Murshid Ka Zaheere Razvi

Warna Tujh Jaisa Nahi Hoga Paresha’n Koi

Sharing Is Caring:

Leave a Comment