KARAM FARMAYA JAB HUJUR HOTE HAI NAAT LYRICS
Karam farmaya jab hujur hote hai
Ranjo gam pal me door hote hai
Koi jannat kaa mujdaa paataa hai
Koi kuwwat-E-haafizaa badhaataa hai
Jab aashiqo pe karam bharpoor hote hai
Ek pyaale se sattar ko pilaate hai
Palme Tahni ko talwaar banaate hai
Wo chaahe jo faisalaa sunaate hai
Unke faisle to, rab se manjur hote hai
Koun garib koun ameer koun madinaa jaataa hai
Naa paisaa naa doulat naa kuch kaam aataa hai
Bulaawaa un aashiqo ko bhi dar se aataa hai
Jo jaane ke asbaab se majboor hote hai
Mehsar me gamgeen ho kaise aakaa gulaam teraa
Dil me bharaa ho jiske ishq kaa jaam teraa
Sar pe ho jiske Saayaa-E-Mubaarak teraa
Maaf saare uske kasoor hote hai
Jaam jisne teraa piyaa ho
Naa kahi aur uska gujaaraa ho
Dil me jab aakaa tere ishq kaa baseraa ho
Gam saare dil se Door hote hai
Na farmaniya Jo pal pal me Teri karte hai
Kankariya padhe kalma fir bhi fira karte hai
Jinke Dil me, aakaa ulfat teri nahi
Be-adab aur wo be-shaoor hote hai
Jo gustaakhiyaa teri shaan me karte hai
Ilm e gaib ke khud ko munkir kahte hai
Kalb unke kaale, wo benoor hote hai
Jindagi me ho jinke, tere karam kaa gujar
Paate ijjat aur mashhoor hote hai
Ek tabassum jo aakaa tum ataa kar do
Pal me saare andhere door hote hai
Aakaa tere ushaak jo dar pe aane waale
Saare aashiq ishq me choor hote hai
Rahte tere dar ki gar khaak ban ke
Kaamyaab Wo jahaa me jarur hote hai
kaise fire wo jahaan me maare maare
Jinpe teri ataao ke noor hote hai
Rab kaa didaar paaya ye teri shaan hai
warnaa tajalli se hi khaak toor hote hai
“Abid” teri lahad me ho jab wo tashrif farmaa
Pal me pahchaan janaa unse noor hote hai