KARAM TERA KI BE-JAUHAR NAHIN MAIN NAAT LYRICS

KARAM TERA KI BE-JAUHAR NAHIN MAIN NAAT LYRICS

 

Karam tera ki be-jauhar nahin main
Ghulam-e-tughrul-o-sanjar nahin main

Jahan biini meri fitrat hai lekin
Kisi jamshed kā Saghar nahin main

Mere Allah, Tu kareem hai
Mere Allah, Tu raheem hai

Tere bande hain hamsab ek nazar dekh le ab
Hal behaal huye hai ham gunahon me pade hain

Mere Allah, Tu kareem hai
Mere Allah, Tu raheem hai

Tere quran ko bhoole tere ehsaan ko bhoole
Ilm la-hasil hain ham, kahne ko qabil hain ham

Haan wo aamal nahin wo ham se pahlon ke the jo
Phir se tu aisa kar de, jazbah wo taza kar de
Mere Allah, Tu kareem hai
Mere Allah, Tu raheem hai

Tere bande hain hamsab ek nazar dekh le ab
Mere Allah, Tu kareem hai, Mere Allah, Tu raheem hai

Romiyo jami koi ho hafiz-o-sadi koi ho
Hamd-o-naat padhen sang, de badal jeene ki dhang
Rab tu phir tujh se jode hirs duniya ki chhoren
Dars tableegh sunen ham aaj ek hoke chalen ham
Mere Allah, Tu kareem hai
Mere Allah, Tu raheem hai

Tere bande hain hamsab ek nazar dekh le ab
Mere Allah, Tu kareem hai, Mere Allah, Tu raheem hai

Wasta unka dekar ummati unka kah kar
Hai talabgaar jannat Mustafa (saw) ki ye ummat

Zohabato taqwa de tu kam kuchh aisa le tu
Jis se razi ho jaye haal mazi ho jaye
Mere Allah, Tu kareem hai
Mere Allah, Tu raheem hai

Tere bande hain hamsab ek nazar dekh le ab
Mere Allah, Tu kareem hai, Mere Allah, Tu raheem hai

Tere bande hain hamsab ek nazar dekh le ab
Hal behaal huye hai ham gunahon me pade hain
Mere Allah, Tu kareem hai
Mere Allah, Tu raheem hai

Sharing Is Caring:

Leave a Comment