NAJDIYA SAKHT HI GANDI HAI TABIYAT TERI NAAT LYRICS
Najdiya Sakht hi Gandi Hai Tabiyat Teri
Kufr Kiya Shirk Ka Fuzla Hai Nijasat Teri
Khaak Munh Mein Tere Kehta Hai Kise Khaak Ka Dher
Mit Gaya Deen Mili Khaak Mein Izzat Teri
Tere Nazdeek Huaa Kizb-e-Ilaahi Mumkin
Tujhpe Shaitan Ki Fatkaar Yeh Himmat Teri
Balke Kajjab Kiya Toone tu iqraar-o-W aqoo’a
Uff Re Napaak Yahan Tak hai Khabasat Teri
Ilm Shaitan Ka Hua Ilm-e-Nabi Se Zayed
Padhun Lahoul Na Kiyon Dekh Ke Soorat Teri
Bazm-e-Mee lad Ho Kaanha Ke Janam Se Badtar
Arre Andhe Arre Mardood Yeh Jur’at Teri
ilm-e-Ghaibi Mein Majnoon-o -Bahayem Ka Shumool
Kufr Aamez Junu’n Za Hai Jihalat Teri
Yaad-e-Kha r Se ho Namazo Mein Khyal Unka Bura
Uff Jahannam Ke Gadhe Uff Ye KharafatTeri
Unki Tazeem karega na Agar Waqt-e-Nam az
Maari Jayegi Tere Munh Pe Ibadat Teri
Hai Kabhi Boom ki Hillat to Kabhi Zaagh Halal
Jeefa Khwari Ki Kahin Jati Hai Aadat Teri
Hans Ki Chaal to Kiya Aati Gayi Apni Bhi
Ijtihadon Se Hi Zahir Hai Himaqat Teri
Khule Lafzo Mein Kahe Qazi-e-Sho ka’n Madade
Yaa Ali Sun ke Bigad Jaye Tabiyat Teri
Teri Atke to Wakeelo’n Se Kare istimdaad
Aur Tabeebo’n Se Madad Khwah ho illat Teri
Hum Jo Allah Ke Piyaron se i’aanat Chahein
Shirk Ka Chirk Ugalne Lage Millat Teri
Abd-e-Waha b Ka Beta Hua Shaikh-e-N ajdi
Uski Taqleed Se sabit Hai Zalalat Teri
Ussi Mushrik Ki Tasneef Hai Kitab-ul-T ouheed
Jiske Her fiqra Pe Hai Mohr-e-Sad aqat Teri
Tarjuma Uska Hua Taqviyatul -eiman Naam
Jisse Benoor Huee Chashm-e-B aseerat Teri
Waqif-e-Gh aib Ka irshad Sunaau’n Jisne
Kholdi Tujhse Bahut Pehle Haqeeqat Teri
Zalzale Najd Mein Paida Ho Fitan Barpa Ho
Yani Zahir Ho zamana Mein Sharart Teri
Ho Ussi Khaak Se Shaitan Ki Sangat Paida
Dekh Le Aaj Hai Moujood Jama’at Teri
Sar Munde Honge to Pajame Ghutne Honge
Sar Se Paa Tak Yahi Poori Hai ShabahatTeri
Ad-dua Hoga Hadeeso Pe Amal Kerne Ka
Naam Rakhti Yahi Apna Jama’at Teri
Lekin Utrega Na Qur’aan Gale Se Neeche
Abhi Ghhabra Nahi Baqi Hai Hikayat Teri
Nikleinge Deen se Yoon Jaise Nishana Se Teer
Aaj Us Teer Ki Hai Sangeet Teri
Apni Halat Ko Hadeeson Ke Mutabiq Ker Le
Aap Khul Jayegi Fir Tujh Pe Khabasat Teri
Chhorh Ker Zikr Tera Ab Hai Khitab Apno se
Ke Hai Mabghooz Mujhe Dil se Hikayat Teri
Mere Piyare Mere Apne Mere Sunni Bhai
Aaj Kerni Mujhe Tujhse Shikayat Teri
Tujh se Jo Kehta Hun Tu Dil se Sun Insaf Bhi Ker
Kare Allah Ki Toufeeq Himayat Teri
Gar Tere Baap Ko Gaali de Koi Be Tehzeeb
Ghussa Aaye Abhi Kuch Aur Ho Halat Teri
Galiya’n Dein Unhe Shaitan-e- La’een KePairu
Jinke Sadqe Mein Hai Her Doulat-o-N emat Teri
Jo Tujhe Pyar Karein Jo Tujhe Apna Farmayein
Jinke Dil Ko Kare BeChain Aziyyat Teri
Jo Tere Waste Takleefein Uthayein Kiya Kiya
Apne Aaram se Pyari Jinhe Soorat Teri
Jaag Ker Ratein Ibadat Mein Jinhone Kaati
Kis Liye iss Liye Kat Jaye Museebat Teri
Hashr Ka Din Nahi Jis Roz Kisi Ka Koi
Uss Qayamat Mein Jo Farmayein Shafa’at Teri
Unke Dushman se Tujhe Rabt Rahe Mel Rahe
Sharm Allah Se Ker Kiya Huee Ghairat Teri
Toone Kiya Baap Ko Samjha Hai ziyada Unse
Josh Mein Aayi Jo Is Darja Hararat Teri
Unke Dushman Ko Agr Toone Na Samjha Dushman
Wo Qayamat Mein Na Kareinge RifaqatTeri
Unke Dushman Ka Jo Dushman Nahi Sach Kehta Hoon
Dawa Be Asl Hai Jhooti Hai Mohabbat Teri
Balke Eimaan Ki Jo Pooche to Hai Eiman Yahi
Unse ishq Unke Adu se Ho Adawat Teri
Ahl-e-Sunnat Ka Amal Teri Ghazal Pe Ho Hasan
Jab Main Janu Ke Thikane Lagi Mehnat Teri