PAAT WO KUCH DHAAR YE KUCH ZAAR HAM NAAT LYRICS
Paat wo kuch dhaar ye kuch zaar ham,
Yaa Ilaahi kyoon kar utrein paar ham.
Kis bala ki mai sey hain sarshaar ham,
Din dhala hote nahin hushiyaar ham.
Tum karam sey mushtari har aib key,
Jins-e-na maqbool har baazar ham.
Dushmanon ki aankh mein bhi phool tum,
Doston ki bhi nazar mein khaar ham.
Laghzish-e-paa ka sahara ek tum,
Girne waale laakhon na hinjaar ham.
Sadqa apne baazuon ka almadad,
Kaise torein ye bute pindaar ham.
Dam qadam ki khair aay jaan-e-maseeh,
Dar pe laaye hain dil-e-beemar ham.
Apni rehmat ki taraf dekhein Huzoor,
Jaante hain jaise hain badkaar ham.
Apne mehmaano ka sadqa ek boond,
Mar mitey pyaase idhar Sarkaar ham.
Apne koocha sey nikaala to na do,
Hain to had bhar key khudai khwaar ham.
Haath utha kar ek tukra aay Kareem,
Hain sakhi key maal mein haqdaar ham.
Chaandni chatki hay unke noor ki,
Aao dekhein sair-e-toor-o-naar ham.
Himmat aay za’af unke dar par gir key hoon,
Be takalluf saaya-e-deewar ham.
Ba ataa tum shah tum mukhtaar tum,
Be nawa ham zaar ham naa chaar ham.
Tum ne to laakhon ko jaanein pher deen,
Aisa kitna rakhte hain aazaar ham.
Apni sattaari ka Yaa Rab waasta,
Hoon na ruswa bar sar-e-darbaar ham.
Itni arz-e-aakhri keh do koi,
Naaw tooti aa paray manjhdaar ham.
Munh bhi dekha hay kisi key afw ka,
Dekh ow isiyaan nahin be yaar ham.
Main nisaar aisa musalmaan kijiye,
Tor daalein nafs ka zunnaar ham.
Kab sey phailaye hay daaman tegh-e-ishq,
Ab to paayein zakhm daaman daar ham.
Sunniyat sey khatke sab ki aankh mein,
Phool ho kar ban gaye kya khaar ham.
Naatawani ka bhala ho ban gayay,
Naqsh-e-paaye talibaan-e-yaar ham.
Dil key tukre nazr-e-haazir laaye hain,
Aye sagaan-e-koocha-e-dildaar ham.
Qismat-e-soor-o-hiraa ki hirs hay,
Chahte hay dil mein gehra ghaar ham.
Chashm pooshi-o-karam shaan-e-shumaa,
Kaar-e-maa be baaki-o-israar ham.
Fasl gul sabzah saba masti shabaab,
Chorein kis dil sey dar-e-khumaar ham.
Maikadah chut-ta hay lillah saaqiya,
Ab key saaghar sey na hon hushiyaar ham.
Saaqi-e-tasneem jab tak aa na jayein,
Aye siyah masti na hon hushiyaar ham.
Naazishein karte hain aapas mein malak,
Hain ghulaamaan-e-shahe abraar ham.
Lutf az khoo raftagi Yaa Rab naseeb,
Hon shaheed-e-jalwa-e- raftaar ham.
Un key aage dawa-e-hasti RAZA,
Kya bake jaata hay ye har baar ham.