Unko dekha toh gaya bhul mai gum ki surat Naat Lyrics
Unko dekha toh gaya bhul mai gum ki surat
Yaad bhi ab toh nahi ranj o alam ki surat
Khwab mein dekhun agar daafae gum ki surat
Phir na waqae ho kabhi ranj o alam ki surat
Aable paon mein pad jaen jo chalte chalte
Raah-e-Taiba mein chalun sir se qadam ki surat
Moom hai Unke qadam ke liye dil pathar ka
Sang ne dil mein rakhi Unke qadam ki surat
Teri tasvir khinche rue munawwar kyun kar
Kaise khinche koi misbahe zulam ki surat
Aaen jo khwab mein woh ho shabe gum eid ka din
Jaen to eid ka din ho shabe gum ki surat
Bhed ko khauf na ho sher se jo Tum chaho
Tum jo chaho to bane shere ganam ki surat
Surat-e-Paak woh be-misl hai pai Tum ne
Jiski saani na arab aur na ajam ki surat
Dum nikal jae mera raah mein Unki noorie
Unke kuche mein rahun naqshe qadam ki surat
- Hazrat Peer Allama Mufti Manzoor Ahmad Faizi Chishti Biography
- Hazrat Haafiz Abdul Azeez Muradabadi Biography
- Hazrat Khwaja Sayyed Abu Ahmad Abdaal Chishti Biography
- Hazrat Khwaja Abu Ali Fazl al-Faarmadi Biography
- Hazrat Abu Muhammad Imam Hasan al-Mujtaba Biography
- Hazrat Shaikh Allah-Bakhsh Abbaasi Naqshbandi Biography
- Hazrat Khwaja Sayyed Ala-ud-deen Ali Ahmad Saabir Kaliyari Biography