YA RASUL ALLAH KARAM YA HABIB ALLAH KARAM NAAT LYRICS

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam

Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Qaram

Isyaan main duba sar basar, aamal naik hain sifar

Sadkey mein Ghoue e Pak kay, ker do karam ki eik nazar.

Ya Rasoulallah Karam, Ya Habeeballah Karam

Ya RasulAllah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Tum ho Rasuloon kay Rasool dur houn rang o malool

Sadqay main Ghouse Pak kay, kerlo ghulamoon main qabool.

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam

Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Allah kay ho tum habib, dono jahan kay ho tabib

Sadqey mein Ghous e Paak kay, ho rooh ko shifa naseeb.

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam

Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Shaqeer e Razvi kay hazoor, houn maaf sab kay sub kasoor

Sadqey mein Ghous e Paak kay, dar’ein ka milay saroor.

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam

Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Na kaheen say dur hain manzilein, na koi kareeb ki baat hai

Jisay chahein usko nawaz dein, yeah dar e habib ki baat hai.

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam

Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Jisay chaha dar pay bula liya, jise chaha apna bana liya

Ye baray karam kay hain feslay, yeh baray naseeb ki baat hai.

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam

Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Ba Khuda nahin, woh Khuda nahin, woh magar Khuda say juda nahin

Woh hain kiya, magar woh hain kiya nahin, yeh Muhib Habib key baat hai.

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam

Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Woh machal kay rah mein reh gayein, yeh tarap kay dar say lipat gayein

Woh kisi ameer ki shaan thi, yeh kisi ghareeb ki baat hai.

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam

Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Tujhay aie Munawar e bay nawa, dar e shah say chahiye aur kiya?

Joh naseeb ho kabhi samana, toh baray naseeb ki baat hai.

Ya Rasoolallah Karam, Ya Habiballah Karam

Ya Rasul Allah Karam Ya Habeeb Allah Karam.

Sharing Is Caring:

Leave a Comment