YAAD-E-WATAN SITAM KIYA DASHT-E-HARAM SEY LAAYI KYOON NAAT LYRICS

YAAD-E-WATAN SITAM KIYA DASHT-E-HARAM SEY LAAYI KYOON NAAT LYRICS

 

 

Yaad-e-watan sitam kiya dasht-e-Haram sey laayi kyoon,

Baithe bithaye bad naseeb sar pe balaa uthayi kyoon.

 

Dil mein to choot thi dabi haaye ghazab ubhar gayi,

Pucho to aah sard sey thandi hawa chalayi kyoon.

 

Chhor key us haram ko aap ban me thagoon key aabsoo,

Phir kaho sar pe dhar key haath lut gayi sab kamayi kyoon.

 

Baagh-e-arab ka sar-we-naaz dekh liya hay warna aaj,

Qumri-e-jaan-e-ghamzadah goonj key chehchhai kyoon.

 

Naam-e-Madinah le diya chalne lagi naseem-e-khuld,

Sozish-e-gham ko ham ne bhi kaisi hawa batayi kyoon.

 

Kis ki nigaah ki hayaa phirti hay meri aankh mein,

Nargis mast naaz ne mujh sey nazzer churayi kyoon.

 

Tu ne to kar diya tabeeb aatish-e-seena ka ilaaj,

Aaj key daur-e-aah mein booye kabaab aayi kyoon.

 

Fikr-e-ma’aash bad bala hol-e-ma’aad jaan gazaa,

Laakhon bala mein phansne ko rooh badan mein aayi kyoon.

 

Ho na ho aaj kuch mera zikr Huzoor mein hua,

Warna meri taraf khooshi dekh key muskurayi kyoon.

 

Hoor-e-jinaan sitam kiya Taibah nazar mein phir gaya,

Cheer key parda-e-hijaaz des ki cheez gaayi kyoon.

 

Ghaflat-e-shaikh-o-shaab par hanste hain tifl-e-sheer khwaar,

Karne ko gud-gudi abas aane lagi bahayi kyoon.

 

Arz karoon huzoor sey dil ki to mere khair hay,

Peet-ti sar ko aarzu dasht-e-haram sey aayi kyoon.

 

Hasrat-e-nau ka sa’niha sunte hi dil bigar gaya,

Aise mareez ko RAZA marg-e-jawaan sunayi kyoon.

Sharing Is Caring:

Leave a Comment