Zainab bint-e-Ali Lyrics
Aqeelatul Arab x8
Ay munkaro nakir sunlo meri sada tum ko nahi pataa zainab ka hun fakir
Yeh Kabr nahi hain uskaa hai aza khana jo bint-e-Murtaza hai Shabbir ki hamshir
Zainab binte Ali x8
1. Ay nakirayn sawaalo ki na bharwar karo,
Farshe majlis hai yahan awo adab se betho
Sheh ki majlis ho bapa hukm dete hai yahi
Zainab binte Ali x8
2. Tum bhi aate the dar-e-binte Ali pe aksar
Sajda-e-shukr kiya maine bhi us chowkhat par
Jab bhi sajde me jabeen mein bhi kehta tha yahi
Zainab binte Ali x8
3. Kon hai maula mera tum ko batata hu abhi
Aawo betho tumhe talkeen sunata hu abhi
Kya tumhe yaad nahi hai madadghar meri
Zainab binte Ali x8
4. Daagh-e-matam jo hai tehrir mere sine par
Saath aaya hai mere mera hawala bankar
Haan kafan par bhi mere ye ibarat hai likhi
Zainab binte Ali x8
5. Tum ko batalatu hu me ashk azaa ki qimat
Ek aansoo ki barabar nahi baagh-e-jannat
Rone waalo ke liye parti hai nade ali
Zainab binte Ali x8
6. Sunke ye baat nakirayn ne khaalik se kahaa
Ai khuda banda-e-zainab hai ye banda tera
Kya sawaal isse kare iske lab par hai abhi
Zainab binte Ali x8
7. Hum sawaalat ke khatir to nahi aate hai
Khayriyat puch ke momin ki chale jate hai
Khuch nahi keh te use jiske zamin ho bani
Zainab binte Ali x8
8. Phir nakirayn ne aapas me ye tey kar ke kaha
Chor do sare sawaalaat sunawo nawha
Per musalsal ye sadaa kabr se aati rahi
Zainab binte Ali x8
9. Ay nakirayn wo Abbas-e-Ali ki Khwahar
Majma-e-ahle sitam mei ye pukari ro ker
me wohi bibi hun Jisko kehte hai nabi
Zainab binte Ali x8
10. Baad Darvaish ne Rehan ye saabit ker di
Kabr me unse sawaalat nakirayn kabhi
aake Karde gi nahi jise bhi ho razi
Zainab binte Ali x8
Urdu Nohas Information:
Nawha Reciter: Shahid Baltistani
Album: Shahid Baltistani 2007 Volume