501+ BEST Love Shayari in Hindi
Me mar jau to mere Sirhane na bithana us ko,
Boht Tasalli dena boht pyar se Samjhana us ko,
Ghomne ka bahana kar k door Fizao me kahi le jana us ko,
Wo bawafa hy us waqt ye ehsas na dilana us ko,
Us k samny na karna batey aesi k meri yaad ajae,
Meri tafri k mashghale suna suna k hansana us ko,
Wo roye ga boht bilawaje to meri rooh tarap uthegi Yaar,
Dost tm aesa karna meri Mout ka he na batana us ko…….
*********************************************************
Ab tujhy dekhun to mohabat nahi hoti mujhko
zakham khulty hain to aziyat nahi hoti mujh ko
itna badla hun tery sheher ka pani pi kar
jhoot bolun to ndamat nahi hoti mujh ko
ab koi aae chala jae main khush rehta hun
ab kisi shakhs ki adat nahi hoti mujh ko
itna masroof hun jiny ki hawas main Shahid
sans leny ki bhi fursat nai hoti mujh ko
*********************************************************
Naa jaane aaj kya mehsoos kar rahi hoon main
Lag raha hai jaise sare ehsaas mar se gaye hai mere
Jin ehsaaso ko shabdo mein piro kar ek naya roop diya karti thi
Aaj na jane kyun un shabdo se hi chid ho gayi hai mujhe
Itne log hai mere aas paas lekin phir bhi akeli hoon main
Sab kuch paakar bhi jaise kuch adhuri si hoon main
Sapno me is kadar khoi rahi ki sacchai ka pata hi na chal saka
Is tarah achanak sab khatm ho gaya ki ek aansu tak na beh saka
Aaj khush hoon main, muskurati hoon main
Koi dar nahi ki khone ko ab bacha hi kya hai
Sab poochte hai ki itni khush kaise rehti hoon main
Ki nahi jante wo, ab mere paas rone ko bacha hi kya hai….
*********************************************************
Kisi saBaB sy agar bolti nahi h0n MAiN,
To yun nahi k TUJHE sochti nahi h0n MAiN,
MAiN TUM ko khud sy juda kr k kis trha dekh0n,
K MAiN b TUM h0n koi doosri nahi h0n MAiN,
MERE Badan ki har eent main anaa rakhi hai,
MAiN khud Bani nahi Banayi hui h0n MAiN,
MERE wajood k andar MUJHE talash na kya kar,
K is makaan mein kaBi rahi nahi h0n MAiN,
MAiN ik umr sy khud ko talashti h0n magar,
MUJHE yaqeen nahi k h0n Bya nahi h0n MAiN………………
*********************************************************
Buhat Muddat Se Aisa Hai,
K Tum Khamosh Rehtay Ho,
Koi Gehra Hai Ghum Shayad,
Jisay Chup Chap Sehtay Ho,
Yunhi Chaltay Hue Tanha,
Koi Ghamgeen Se Naghma,
Tum Aksar Gungunatay Ho,
Doran-e-Guftago Yunhi,
Milein Nazron Se Jab Nazren,
Toh Baatein Bhool Jatay Ho,
Kisi Gum Sum Si Halat Mein,
Ya Phir Barish K Mousam Mein,
Faqat Itna Hi Kehtay Ho,
Udasi Bewaja Si Hai,
Buhat Bojhal Tabiyat Hai,
Bhala Sach Kyun Nahi Kehtay,
Mujhe Tum Yaad Kartay Hooo…!
**********************************************************
In faslon ki fikr min kiyon karon bhala.
Bht door reh k bhi mere pas he koi.
Is soch min duba he bht der se mera dil.
Kia us k dil min bhi aisa ahsas he koi.
Us ki nazron se he bana meri sanson ka tasalsul.
Is trah meri zindgi ki aas he koi.
Us ka jo pucha he to bas itna jan lo.
Bht khas, bht khas, bht khas he koi.
MOHSIN jo ja rahe ho to use ye bhi kehna.
Us k bina is shehar min udas he koi.
**********************************************************
Badalti Rut Ka “ISHARA” Dekhte Hain
Ab Kaise Hoga “GUZARA” Dekhte Hain
Mohabat Ki Ye Rasm Bhi Ktni Ajeeb Hai
Jaane Wale Palat Kr”DUBARA” Dekhte Hain
K Jaisey Doobne Wale Doobne Se Zra Pehle
Ek Umeed Pr “KINARA” Dekhte Hain
Teri Khudai Se Gila Hone Lagta Hai
Jab Dunya Mein Koe “BE SAHARA” Dekhte Hain
Kya Mohabat Hamein Bhi Raas Aye Gi “WASI”
Aao Apna Apna “SITARA” Dekhte Hain.
**********************************************************
Sadma to hai mujhe bhi ke tujhse judaa hoon mein
Lekin ye sochta hoon, Ke aab tera kyaa hoon mien
Mein Khudkushi ke jurm ka karta hoon aitraaf
Apne Badan ki kabr mein, Kab se Gadhaa hoon mein
Kis kis ka naam laao Zubaan par ke tere saath
Har roz ek shaks naya Dekhta hoon mien
Kyaa jaane kis adaa se liya tu ne mera naam
Duniyaa Samajh rahi hai, ke sab kuch tera hoon mein
Le mere Tajrubo(n) se sabak, aye mere raqeeb
Do-Chaar saal umr mein, Tujhse bada hoon mien
Jagaa huwa zameer woh aiyeena hai “Qateel”
Sone se pehlay roz, jise dekha thoon mein
**********************************************************
**********************************************************
!!Shaam K Saanwly Chehry Ko Nikhara Jaye!!
Kuin Na Saagar Se Koi Chaand Ubhara Jaye,
Raas Aaya Nahi Taskeen Ka Saahil Koi!!
Phir Mujhe Piyas K Darya Me Utara Jaye,
Meharban Teri Nazar,Teri Adaein Qatil!!
Tujhe Kis Naam Se Ae Dost Pukaara Jaye,
Mujh ko Dar Hai Tere Wady Pe Bharosa Kar K!!
Muft Me Ye Dil-e-Khush Fehem Na Maara Jaye
Jis K Dam Se Mere Din Raat Darakhshan The Qateel!
! Kaise Ab Us K Bina Waqt Guzara Jaye.
**********************************************************
Ab Mohabbat ki Wakalat Nai Ki Ja Sakti,
Shehr Bhr se to Adawat Nai Ki Ja Sakti,
.
Mera Chehra Meri Aankhen hain Salaamat Ab B,
Kon Kehta Hai Wazaahat Nai Ki Ja Sakti,
.
Baat ye Hai k koi Toot k Chaahay to Sahi,
Her ksi se to Mohabbat Nai Ki Ja Sakti,
.
Aankh Kehti Hay Kahin Or Chalay Jaayen Hm,
Dil ye Kehta Hai k Hijrat Nahi Ki Ja Sakti,
.
Loh-e-Dil par Yehi Tehreer Likhi hay,
….Mohsin….
Ishq Waalon ko Naseehat Nai Ki Ja Sakti.
**********************************************************
Hum Aaj B Hen Soch Men Dooby Hue “MOHSIN”
Khud Se Kabhi Duniya Se Hain Roothe Huye “MOHSIN”
.
Deney K Liye Us Ko Jo Hum Ne Thay Sambhale,
Wo Phool Kitabon Me Hen Sookhe Huye “MOHSIN”
.
Wo Apni Jäfäön Me Kuch Kmi To Karain Aaj,
Ik Umer Hui Shehar Ko Chore Huye “MOHSIN”
.
Hum Ne Yeh Kaha Tha K Unhein PYAR Hai HUM Se,
Hum Aaj Bhari Bazam Me Jhoote Huye “MOHSIN”
.
Agosh Mein Unki Hum Rahat Jo Mli Hy,
Hum Aaj Kuch Andar Se Hen toote huye Mohsin.
**********************************************************
Besbab chor dia tm ny koi ilzam dia hota
Meri khamosh muhabat ko koi nam dia hota
Me mar Q na gia teri narazgi se pehly
Mujhy chorna tha to koi laqab-e-badnam dia hota
Me umar bhar k lye nhi kehta k mera 7 dedo
Bus jeny ko koi dilasa kisi sham dia hota
Tmhen pany ki talab me kitna roya dil-e-muntazir
Rat bhar jagny ki ibadat ka koi inam dia hota
Agr hum na the teri wafa k qabil
( MOHSIN )
Hm mar hi jaty agr zehar ka jam dia hota…
**********************************************************
Reza e kanch ki soort me Bikhar jata hon,
Main teri yaad main Jab Had se guzar jata hon,
Ab gurezan hy wo milne se Jo kehta tha kbhi,
Tum se milte hi main kuch or nikhar jata hon,
Roz khata hon tujhe yaad na karne ki qasam,
Roz wadon se main apne hi mukar jata hon,
Mujhko tamasha bana dia hy muhabat ne teri,
Log kasty hain aawazein Main jidhar jata hon,
Har gham pe khaya hy Muhabat ka dhoka,
Ab koi piyar se bulata hy To Dar jata hon.
**********************************************************
Saza kaatnay k bad bhi Mujhay rehaai na mili,
Dokhy faraib milay Duniya main Sachaai na mili,
Sub ko Maloom tha Meri be Gunnahi ka,
Mujhe Saffai k leye koi Gawai na mili,
Jub DIL ghabraya Duniya k shorro ghull se,
Bahot tallash ki mager Mujhe kahin Tanhaai na mili,
Kya pata kaisay baser kartay hain Zindagi Wo Log,
Jin ko Duniya dakhne k leye benai na mili,
Jis se Wafa kartay thay Apna samaj ker
“MOHSIN”
Us say b elzam mila Koi Achai na mili.
**********************************************************
Wqt NikaL K Chota Sa Mera Kam Kia Kr,
Tu Kuch Dair Mjhe Yad hr Shaam Kia Kr.
Ameer_E_Sheher Se Na Barha Rasm_O_Raah .!
Ghareeb_E_Sheher Ko Jhuk K Salaam Kia Kr.
Nhi Maangte Mohabbat Ki Bheek Tum Se,
Hum Ehl_E_DIL Hen Hamara Ehtiraam Kia Kr.
Tabiyat Behel C Jati He TumSe Mil K ,
Shaam Ka Koi Peher Mere Naam Kia Kr.
Tumhen Mjh Se jo Gilay Hen,Mere Sath Kr,
Yoon Narazgi Ka Charcha Na Sar_E_Aam Kia kr..
**********************************************************
Main Aise Mor pe Apni Kahani Chhor Aya Hoon,
Kisi ki Aankh Main PaNi hi PaNi Chhor Aya Hoon,
Bas Itna Soch Kar Hi Mujh Ko Apne Paas rkh Lo Tum,
Tumhare Waste Dunya Purani Chhor Aya Hoon,
Tu Ne Nafrat Se Jo Dekha To Mujhe Yaad Aya,
Kaise kaise Rishte Teri Khatir Main Torr aya hon.
**********************************************************
Chup chup Rehna seekh liya hai ,
har dukh sehna seekh liya hai ,
Ashkon ki Moujon ne dil k
andar behna seekh liya hai,
pathar jaise logon ko bhi
acha .
.kehna seekh liya hai,
jeevan ki tapti Raahon per,
Tanha chalna seekh liya hai,
apna dard chupa kr sab se,
tanha Rona seekh liya hai.
**********************************************************
Ghar ki deewar thi, deewar kahaan ta jati,
Mitt gaee hasrat-e-deedar bhi rafta rafta,
Hijr main hasrat-e-deedar kahaan tak jati,
Thak gaye hoont tera naam bhi laitay laitay,
Aik hi lafz ki takraar kahaan tak jaati,
Tau bohot door bohot door geya tha mujh say,
Meri awaaz meray yaar kahaan tak jaati,
Har taraf husn kay bazaar lagay thay MOHSIN,
Meri chashm-e-kharidaar kahaan tak jaati!
**********************************************************
**********************************************************
Koi ghazal suna kar kya kerna,
Yoon baat barrha kar kya kerna.? Tum mere thay tum mere ho,
Duniya ko bata kar kya kerna.
Tum ehad nibhao chaahat se,
…Koi rasam nibha kar kya kerna.
Tum khafa bhi achhe lagty ho,
Phir tum ko mana kar kya kerna.
Tere dar pe aa k bethay hen
Ab ghar bhi ja kar kya kerna
Din yad se acha guzray ga
Phir tum ko bhula kar kya kerna…
**********************************************************
Mujhe maaf kar maire humsfar
tuhje chahna meri bhool thy,
kisi raah per jo uthy nazar
tujhe dekhna meri bhool thy
koy nazam ho ya koy ghazal
kahen raat ho ya kahen sehar
wo gali gali wo shehar shehar
tujhe dhondna meri bhool thy
meray gham ki koy dawa nhi
mujhe tujhsa koy mila nhi
mera koy tere siwa nahi
ye sochna meri bhool thy…
**********************************************************
Haqeeqat Hay,Yaqeen Kar Lo,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon
Muhabbat Mar Chuki Ab To,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon
Badalti Rutt Ki Wajah Se, Zra Bojhal Tabiyat Hay
Yun Mera Haal Mat Poocho,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon
Mery Lehjay Pa Mat Chonko,Meri Aankhon Mein Mat Jhanko
Yun Hairat Se Na Dekho tm,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon
Tumhein Kya Weham Hay Kiun Raat Bhar Milnay Nahi Aatin
Aey Meri Neend Ki Pariyoon,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon
Udasi Saray Ghar Mein Pahilti Jati Hay Gham Ban Kar
Dar O Deewar Pe Likh Do,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon
**********************************************************
Kuch log sitam karne ko taiyar baithe hain,
Kuch log mager Hum pe dil haar baithe hain,
Is kashmakash mein Humse pehchane nahi jate,
Kahaan dushman hain aur, kahan dost yaar baithe hain,
Ishq ko aag ka dariya hai samajh lijiye hazoor,
Koi uss paar baitha hai tu, Hum is paar baithe hain,
Kaun kehta hai ke is shehar mein saare hain bewafa,
Humare samne do chaar wafadar baithe hain,
Kal tak jin ki hasrat thi Humien badnaam karne ki,
Aaj wohi log Apne kiye pe sharamsaar baithe hain,
Duniyaa se rooth jane ki khwahish hai Humari,
Kya karoon is khwahish pe pehredaar baithe hain.
**********************************************************
Buht tote hoe hein hum abi dastak nahi dena
humari ankh ha purnam abi dastak nahi dena
mere yaro abi kuch din mere ahwal matt pocho
abi dil mein ha uska gham abi dastak nai dena
Shab-e-tanhaie mein tarpna ha buht mujko
abi ha dard kuch madham abi dastak nahi dena
**********************************************************
Sadma to hai mujhe bhi k tujhse juda hun main
Lakin ye sochta hun k ab tera kya hun main
Bikhra para hai tere hi ghar mein tera wajud
Bekar mahfilon mein tujhe dhundta hun main
Main khudkashi k jurm ka karta hun aitaraf
Apne badan ki qabr mein kabse gara hun main
Kis-kis ka nam laun zaban par k tere sath
Har roz ek shakhs naya dekhta hun main
Na jane kis ada se liya tune mera nam
Duniya samajh rahi hai k sab kuch tera hun main
Le mere tajurbon se sabak ae mere raqib
Do char sal umr mein tujhse bara hun main
Jaga hua zamir wo aina hai “Qateel”
Sone se pahale roz jise dekhta hun main…
**********************************************************
To kya ye tay hai k ab umr bhar nahi milna
To phir ye umar bhi kyon, tum se gar nahi milna
Chalo zamane ki khaatir ye jabr b seh len
Kay ab kabhi jo milay, toot kar nahi milna
Ye kon chupke se tanhaiyon main kehta hai
mere baghair sakoon umr bhar nahi milna
Rah-e-wafa k musafir ko kon samjhaaye
kay is safar mein koi humsafar nahi milna
Juda to jab bhi hue dil ko yun laga jaise
k ab gaye to kabhi loat kar nahi milna…!!
**********************************************************
Yaad-Mazi Mai Jo Ankhon Ko Saza Di Jaye,
Is Say Behtar Hai K? Har Baat Bhula Di Jaye..
Mai Ne Apno K? Rawayon Say Ye Mehsoos Kiya,
Dil K? Angan Mai B? Dewaar Utha Di Jaye..
Mai Ne Yaroon K? Bhicharne Say Ye Seekha ?MOHSIN?
Apne Dushman Ko B? Jeene Ke Dua Di Jaye?
**********************************************************
Jab kabhi tera dil gabraye to lot ana
Agr tujhe meri yaad sataye to lot ana
Kuch waqt acha guzara hai sath tumhare
Us waqt ki awaz ay to lot ana
Aik waqt k lye sub he dost ban jate hain
Jab koi tjhe thukraye tau lot ana
Najane kaise din raat teri yad mein guzarte hain
Ye paigam mil jaye tau lot ana.
**********************************************************
Samny Manzil Thi or Peechay Us Ki Awaz
“Rukta to Safar jata,Chalta To Bichar jata
“manzil ki b hsrat thi or us se muhabat b
“ae dil ye bta mujh ko us waqat kidhr jata
“muddat ka safar b tha or brson ki shanasai
“rukta to bkhar jata chlta to me marjata.
**********************************************************
**********************************************************
Wahan Na ” Phool ” Khilte Hain Na Hi ” Mosum ” Badalte Hain
Wahan To ” Kuch ” Nahi Hota Jahan Per ” Tum Nahi Hote ”
Yahan ” Wese ” To Her ” Soghaat ” Aasaani Se Milti Hai
Per Mera ” Dil ” Nahi Lugta Jahan Per ” Tum Nahi Hote ”
Yahan To ” Log ” Sudiyoun Ko Bhi ” Lumhon ” Me Badulte Hain
Mera Ek ” Pul ” Nahi Kut’ta Jahan Per ” Tum Nahi Hote
Sabub ” Rone ” Ka Wo Pooche To Itna Keh Dena ” Mere Dost ”
Mujhe ” Hunsna ” Nahi Aata Jahan Per ” Tum Nahi Hote ”
**********************************************************
Ankhoon Mein Nami Ka Raaz Rakhti Hoon
Mein Tanhaiyon Se Dosti Ka Jawaz Rakht Hoon
Woh Ager Chaly Mere Sath Do Qadam
Phir Dekho Mein Kesi Perwaaz Rakhti Hoo
Khawahishon Pe Daal Rakhi Hai Kamand Sabr Ki
Dabaa Ke Dil Mein Jazboon Ki Awaaz Rakhti Hoon
**********************************************************
wo maang leta to usay mohabbat ka darya deta ,
us ne to shayed ek qatra hi churana chaha,
lot aata to raah mein us k moti bichha detay,
us ne to shayed mujay bhoolnay ka bahana chaha,
meri shiddat ki mohabat hi mera jurm ban gai ,
us ne to shayed kuch faasla hi barhana chaha
es qadar dard bhi ab mujay chubta nhi ,
us ne to shayed ye fun hi mugay sikhana chaha,
**********************************************************
Chand ki simat nazar jaye to kya hota hai
Rat kisi ki yaad mein guzar jaye to kya hota hai
Kitni masoom ada se wo mujhe pochta hai
Jab koi dil mein utar jaye to kya hota hai
Mere Allah tu faqt itna bata de usko
Admi jeete ji mar jaye to kya hota hai
Koi anjan se shaks ka kisi pichle pehar
Aks ankhon mein thehr jaye tu kya hota hai
Dard de k mujhe wo hansta raha or bola
Dard jab had se guzar jaye tu kya hota hai…
**********************************************************
So Qisse Hain Milte Julte Ik Majboori Thik Nahi,
Jo Kehna Hai Khul Ke Kaho Baat Adhoori Thik Nahi,
Koi Heela Koi Bahaana Koi Munasib Raah Nikal,
Mujh Se Aise Milte Rehna Ghair Zaroori Thik Nahi,
Roz Muhabbat Ho Jaati Hai Chalte Phirte Logon Se,
Geet Adhoore Khuwaab Adhoore Yeh Mazdoori Thik Nahi,
Ik Shikast Ke Badle Mujh Ko Sab Ke Sab Ilzaam Na De,
Kuch Kuch Teri Baat Hai Sachi Lekin Poori Thik Nahi,
Hum Mehfil Mein Aaye Yun, Wo Pichhe Ja Kar Beth Gaye,
Hum Se Doori Achhi Hai Par Itni Doori Thik Nahi.
**********************************************************
Hijar Mein Khoon Rulatay Ho,Kahan Hotay Ho?
Laut Kar Kiun Nahi Aatay Ho,Kahan Hotay Ho?
Mujh Se Bichray Ho To Mehboob e Nazar Ho Kis k?
Aaj Kal Kis Ko Manaty Ho,Kahan Hotay Ho?
Yaad Aati Hain Akaily Mein Tumhari Neendein
Kis Tarah Khud Ko Sulaty Ho,Kahan Hotay Ho?
Tum To Bichray Thy Khushion Ki Rafaqat k Liye
Ab Kiun Ashk Bahaty Ho,Kahan Hotay Ho?
Shehar k Log b Kartay Hain Ab Yehi Sawal
Bohat Kam Nazar Aatay Ho,Kahan Hotay Ho…???
**********************************************************
Ik Ishq Nager Ki Wadi Thi
Jahan Pyar Ki Nadiya Behti Thi
Kuch Dil Waley Bhi Rehtey They
Jo Pyar Ki Baatein Kertey They
…
Jab Bahar Ka Mousam Aata Tha
Aur Phool Pyar K Khiltey They
Mast Nasheeli Shamon Mein
Pyar Se Do Dil Miltey They
Ik Roz Woh Basti Ujer Gai
Aur Pyar Ki Hasti Bikher Gai
Phir Her Ik Dil Ko Sog Laga
Aur Jeevan Bhar Ka Rog Laga
Deewaney Phirtey Rehtey Hein
Aur Her Ik Se Woh Kehtey Hein
Iqrar Kisi Se Na Kerna
Pyar Kisi Se Na Kerna.
**********************************************************
Wo anna parast sahi us ki baton mein iqrar bhi tha.
Us k chubtay hue lehjay mein chupa pyar bhi tha.
Wo mujhy likhta ha k muntazir na raho lakin.
Us ki tahreer mein sadion ka intzaar bhi tha.
Wo kehta ha mat rutho k mananaa nahi aata.
Meri narazgi pe lakin wo bekarar bhi tha.
Main shayad phir na likhta usy apni khabar.
Dosti ka bharam rakhna tha kuch dil be_ikhtiar bhi tha.
Shayad yehi us ka anadaz-e-mohabat ho.
Wo mera hum dam bhi tha sitam shuaar bhi tha
**********************************************************
Mere Zakhmo Ko Aapka Dukhana Acha Laga,
Meri Halat Pe Aapka Muskurana Acha Laga,
Me To Talib Tha Aap k Pyar Ka,
Aapka Nafrat Se Nigahen Churana Acha Laga,
Laga K Aag Mere Aashyane Ko,
Phir Aapka Khushian Manana Acha Laga,
Dil Me Thi Hasrat Aap K Deedar Ki,
Saamne Aakar Chehra Chupana Acha Laga,
Dil K Mere Darwaze Pe Di Dastak,
Phir Khud Hi Aapka Pathar Barsana Acha Laga,
Bana Kar Mujhko Apna Dewana Phir,
Aap Ka Khud Hi Thokar Lagana Acha Laga . . .
**********************************************************
Mene Haq-e-Mohabat ada kiya,
Na kabi kisi se Gila kiya,
Mujhe ajab iska Sila mila,
Mujhe DIL se us ne bhula diya,
Muhabton ki Kitab ka,
Her ek varq jala diya,
Wo jo arzo ka Chiraagh tha,
Usay Nafraton ne bujha diya,
Mujhe Zakhm phir ek Naya diya,
Mujhe is MUHABAT ne kya diya?..
Wo jo kehta tha Khush Raho,
Wo jo kehta tha meri JAAN ho TUM,
Har Lamha Hansa karo,
Mujhey Aaj us ne Rula diya..
Mujhey aj us ne Bhula diya
**********************************************************
**********************************************************
Ghar se yeh soch k nikla hon k Mar jana hai
Ab koi Raah dikha de k kidhar jana hai
Jism se sath nibhane ki mat umeed rakho
Is musafir ko to Rastay mein theher jana hai
Mout lamhay ki sada Zindagi umron ki pukar
Mei yehi soch k zinda hon k Mar jana hai
Nasha aesa tha k Maikhanay ko duniya samjha
Hosh aaya to khayal aaya k ghar jana hai
Mere jazbay ki bari qadar hai logon mei magar
Mere jazbay ko mere sath he mar jana hai…….
**********************************************************
Tumharey Rah badalney ki baat kis sey karun
MAin apney KHaab bhikharney ki baat kis sey karun
Abhi woh jaan-e-Ghazal duor hai nighahoon sey
Abhi main Jaan sey Guzarney ki baatv kis sey karun
ABhi toh hijr ki tareekiyan hain dono tafar
Abhi main Chaand Nikalney ki baat kis sey karun ?
Abhi toh ghammoon sey Nidhaal hain sabhi
Abi main tery Bicharneyki baat kis sey karun ?
Meri Judaii ki ghaam mein koi bhi nehi suunta
Tumharey Baad sulaghney ki baat kis sey karun ?
Kisey baataun k tujhy kahaan kahaan nehi dhunda
Nagar nagar mein bhatakney ki baat kis sey karun ?
TEri talab mein yeh beichaain ab bhi rehta hai
Main apney dil k machalney ki baat kis sey karun??!!!!!
**********************************************************
Na koi khawab na koi saheli thi
us mohabbat mein main akeli thi
ishq main tum kahaan kay sachay the
jo aziyat thi woh hum ne jheeli thi
yaad ab kuch nahiin raha laiken
ik dariya tha ya haveli thi
jis nay uljha kay rakh diya dil ko
woh mohaabbat thi ya paheli thi
mein zara si bhi kam wafa karti
tum ne tu meri jan le li thi
waqt kay sanp kha gaaye usko
meray aangan main ik chanbeli thi
us shab-e-ghum main kis ko batlaon
kitni roshan meri hatheli thi
**********************************************************
Tere Siva
Nahin Aur Kuch Bhi Tere Siva?!!!
Mere Dosti
Meri Zindagi
Meri Khamoshi
Meri Be-Basi
Mera Alam Bhi
Mera Naam Bhi
K Meri Subah
K Mere Sham Bhi
Wo Sabhi Kuch Tujhe Atta Kare
Mere Jaan To Yaqeen To Kar
Mujhe Mangana Tuna Aa Saka
Main Ne Phir Bhi Mangi Yehi Dua
K Gawahi De Ga Mera Khuda
Maine Jub Bhi Us Se Talab Kiya
Nahi Manga Kuch Bhi
Tere Siva .. Tere Siva !!
**********************************************************
Aye Dost Tu Itna Badkalam Na Ho
Ki Kabhi Karib Se Gujrae To Dua-Salam Na Ho
Dil Mai Haazaar Gila Shikva Ho Magar Yeh Nahi Mumkin
Tum Aao Mere Ghar Mein Aur Ahitram Na Ho
Haazaar Dusmani Ho Tumse,Magar Khuda Karen
Dil Mein Kabhi Ahsaas-E Intekam Na Ho
**********************************************************
Bhulanay se jo bhuly na wo kahani chor jaoungi
teri ankhoon me pani ki aisy nami chor jaoungi
lipat kar dair tak dar-o-dewar roye gy
main aisi sog me lipti jwani chor jaoungi
mitao gy kahan thak tum meri batan meri yadan
main har ik mor per apni nishani chor jaoungi
mera ya lafz mujha mar kay bhi marna nahi dain gay
main chup ho kay bhi lehje ki rawani chor jaoun gi
kuch is tarhan se niklon gi is dunya ko thukra kar
main dushman kay bhi chehry par herani chor jaoungi …!!!
**********************************************************
?Kiun Rakhoon Main Apne Qalam Main Sayahi?!?
?Jab Koi Armaan Dil Main Machalta Hi Nahi?!?
?Na_Jane Kiun Sabhi Shak Karte Hain Mujh Par?!?
?Jab Sookha Gulab Meri Kitaabon Main Milta Hi Nahi?!?
?Kashish To Bohat Thi Mere Pyaar Main?!?
?Magar Kya Karoon Koi Pathar Dil Pighalta Hi Nahi.!
Agar Khuda Mile To Us Se Apna Pyaar Mangoon Ga.!
?Par Suna Hai Wo Marne Se Pehle Kisi Se Milta Nahi?
**********************************************************
Zindagi ka
sochta hoon na zamaney ka
sochta hoon,
Main to bas
usey apna
bananey ka
sochta hoon,
Us key rooth janey key andaz ki qasam,
Woh rooth jaey to mananey ka
sochta hoon,
Us ney na ki wafa to koi gila nahin,
Main us sey wafaen nibhaney ka sochta hoon,
Woh mujhe rulaey to koi baat nahin,
Main ro kar bhi usey hansaney ka sochta hn…!!!
**********************************************************
Log Mujh Se MiL Kr Bichar Jatey Han_
Is Liye Me Logon Se Door Rehta Hon_
Mat Samjho K Aatay Nhi Adab_E_MuLaqat Mujhey_
KhuLoos Ka Banda Hon Aadat Se Majboor Rehta Hon_
Jin Se Barha Mera Rabta Ghum Hi MiLa_
Ab Raabtay Nhi Barhata Boht Masroor Rehta Hon_
Log Mujhey Kehtay Han Be’Murawat Aur Khud Gharz_
Dekho Me Kitnay Achay Namon Se Mashoor Rehta Hon_
Hr Waqt Khoya Rehta Hon Khud Ki TaLash Me_
Boht Thak Gaya Hon Ghamon Se Choor Rehta Hon…!
**********************************************************
Most TOUCHING LINES
By A Boy Whoz Beloved Was Marrying Sum1 Else…
Aaj Dulhan K Laal Jode Me Use Uski Shaliyon Ne Sajaya Hoga
Meri Jaan K Gore Haathon Ko Mehndi Se Sajaya Hoga
Bahut Gehre Chadha Hoga Mehndi Ka Rang
Us Mehndi Me Usne Mera Naam Chhupaya Hoga
Rah Rah K Ro Padi Hogi,,,Jb Usko Mera Khayal Aaya Hoga
Khud Ko Dekha Hoga Jb Aaine Me To Akks Mera Bhi Nazar Aaya Hoga
Bahut Pyaari Lg Rahi Hogi Wo,,Aaj
Dekh Kr Usko Chand B Sharmaya Hoga
Aaj Meri Jaan Ne Apne Maa Baap Ki Izzat Ko Bachaya Hoga
Usne Beti Hone Ka Har Farz Nibhaya Hoga
Sochta Hu Kis Tarah Usne Khud Ko Samjhaya Hoga
Apne Hathon Se Hamare Khaton Ko Jalaya Hoga
Khud Ko Mazbut Banakar Meri Yado Ko Mitaya Hoga
Bhukhi Hogi Wo Jaanta Hu Main,,Mere Bina Usne Kuch Na Khaya Hoga..
**********************************************************
**********************************************************
Kuch Tm Ny Himat Hari Thi
Kuch Main Ny Dhooka Khaya Tha
Kuch Mery Thay Hallat Sanam
Kuch Teri Bhi Majboori Thi
Kuch Wakat B Apny Sath Na Tha
Kuch Dunia Waly Zalim Thay
Kuch Tu Ny Mujh Ko Doosh Dia
Kuch Main Bhi Himat Kr Leeta
Kuch Hum Dono Majboor Bhi Thy
Kuch Ik Doojy Sy Door Bhi Thy
**********************************************************
Tumse Pyaar Na Karma Meri
Majboori Hai
Apni Zindgi Mein Jagah Na Dena
Meri Majboori Hai
Khud Ko Apne Aapme Chuppakar
Rakhna Meri Majboori Hai
Ankhon Mein Ansooyon Ka Sailab Hai
Hoot.On Par Fir Bhi Muskarahat Lana
Meri Majboori Hai
Apni Tadap Tum Par Naa Khul Gaye.
Tumse Door Jana Meri Majboori Hai
Meri Inn Majbooriyon Ko Tum Par
Zahir Na Karma Bhi Meri Majboori Hai.
**********************************************************
Dekha palat k us ne k hasrat usay bi thi
Hum jis par mar mitey thay muhabat usay bi thi.!
Chup ho gaya tha dekh kar wo bi idher udher
Duniya se meri tarah shikayat usay bi thi
Ye soch kar andheray me galay se laga liya
Raaton ko jaagnay ki to aadat usay bi thi
Wo ro dia tha mujh ko pareshan dekh kar
Us din khul k meri zarorat usay bi thi
Un pathron k saath nibhaani pari usay
Jin se faqat mujhy nahi nafrat usay bi thi..?
**********************************************************
Mohabat ki kahani mein koi tarmeem mat karna,
Mujhy tum tor dena per mujhy taqseem mat karna,
Bohat hongey humare baad
dawa-e-mohabat karne wale !!
Yaad-e-wafa rakhna kisi ko tasleem mat karna,
Agar lafzon me nazar aye kabhi chehra mera !
Chopke se choo lena…
Choom lena…
toheen mat karna..
**********************************************************
“Mujhe wo lakh tarpaye magar us shaks ki khatir”
Mere dil k andheron me duain raks karti hain”
“Usay kehna k lot aaye sulgti shaam se pehlay”
“Kisi ki khushk ankhon me sadain raks karti hain”
“Khuda janay kesi kashish he uski yaadon me”
“Mein uska zikar cheron to hawain raks karti hain.
**********************************************************
Abi to main tmhre liye kuch nahi,
Ye din guzr jaen ge,
Ye musam Badal jaen ge,
Waqt to guzar hi jata hai,
Tmhra b mera B,
Lekin…
1 din kisi lamhe tmhe meri yaad aaye gi,
To Tum Be-ikhtiyar muskura do ge,
Log pochain ge kya howa,
Aur
Tum kaho ge,
koi tha jo hum ko boht chahta tha
**********************************************************
sitara hamari kismat ka us say mila hi nahi
wo kese hota hamara
aisa kabi hva hi nahi
hmne apni hr khushi dusron me bant di
ksi ne hme kya dya
ye kbi socha hi nhi
bato baton m mhbt is qadar brh gyi
use ab bhool jaen kese itna hosla hi nhi
hr ksi ne hume matlab tak pyar kya
koi hamsafar ban kar sath chala hi nhi
hr koi mri chahat ko mazaq smjta rha
dil m he dard ktna koi smja hi nhi
**********************************************************
Har Ek Chehrey Ko ZaKhmon Ka Aaina Na Kaho
Ye Zindagi Tou Hai Rahmat Isey Saza Na Kaho
Na Jaaney Kaun Si Majbooriyon Ka Qaidi Ho
Wo Saath Chorr Gaya Hai Tou Bevafa Na Kaho
Tamaam Shaher Ney Naizon Pey Kyun Uchaala Mujhey
Ye Ittefaaq Thaa Tum Is Ko Haadisaa Na Kaho
Ye Aur Baat Ke Dushman Huwa Hai Aaj Magar
Mera Dost Thaa Kal Tak,Usey Buraa Na Kaho
Humarey Haib Humein Ungliyon Pey Ginvaao
Humaari Peetth Ke peechey Humein Buraa Na Kaho
**********************************************************
ashk aankhon main chupatay huay thak jata hun
bojh pani ka uthatay huay thak jata hun
tm jo ik pal main uthatay ho chlay jatay ho
main wo dewaar giratay huay thak jata hun
paon rakhtay hain jo mujh pr unhain ehsas nahin
main nishanaat mitatay huay thak jata hun
barf esi k pighlti nahin pani bn kr
pyaas esi k bujhatay huay thak jata hun
achi lagti nahin is drja shanasai bhi
hath haton se milatay huay thak jata hun
ghamgusaari bhi ajab kar e mushaqqat ha k main
ronay walon ko hansatay huay thak jata hun
itni qabrain na bnao meray andr shahid
main charaghon ko jalatay huay thak jata hun