Arab Se Sham Tak Jo Raushni Hai Lyrics
‘Arab Se Shaam Tak Jo Raushni Hai
Mere Sarkaar Ki Aamad Hui Hai
Haleema Bi Chalin Aaqa Ko Le Kar
Ajab Teji Men Un Ki Untni Hai
Mahal Bhi Jhuk Ke Dete Hain Salaami
Haleema Bi Ki Aisi Jhonpdi Hai
Bashar Ki Baat Kya ! Duniya Ki Har Shai
Nabi Ki Naa’t Sun Kar Jhoomti Hai
Nabi Ki Naa’t Ke Aage Gazal Bhi
Adab Se Haath Ko Baandhe Khadi Hai
Magas Phoolon Ke Ras Ko Munh Men Rakh Kar
Durood-E-Paak Un Par Padh Rahi Hai
Laga Munh Men Ghula Hai Shahd-E-Naayaab
Wo Zikr-E-Mustafa Ki Chaashni Hai
Koi Keh De Ki Chal Shahar-E-Nabi Ko
Madine Se Ijaazat Mil Gai Hai
Hain Siddiq-O-‘Umar Pehloo Men Un Ke
Nabi Se Kitni Gehri Dosti Hai
Munaafiq To Munaafiq Hai Zameen Bhi
‘Umar Ka Naam Sun Kar Kaanpti Hai
Tere Dar Ki Gadaai Mere Aaqa !
Jahaan Ki Baadshaahi Se Bhali Hai
Nabi Ke Zikr Ki Ye Barkaten Hain
Meri Saanson Men Khushboo Si Basi Hai
Nabi Se ‘Ishq To Sab Ko Hai Lekin
Juda Sab Se Bilaali ‘Aashiqi Hai
Hai Jis Ke Dil Men Gam Ibn-E-‘Ali Ka
Zamaane Men Wahi Sab Se Dhani Hai
Ham Is Nisbat Pe Qurban Kyun Na Jaaen ?
Hamaara Gaus-E-Aa’zam Faatimi Hai
Fana Ke Baa’d Ham Zinda Rahenge
Hamaare Dil Men Saabir Kaliyari Hai
Jise Sab Mo’jiza Aaqa Ka Bolen
Wahi Ahmad Raza Khaan Qaadri Hai
Suno To Basti-Basti Qarya-Qarya
Yahi Aawaaz Har-Soo Goonjti Hai
Jahaan-E-Sunniyat Ke Dil Ki Dhadkan
Mera Akhtar Raza Khaan Azhari Hai
Nichhaawar Jis Pe Hain Shaahaan-E-Duniya
Wo Surkaahi Ka Ik Teg-E-‘Ali Hai
Jise Kilk-E-Raza Kehti Hai Duniya
Samajh Lo Wo ‘Asa-E-Mooswi Hai
Mere Makhdoom Phir Dulha Bane Hain
Niraali Shaan Ki Shaadi Rachi Hai
Dar-E-Makhdoom Pe Tum Aa Ke Dekho
Hawa Shahar-E-Nabi Se Aa Rahi Hai
Mere Aaqa ! Dikha Do Apna Jalwa
Asad Ki Aankh Kab Se Hasrati Hai
Asad ! Ye Faiz Hai Akhtar Ka Warna
Ye Duniya Kab Kisi Ko Poochhti Hai
Poet:
Asad Iqbal Kalkattvi
Naat-Khwaan:
Asad Iqbal Kalkattvi
- Tafsir Ibn Kathir | Quran Tafsir
- Taqreer PDF Books – Khutbat – Bayan PDF BOOK
- to do list online
- Top 100 Famous Naat Khawan
- URDU GHAZALS • URDU POETRY • SHAIRY IN URDU | Best Ghazals in Hindi & Urdu Online
- Urdu Islamic Books
- Urdu Naat Lyrics
Arab Se Sham Tak Jo Raushni Hai | Mere Sarkar Ki Aamad Hui Hai
‘अरब से शाम तक जो रौशनी है
मेरे सरकार की आमद हुई है
हलीमा बी चलीं आक़ा को ले कर
अजब तेजी में उन की ऊँटनी है
महल भी झुक के देते हैं सलामी
हलीमा बी की ऐसी झोंपड़ी है
बशर की बात क्या ! दुनिया की हर शय
नबी की ना’त सुन कर झूमती है
नबी की ना’त के आगे ग़ज़ल भी
अदब से हाथ को बाँधे खड़ी है
मगस फूलों के रस को मुँह में रख कर
दुरूद-ए-पाक उन पर पढ़ रही है
लगा मुँह में घुला है शहद-ए-नायाब
वो ज़िक्र-ए-मुस्तफ़ा की चाशनी है
कोई कह दे कि चल शहर-ए-नबी को
मदीने से इजाज़त मिल गई है
हैं सिद्दीक़-ओ-‘उमर पहलू में उन के
नबी से कितनी गहरी दोस्ती है
मुनाफ़िक़ तो मुनाफ़िक़ है, ज़मीं भी
‘उमर का नाम सुन कर काँपती है
तेरे दर की गदाई, मेरे आक़ा !
जहाँ की बादशाही से भली है
नबी के ज़िक्र की ये बरकतें हैं
मेरी साँसों में ख़ुश्बू सी बसी है
नबी से ‘इश्क़ तो सब को है लेकिन
जुदा सब से बिलाली ‘आशिक़ी है
है जिस के दिल में ग़म इब्न-ए-‘अली का
ज़माने में वही सब से धनी है
हम इस निस्बत पे क़ुर्बां क्यूँ न जाएँ ?
हमारा ग़ौस-ए-आ’ज़म फ़ातिमी है
फ़ना के बा’द हम ज़िंदा रहेंगे
हमारे दिल में साबिर कलियरी है
जिसे सब मो’जिज़ा आक़ा का बोलें
वही अहमद रज़ा ख़ाँ क़ादरी है
सुनो तो बस्ती-बस्ती क़र्या-क़र्या
यही आवाज़ हर-सू गूँजती है
जहान-ए-सुन्नियत के दिल की धड़कन
मेरा अख़्तर रज़ा ख़ाँ अज़हरी है
निछावर जिस पे हैं शाहान-ए-दुनिया
वो सुरकाही का इक तेग़-ए-‘अली है
जिसे किल्क-ए-रज़ा कहती है दुनिया
समझ लो वो ‘असा-ए-मूसवी है
मेरे मख़्दूम फिर दूल्हा बने हैं
निराली शान की शादी रची है
दर-ए-मख़्दूम पे तुम आ के देखो
हवा शहर-ए-नबी से आ रही है
मेरे आक़ा ! दिखा दो अपना जल्वा
असद की आँख कब से हसरती है
असद ! ये फ़ैज़ है अख़्तर का वर्ना
ये दुनिया कब किसी को पूछती है
शायर:
असद इक़बाल कलकत्तवी
ना’त-ख़्वाँ:
असद इक़बाल कलकत्तवी