Dastan E Shujaat Ka Darain Main Noha Lyrics
Dastane Shujaath ka darain me ek bemisl kirdar abbas hai
Hai Ali ke Athara Hi bete Ali x2 Par sabhi me Alamdar Abbas Hai
Inke lehje me hashim ki hashmat bhi hai
Inke tewar me hamza ki haibat bhi
Har ada inki imran ka aqs hai
Inki baho me jaffar ki quwwat bhi hai
Pyar hai mustufa ka hussain o hasan
Aur hassnain ka pyar abbas hai
Qabr kya hai andhera sa ghar hai jahan
Marefat ke siva koi sapna nahi
Vo bohat hi andheri jagah hai waha
Koi yawar nahi koi apna nahi
Tumse milne lahad me ali aayenge
Bolo tanhai me aur kya chahiye
Naqle azmat ka shireen samar hai yehi
Ismato ke sadaf ke gohar hai yehi
Noor ki sidratulmuntaha hai yehi
Hashmi aasman ke qamar hai yehi
Jinke saaye me akber bhi palte rahe
Husn ka aisa minaar abbas hai
Hal ata innama ki jo misdaaq hai
Vo bhi ghazi ke aane ki mushtaq hai
Arsh se farsh tak inki jageer hai
Sari maqloq inki gadageer hai
Jo ali ki shujath ka waria bhi hai
Aisa aala zameendar abbas hai
Sahebe taqt akhline gairat hai ye
Aur charaghe hareebe sharafat hai
Zore shehwar Behre saqawat hai ye
Haq to ye hai ke haq ki haqeeqat hai
Vo duwwayen jo bibi ne sajdo me ki
Kul duaoo ka meyar abbas hai