Hazrat Imaam Sayyed Moosa al-Kaazim Biography

Hazrat Imaam Sayyed Moosa al-Kaazim Biography

 

________
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Kaazim (One who swallows his anger), Baab-ul-Hawaa’ij (Door of fulfilment of needs).

************
Aap ki wilaadat 7 Safar 128 Hijri (6 November 745 A.D.) ko Abwā (Saudi Arabia) me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Imaam Sayyed Ja’afar as-Saadiq bin Imaam Sayyed Muhammad al-Baaqir rahmatullāhi alaihi aur waalida ka naam Hameeda Khaatoon hai.

Aap Husaini saadaat hain.

************
Aap Aa’imma e ahle bait ke 7we Imaam hain.

************
Pariwaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki 4 biwiya aur 19 bete aur 18 betiya hain.

Aap ki biwiyo me Najmah mash’hoor hai.

Saahabzaade :
Ali al-Riza, Ibrāheem al-Muja, Abbaas, Saalih, Qaasim, Ahmad, Mohammad, Hamza, Ismā’eel, Ja’afar, Hāroon, Husain, Abdullāh, Is’hāq al-Muwwaffiq, Ubaidullāh, Zaid, Hasan, Fazl aur Sulaimān.

Saahabzaadiya :
Faatima al-Kubra, Faatima al-Sughra, Ruqayya, Ruqayya al-Sughra, Hakeema, Umme Abeeha, Umme Kulṡum, Umme Salama, Umme Ja’afar, Lubana, Aalya, Ameena, Hasana, Bareeha, Aa’isha, Zainab, Khadeeja aur Hajar Khatoon.

************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap irshaad farmaate hain ki :
(1) Dunya us saanp ki tarah hai jo dikhne me khubsurat lagta hai,
Magar jitna qareeb jaaoge utna apne zeher se tumhe nuqsaan pahunchaega.

(2) Dunya ki mohabbat samundar ke paani ki tarah hai. Pyaasa insaan kitna bhi use piye pyaas aur badhti jaayegi aur yaha tak ki aakhir me wo mar jaayega.

(3) Halaal rizq haasil karne ke liye mehnat karne waala har insaan raahe khuda me jihaad karne waale jaisa hai.

(4) Kamzor ko madad karna behtareen sadqa hai.

************
Karaamat :
(1) Ek din ek Shakhs Aap ki khidmat me haazir hua aur Parindo jaisi boli me Aap se baate karne laga. Aap bhi usi zabaan me usko jawaab dete rahe.
Jab wo chala gaya to haazireen ne arz kiya ke “Huzoor! Hum ne aisa Kalaam kabhi nahi suna.” Aap ne farmaaya ke “Ye Jinno ke ek giroh ki zabaan hai aur beshak ALLĀH ta’ala Imaame Waqt ko tamaam makhlooqaat ki zabaan sikha deta hai aur yeh ta’ajjub ki baat nahi.”

(2) Jab Aap Khalifa Hāroon Rasheed ki qaid me the to Hazrat Imaame aazam Abu Haneefa ke Saahibain Hazrat Imaam Abu Yousuf aur Hazrat Imaam Mohammad rahmatullāhi alaihi Jail khaane me Aap se kuchh sawaalaat karn ke liye milne aaye.
Lekin un Hazraat ne abhi koi sawaal kare us se pehle Jail khaane ka ek sipaahi aaya aur Imaam se kehne laga ke “Meri Duty khatm ho gai hai aur main jaa raha hu, kal aaunga. Agar Aap ko koi kaam ho to bataayen, Main use kar ke aaunga.” Aap ne irshaad farmaaya “Mera koi kaam nahi.”
Jab wo chala gaya to Aap ne dono Hazraat se farmaaya ke “Mujhe us shakhs par ta’ajjub hota hai ke woh mujh se kehta hai ke koi haajat ho to kal ke din us ko anjaam de kar aau, Haalaanki woh aaj raat ko hi mar jaayega.”
Yeh sunkar dono Saahibaan sawaal karne ke bajaay waha se waapas aa gaye aur aapas me kehne lage ke “Hamara iraada to tha ke hum Farz o Sunnat ke baare sawaalaat karenge magar yeh to hamare saath Ilm e Ghaib ki baaten karne lage. Wallāh! Hum ek shakhs ko us sipaahi ke saath bhejenge taaki wo us ke saath raat basar kare aur dekhe ke kya hota hai.”
Chunaanche un dono Hazraat ne ek shakhs ko us Sipaahi ke pichhe rawaana kiya. Woh shakhs us sipaahi ke darwaaze par baith kar intazaar karta raha. Jab kuchh raat guzri to sipaahi ke makaan se rone ki chillaane ki aawaaz aai. Us shakhs ne ghar waalo se puchha to use bataaya gaya ke us sipaahi ka intiqaal ho gaya hai. Us shakhs ne aa kar jab in dono Hazraat ko khabar di to inhe bhi bahot ta’ajjub hua.

(3) Ek martaba Hasan bin Abdullāh ne Imaam ko koi karaamat dikhaane ke liye arz ki. Aap ne farmaaya ke “Jaao, Qareeb me jo ped dekh raha hai us ke paas kaakar kaho ke tumhe Imaam ne bulaaya hai.” Hasan bin Abdullāh ne jab ped ke paas jaakar Aap ka farmaan bataaya to woh ped foran apni jado samet Aap ki khidmat me haazir hua. Phir Aap ne use apni jagah waapas jaane ke liye farmaaya to woh waapas jaakar jaisa tha waisa ho gaya.

************
Aap Mustajaab-ud-Daawaat the. Log Aap ke paas aakar apni Haajat bayaan karke dua ke liye arz karte. Aap dua karte to ALLĀH ke fazl se un ki haajat puri ho jaati. Is liye ‘Baab-ul-Hawaa’ij (Door of fulfilment of needs)’ ke laqab se mash’hoor hain.

Aap bahot sakhi the. Ghareebo aur mohtaajo ko kaṡrat se khufiya imdaad karte the.

************
Aap Hazrat Imaam Sayyed Ja’afar as-Saadiq rahmatullāhi alaihi ke khalifa hain.

Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Imaam Sayyed Ali al-Riza rahmatullāhi alaihi,
(2) Hazrat Khwaja Shafeeq al-Balkhi rahmatullāhi alaihi,
(3) Hazrat Shaikh Muttalabi rahmatullāhi alaihi.

************
Khalifa Mansoor ke zamaane me Aap ke waalid ki shahaadat ke baad Aap 21 saal ki umr me Imaam bane.

Mansoor ne Madeena ke governor Sulaimān ko Imaam Ja’afar al-Saadiq ke tamaam mutawali (trustee) ko qatl karne ka hukm diya. Us ne bataaya ke “Imaam ke 5 mutawali me Mansoor, Sulaimān, Abdullāh, Umme Hameeda aur Imaam Moosā shaamil hain.”
Yeh sunkar Mansoor khaamosh ho gaya.

************
Kuchh waqt baad Mansoor ne Aap ko bhi qaid karke rakha.
Us ke baad Mahdi aur Moosā ne bhi Aap ko qaid karke rakha.
179 Hijri (795 A.D.) me Moosā ke bhaai Hāroon al-Rasheed ne Aap ko qaid kar liya.
4 baras baad us ke hukm se Sindi ibn Shahiq ne khajoor me zeher milakar shaheed Imaam ko kar diya.

************
Aap ka wisaal 25 Rajab 183 Hijri (1 September 799 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Kazimain (Iraq) me hai.

******************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Imaam Sayyed Moosā al-Kaazim rahmatullāhi alaihi aur Ahle bait aur Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Sharing Is Caring:

Leave a Comment