Hazrat Imaam Umar bin Abdul Azeez Biography
Hazrat Imaam Umar bin Abdul Azeez rahmatullāhi alaihi :
________
Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Mujaddid e awwal.
*******************
Aap ki wilaadat 26 Safar 63 Hijri (2 November 682 A.D.) ko Helwan (Egypt) hui.
Aap ke waalid ka naam Abdul Azeez bin Marwaan aur waalida ka naam Umme Asim, Layla binte Asim ibn Umar Faarooq hai.
*******************
Aap ke waalid Misr ke wali (governor) the.
Aap ke waalid ne Aap ko bachpan me hi ta’aleem ke liye Madeena bheja diya. Waha Aap Haafiz e Qur’an hue.
Aap ne bahot saare ulama aur taabi’een se ta’aleem haasil ki.
Aap Tabe taabi’e hain.
****************
Hazrat Saalih ibn Kaysaan ke paas ta’aleem ke dauraan ek baar Aap namaaz ki jama’at me salaam pherne ke baad pahunche. Hazrat Saalih ne aap ke waalid ko is ke baare me bataaya. Jab Aap ke waalid aaye to unho ne wajah puchhi to pata chala ke aap ko baal banaane me der ho gai aur is liye namaaz ke liye der se pahunche. Yeh sunkar aap ke waalid ne foran qainchi lekar aap ke baal kaatkar chhote kar diye aur kaha “Jo cheez Ibaadat me rookaawat daale us cheez ki hame zaroorat nahi hai.”
Is baat ka Aap ka aisa aṡar hua ke is ke baad aap ne hamesha takbeer e ula ke saath namaaz padhi.
****************
86 Hijri (705 A.D.) me aap ke waalid ke inteqaal ke baad aap ke chacha aur Ummayya Khaleefa Abdul Malik bin Marwaan ne aap ko Damishaq bulaaya aur apni beti Faatima se Aap ka nikaah karaaya.
87 Hijri (706 A.D.) me Waleed bin Abdul Malik ne Aap ko Madeena ka wali (governor) banaaya. Is dauraan Hajjaaj bin Yousuf ke zulm se pareshaan hokar log Iraq se hijrat karke Madeena aane lage. Aakhir me Hajjaaj bin Yousuf ke kehne par Waleed bin Abdul Malik ne Aap ko Wali ke ohade par se hata diya.
Waleed ke baad us ke bhai Sulaimān bin Abdul Malik khalifa bana. 3 saal baad jab woh shadeed beemaar hua to us ne Umar bin Abdul Azeez ko khalifa banaane ki wasiyat ki.
99 Hijri me Aap Khalifa bane.
Aap ko Umar e ṡaani kaha jaata hai aur Aap ka daur Khilaafat e Raashida me shumaar kiya jaata hai.
Aap ne 2 saal aur 6 mahine ki khilaafat ke dauraan adl (insaaf) ka khaas khayaal rakha. Aur hamesha Sunnat o hadeeṡ par amal karte rahe.
Aap ke zamaane me logo ne amn o sukoon mehsoos kiya.
Aap ke zamaane me China tak Islaam pahuncha aur Faars (Iran) aur Misr (Egypt) me bahot badi ta’adaad me logo ne Islaam apnaaya.
Aap maante the ke talwaar se zyada narmi aur husn e sulook ke zariye Islaam ko phailaaya jaa sakta hai.
Aap ne Islaam apnaane waale Zimmi kaafiro par se Jizya door kiya.
Aap ne Bait-ul-maal me jama hone waali Zakaat ko Yateemo, Miskeeno aur Mohtaajo tak sahi tareeqe se pahunchana shuru kiya.
Aap ne kaam karne waale ko baghair mazdoori diye kaam karaana haraam qaraar diya.
Logo ki khushhaali ke liye nehre, raaste, dawakhaane aur musaafir-khaane banaana shuru kiya.
Aap ne Charaa-gaah ki zameen ghareebo ko kheti karne ke liye dena shuru kiya.
Aap ne tamaam afsaro ko logo ki pareshaani sunne ka hukm diya. Agar kisi mauqe par koi afsar kisi ke saath bad-sulooki kare to use jurmaana ada karne ka hukm diya jaata.
Jab Turko ne Azerbaijan par hamla kiya to aap ne Ibn Haatim ibn Numaan ko lashkar ke saath saamna karne ke liye bheja.
Jab Khaarjiyo ne baghaawat ki to Aap ne jung ke badle guftagu ke zariye is ko hal karne ki koshish ki.
Maslama ki sardaari me Istanbul (Constantinople) par ghera daale hue lashkar ko aap ne waapas bula liya kyun ki is jang me bahot zyada ta’adaad me musalman halaak ho rahe the.
*******************
Aap Mujaddid e Awwal hain.
Aap apne zamaane ke mujtahideen me sab se behtar the.
Aap Taqwa aur Ibaadat me bemiṡaal the.
Aap ne saadgi ke saath zindagi guzaari.
Aap ne mulk me sharai qaanoon ko amal karaana shuru kiya.
Sharaab aur behayaai ke kaamo ko sakhti ke saath band kiya.
Aap ke mashware par Qaazi Abu Bakr ibn Muhammad ibn Hazm, Ibn Shihab al-Zuhri aur Hazrat Qaasim bin Muhammad bin Abu Bakr Siddeeq jaise ulama ne Ahadeeṡ e Nabawi ki hifaazat ke liye jama karna shuru kiya.
Aap ne Jum’aa ke Khutbe ke andar Surah al-Nahl ki aayat no. 90 ko shaamil kiya :
“Beshak ALLĀH adl aur ehsaan ka hukm farmaata hai aur aqaaribo ko dete rehne ka aur behayaai aur bure kaamo aur sarkashi wa na-farmaani se manaa farmaata hai wo tumhe naseehat farmaata hai taake tum khoob yaad rakho.”
*******************
Qaul :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap farmaate hain “Taqwa ka ma’ana yeh nahi hai ke tum raatbhar ibaadat karo aur din me roza rakho balke Taqwa to yeh hai ke har us baat par amal karo jis ka shariat me hukm diya gaya hai aur har us baat ko tark karo jise shariat me mana kiya gaya aur phir agar tum nafl ke zariye neki karte ho to yeh noor ke upar nor hai.”
********************
Pariwaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki 3 biwiya, 14 saahabzaade aur 3 saahabzaadiya hain.
Biwiya :
(1) Faatima binte Abdul Malik se
1 beta : Abdul Malik.
(2) Lamis binte Ali bin Haariṡ
2 bete : Abdullāh, Bakr,
1 beti : Umme Ammaar.
(3) Umme Uṡmaan binte Shoaib bin Zayyaan se
2 bete : Uṡmaan, Ibrāheem.
(4) Ummul Walad se
9 bete : Abdul Azeez, Is’hāq, Ya’aqoob, Waleed, Moosā, Ashim, Yazeed, Zayyaan, Abdullāh,
2 betiya : Ameena, Umme Abdullāh.
*******************
Banu Umayya ke kuchh log Aap se naraaz the. Unho ne ek shakhs ke zariye Aap ke khaane me zeher mila diya aur is tarah Aap shaheed hue.
*******************
Aap ka wisaal 16 Rajab 101 Hijri (31 January 720 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Aleppo (Syria) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Imaam Umar bin Abdul Azeez rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.