RewriteEngine On RewriteCond %{HTTP_HOST} ^barkateraza\.com$ [NC] RewriteRule ^( .* )$ https://www.barkateraza.in/$1[L,R=301,NC]

Hazrat Khwaja Muhammad Amkanaki Biography

Hazrat Khwaja Muhammad Amkanaki Biography

 

 

Hazrat Khwaja Muhammad Amkanaki rahmatullāhi alaihi :

Aap ki wilaadat 918 Hijri (1512/1513 A.D.) me Samarqand ke qareeb Amkana (Uzbekistan) me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Khwaja Maulana Durwesh Muhammad rahmatullāhi alaihi hai.

****************
Aap ne apne waalid se ta’aleem haasil ki.

Is ke baad Aap 30 saal tak tanhai me Mujaahida karte rahe.

Phir jab baargaah e ilāhi se hukm hua to Aap ne logo ko ta’aleem dena shuru kiya aur faiz ata karte rahe.

****************
Aap farmaate hain ke
“Soofi ke dil me us Rab ke baare me zara bhi shak nahi hona chaahiye ke wo hamesha maujood hai aur wo hi Baaqi (everlasting) hai. Aur tamaam makhlooq ka wajood ALLĀH hi ke zariye hai. Makhlooq ki wajah se us ke dil me koi khalel nahi honi chaahiye balke hamesha Haq ta’ala ki taraf mutawajjeh rehna chaahiye jis ka noor har cheez ko muhaasara kiye hue hai.”

****************
Aap ka nikaah Hazrat Khwaja Saabir rahmatullāhi alaihi ki saahabzaadi se hua.
Aap ke saahabzaade Hazrat Khwaja Abul Qaasim hain.

****************
Aap Hazrat Khwaja Maulana Durwesh Muhammad rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aur ‘Naqshbandi’ silsila ke Shaikh hain.

Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Khwaja Muhammad Baaqi Billāh rahmatullāhi alaihi (Delhi)
(2) Hazrat Khwaja Abul Qaasim rahmatullāhi alaihi (Amkana)
(3) Hazrat Khwaja Saabir rahmatullāhi alaihi
(4) Hazrat Khwaja Muhammad Yahyā bin Khwaja Saabir rahmatullāhi alaihi.

****************
Aap ka wisaal 22 Sha’abaan 1008 Hijri (8/9 March 1600 A.D.) ko 90 saal ki umr me hua.

Aap ka mazaar Amkana (Uzbekistan) me hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Muhammad Amkanaki rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Sharing Is Caring:

Leave a Comment