RewriteEngine On RewriteCond %{HTTP_HOST} ^barkateraza\.com$ [NC] RewriteRule ^( .* )$ https://www.barkateraza.in/$1[L,R=301,NC]

Hazrat Sayyed Abu Saalih Moosa Jangi-dost Biography

Hazrat Sayyed Abu Saalih Moosa Jangi-dost Biography

Hazrat Sayyed Abu Saalih Moosā Jangi-dost rahmatullāhi alaihi

Aap ki wilaadat 27 Rajab 400 Hijri (March 1010 A.D.) ko Jilan (Iran) me hui.

********************
Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Abdullāh Jilli bin Sayyed Yahyā Zaahid rahmatullahi alaihi hai.

Aap Hasani saadaat hain.

********************
Aap apne waalid Hazrat Sayyed Abdullāh al-Jilli rahmatullahi alaihi ke mureed hain.

********************
Aap bahot bade Aabid, Zaahid aur Muttaqi the.

Ek martaba Aap dariya e Dajla ke kinaare par jaa rahe the. Aap ko bhook lagi thi. Achaanak ek saib paani me behta hua dekha. Aap ne use nikaal kar khaa liya. Phir jab chalne lage to khayaal aaya ke “Ma’aloom nahi saib kis ka tha. Qayaamat ke din ALLĀH ta’ala sawaal karega to kya jawaab dunga.” Aap foran saib ke maalik ko talaash karne ke liye se jis taraf se saib behta hua aaya tha usi jaanib chal pade. Raaste me kai baagh aaye magar un me us saib jaise saib nahi the. Bahot door jaane ke baad ek baagh me pahunche jis ki daaliyan dariya ki taraf thi aur us me waise hi saib the. Aap ne puchha to pata chala ke yeh baagh Hazrate Abdullāh Saumai ka hai.
Chunaanche Aap Hazrate Abdullāh Saumai rahmatullāhi alaihiki baargaah me haazir hue aur saib khaane ka waaqiya sunaaya aur muaf karne ya qeemat lene ke liye arz ki. Hazrate Abdullāh Saumai ne farmaaya “Saib ki qeemat bahot zyada hai, adaa nahi kar paaoge.” Magar Aap ne israar kiya to Hazrate Abdullāh Saumai ne kaha ke “Us ke liye meri 2 sharten hain. Pehli shart yeh hai ki tumhe 12 saal tak mere baagh ki rakhwaali karni hogi aur us ke baad main tumhe dusri shart bataunga.”
Aap is ke liye tayyaar ho gaye. 12 saal Hazrate Abdullāh Saumai ke baagh ki rakhwaali karte rahe.
Ek din Hazrate Abdullāh Saumai ne Aap ko mehmaan ke liye phal laane ke liye kaha. Aap phal lekar aaye. Phal khaakar Hazrate Abdullāh Saumai ne kaha “Tum itne saal se baagh ki rakhwaali karte ho lekin tumhe yeh pata nahi ke kaun se phal kache hain aur kaun se phal pake hue hain.” Aap ne arz kiya “Main baagh ki dekh bhaal karta hu magar phalo ko chakhta nahi hu.”
Hazrate Abdullāh Saumai ne Aap se farmaaya “Saib ki muafi ke liye ab tumhe ek aur kaam karna hoga.” Aap ne puchha to farmaaya ke “Tumhe meri beti se nikaah karna hoga jo dekhti nahi hai, sunti nahi hai, koi cheez pakadti nahi hai, chalti nahi hai aur bolti nahi hai.” Aap is ke liye bhi raazi ho gaye. Nikaah ke baad raat ko jab kamre me gaye to hairaan hue ke waha bahot hi khubsoorat haseen o jameel aur tandurast aurat maujood thi. Aap foran palatkar kamre se baahar jaane lage. Is me darwaaze se takra gaye. Aap Hazrate Abdullāh Saumai ke paas gaye aur kaha “Jis se meri shaadi hui hai woh ladki kamre me nahi hai balki doosri ladki hai.”
Hazrate Abdullāh Saumai ne farmaaya “Wohi tumhari biwi hai. Maine tum se jo kaha tha us ka matlab ye hai ke Meri beti Faatima ne kabhi kisi ghair mahram ko nahi dekha, us ne kabhi koi buri baat nahi suni, us ne apne haatho se kabhi galat kaam nahi kiya, us ke pair kabhi gunaah ki taraf nahi badhe, us ne kabhi koi khilaaf e shariat ya fuzool baat nahi ki.”

Aap ne khush hokar ALLĀH ta’ala ka shukr ada kiya.

********************
Ek martaba baadshaah ke sipaahi matke lekar jaa rahe the. Aap ne lakdi se un matko ko tod daala. Un logo ne baadshaah ko bataaya to baadshaah ne aap ko bulaaya. Baadshaah ne puchha ke “Matke kyun tode?” Aap ne farmaaya “Tujhe bachaane ke liye.” Baadshaah ne is ka khulaasa puchha. Aap ne farmaaya “Agar ye log matke lekar tumhare mahel me aate to tum is me rakhi hui sharaab peete. Maine matke todkar tumhe is gunaah se bacha liya.” Baadshaah ne kaha “Tum kaun ho?” Aap ne farmaaya “Mohtasib hu.” Baadshaah ne kaha “Tumhe kis ne mohtasib banaaya?” Aap ne farmaaya “Rabbul aalameen ne. Jis ka Amr bil Ma’aroof wa Nahi anil Munkar ka farmaan hai.” Baadshaah ne kaha “Aap mere yaha mohtasib ban jaao.” Aap ne farmaaya “Main nahi ban sakta.” Baadshaah ne kaha “Kyun nahi ban sakte?” Aap ne farmaaya “Main us ki naukri karta hu jo sab baadshaaho k baadshaah hai.”

********************
Aap ka nikaah Sayyeda Ummul Khair Amatul Jabbaar Faatima binte Sayyed Abdullāh Sawmai az-Zaahid rahmatullāhi alaihi se hua.

Aap ke 2 saahabzaade aur 1 saahabzaadi hain.

Saahabzaade :
(1) Shaikh Sayyed Muhiy-ud-deen Abdul Qaadir radiy-Allāhu ta’ala anhu,
(2) Sayyed Abu Ahamd Abdullāh rahmatullāhi alaihi.

Saahabzaadi :
Sayyeda Bibi Naseeba.

********************
Aap ka wisaal 11 Zil Qa’ada 489 Hijri (October 1096 A.D.) ko Jumeraat ke roz hua.

Aap ka mazaar Jilan (Iran) me hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Sayyed Abu Saalih Moosā Jangi-dost rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Sharing Is Caring:

Leave a Comment