Hazrat Shaah Sayyed Shams-ud-deen Ahmad Biography
Hazrat Shaah Sayyed Shams-ud-deen Ahmad rahmatullāhi alaihi :
Alqaab
Hazrat Shaah, Qutb-ul-Aarifeen, Shehanshaah e Una.
Aap Husaini saadaat hain.
Aap hukm e ilāhi se isha’at e Islaam ke liye Uch (maujooda Punjab, Pakistan) se safar karte hue Una (Saurashtra, Gujarat) tashreef laaye.
Una ke Qaadri al-Jeelaani saadaat e kiraam ne Aap ka isteqbaal kiya.
Aap Una me sukoonat ikhtiyaar karke ta’aleem e deen karte rahe.
Aur beshumaar logo ko faiz ata farmaaya.
Aap ke faiz aur ta’aleem se Sorath ke ilaaqe me islaam mazboot hua.
Aap ne puri zindagi shaher se baahar qayaam karke ibaadat aur mujaahida me guzaari.
******************
Ek baar Aap ko Una se baahar safar karna tha. Magar koi sawaari ka intazaam nahi tha. Aap raaste par khade the ke itne me ek shakhs bail-gaadi ke saath guzra. Aap ne us se Veraval le jaane ke liye kaha. Us ne kaha ‘Baaba! Mere bail bahot kamzor hain aur agar main Aap ko gaadi me bitha lu to bail theek se chal bhi nahi paayenge.’ Aap ne qareeb jaakar bailo ke upar apna daste mubarak phair diya. ALLĀH ke fazl se bail tandurast ho gaye. Bail-gaadi waale ne Aap ko bithakar safar shuru kiya. Raaste me ek nadi aai jis me paani zyada tha. Bail-gaadi waale ne ‘Baaba! Is nadi ko paar karna mushkil hai.’ Aap ne farmaaya ‘Apni aakhen band kar lo aur bail-gaadi ko chalaate raho.’ Us ne waisa hi kiya. Jab Hazrat ne use aankhen kholne ke liye kaha to use ye dekhkar ta’ajjub hua ke bail-gaadi nadi ke dusre kinaare par pahunch gai thi. Ye karaamat dekhkar wo shakhs Aap ke qadmo me gir gaya aur kalma padhkar musalman ho gaya.
Aap Hazrat Sayyed Naseer-ud-deen Suharwardi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ‘Suharwardi Jalaali’ silsila ke Shaikh hain.
Aap ke khalifa Hazrat Jalaal rahmatullāhi alaihi hain.
Aap ka wisaal 863 Hijri (July 1459 A.D.) me hua.
Aap ka mazaar Una, Saurashtra, Gujarat (India) me hai.
Aap ka Urs 29 Sha’abaan ko manaaya jaata hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Shaah Sayyed Shams-ud-deen Ahmad rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait aur Ashaba ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.