Hazrate Sayyeda Faatima Zahra radiy-Allāhu ta’ala anha
♦️♦️♦️♦️♦️♦️♦️♦️♦️♦️♦️♦️♦️♦️♦️♦️♦️♦️♦️♦️
Alqaab :
¯¯¯¯¯¯
Khaatoon-e-Jannat, Khair-un-nisaa, Sayyedat-un-nisaa, Umm-ul-Saadaat, Tayyeba, Taahira, Zahra, Batul, Raadiyah.
***** ***
Aap ki wilaadat 20 Jamaadi uṡ ṡaani, Elaan e Nabuwwat ke 4 baras pehle 605 A.D. me Makka me hui.
Aap ke waalid Hazrat Muhammad Mustafa Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam aur waalida Hazrate Khadeejatul Kubra binte Khuwaylid radiy-Allāhu ta’ala anha hain.
Hazrate Khadeejatul Kubra radiy-Allāhu ta’ala anha farmaati hain ke “Jab Faatima mere shikam me thi, qasam Khuda ki meri saanso se khushboo aati aur mere shikam se ALLĀH ta’ala ke zikr ki aawaaze aati.”
***** ***
10 Ramazaan 10 Nabawi (619 A.D.) ko jab Aap ki umr 14 saal ki thi tab Aap ki waalida Hazrate Khadeejatul Kubra radiy-Allāhu ta’ala anha ka wisaal hua.
***** ***
Aap ka nikaah Hazrate Ali al-Murtaza radiy-Allāhu ta’ala anhu ke saath Zil Hijjah 2 Hijri (623 A.D.) ko hua.
Jab Huzoor Sarwar e kaa’inat Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrate Faatima radiy-Allāhu ta’ala anha se farmaaya ke ‘Aye beti Faatima! ALLĀH ta’ala ke hukm se tumhara aqd (nikaah) Hazrate Ali se 200 miskaal chaandi mehar ke saath tay kiya hai, tumhe manzoor hai?’ Sayyeda Faatima ne farmaaya ke ‘Ali manzoor hai, magar ye mehar manzoor nahi. Tab Hazrate Jibr’eel alaihis salaam ne aakar kaha ke ‘Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Faatima se farma dijiye ke ALLĀH unke mehar me saari jannat de raha hai.’ Sayyeda Faatima ne ye sunkar kaha ke ‘Yeh mehar bhi mujhe manzoor nahi hai.’ Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ke ‘Aye beti Faatima! To phir tumhari kya marzi hai?’ Hazrate Faatima radiy-Allāhu ta’ala anha ne farmaaya ke ‘Mujhe mehar me ummate Mustafa ki maghfirat chaahiye.’ Itne me Hazrate Jibr’eel alaihis salaam ne phir se aakar ek jannati kaagaz ka tukda diya aur farmaaya ke ‘ALLĀH ta’ala ne Faatima ke mehar me ummate Mustafa ki maghfirat ata kar di hai.’
Jab Hazrate Faatima ne ye suna to nikaah ke liye raazi hue.
Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ke farmaan par Hazrat Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu ne jung e Badr me jo girah mili thi use 480 dirham me bechkar us me se aadhi raqam se mehar ada kiya.
Aur baaqi raqam se Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ne kuchh saamaan khareeda aur Aap ko bidaai ke waqt ek lihaaf, ek chamde ka gadda jis ke andar khajoor ke patte bhare hue the, ek rangi hui khaal, do chakkiya, ek mashk, do mitti ke ghade, ek piyaala aur ek tasbeeh diye aur Is tarah ye paighaam diya ke Aurat ALLĀH ta’ala ki Ibaadat kare aur Apne shohar aur us ke ghar waalo ki khidmat kare aur apni aulaad ko sahi tarbiyat wa ta’aleem de to wo Jannati hai.
****
Aap ke 3 bete aur 2 betiya hain :
Saahabzaade – Hazrat Hasan, Husain aur Mohsin radiy-Allāhu ta’ala anhuma,
Saahabzaadiya – Hazrat Zainab Aur Umme Kulṡum radiy-AllĀhu ta’ala anhuma.
Aap ki aulaad aur nasl ‘Aale Rasool’ aur ‘Saadaat’ kehlaate hain.
***** ***
Ek bar kuchh yahudi aurto ne Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ke paas aakar kaha ke ‘Hum aap ki beti Faatima ko humare yaha shaadi me aane ke liye dawat dene aaye hain.’ Aap sallallāhu alaihi wa sallam ne kaha ‘Theek hai, Faatima aap ke yaha zaroor aayegi.’
Jab Faatima ne ye baat suni to aankho me aansu aa gaye. Pyaare Aaqa sallallāhu alaihi wa sallam ne puchha to bataaya ke ‘Mere paas achhe kapde nahi hai jise pehankar main un yahudiyo ke yaha jaau. Agar mere puraane kapde pehankar jaaugi to wo sab ye kehkar mazzaaq udayenge ke musalmano ke nabi ki beti ke paas achhe kapde bhi nahi. Main aap ki tauhin bardaasht nahi kar sakti.’
Itne me Hazrate Jibr’eel alaihis salaam jannti libaas ka ek joda lekar aaye aur farmaaya ‘Ya rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Ye kapde Faatima ko de dijiye aur ise pehankar wo un yahudiyo ke yaha daawat me jaaye.’
Jab Sayyeda Faatima radiy-Allahu ta’la anha wo kapde pehankar yahudiyo ke yaha pahunchi to un aurto ne us noorani kapdo ko dekhkar hairaan hokar puchha ke ‘Aye Faatima! Ye kapde tumhe kisne diye?’ Sayyeda Faatima ne farmaaya ki ‘Mere baaba jaan Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne.’ Un aurto ne puchha ‘Unhe kis ne diye?’ To Faatima ne farmaaya ‘ALLĀH ta’ala ke hukm se Jibr’eel alaihis salaam ne jannat se laakar diye.’
Ye sunkar wo sab aurte foran kalma padhkar musalman ho gai.
***** ***
Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam apni beti Faatima ke sar ko sungha karte the.
Ashaaba ne puchha ki ‘Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam chumne ki baat to samajh me aati hai, ye sunghne ki kya wajah hai?’ tab aap ne farmaaya ‘Mujhe Faatima me se jannat ki khushboo aati hai.’
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ‘Mujhe apne Ahle Bait me se sab se pyaari Faatima hai.’
***** ***
Aap ke baare me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya hai :
(1) Meri beti Faatima insaani hoor hai. ALLĀH ta’ala ne use haiz o nifaas se paak rakha hai.
(2) Faatima mere jigar ka tukda hai. Jis ne use naraaz kiya us ne mujhe na-raaz kiya.
(3) Jannat me daakhil hone waali aurto me sab se pehle meri beti Faatima hogi.
Qayaamat ke din ghaib se ek nida (aawaaz) aayegi ki ‘Aye hashr ke maidaan me jama hone waalo! apni nigaahen jhuka lo yaha tak ke Faatima binte Muhammad sallallāhu alaihi wa sallam guzar jaayen. Aur Aap 70,000 hooro ke saath bijli ki tarah guzar jaayengi.
(4) ALLĀH ne Faatima Zahra aur us ki aulaad par Jahannam ko haraam farma diya hai.
******
Aqwaal :
¯¯¯¯¯¯
(1) Apni betiyo ko bachpan se hi parda karna sikhaao.
Jis tarah Moti ke liye sadaf aur Jawahiraat ke liye sandooq zaroori hai usi tarah Aurat ke liye parda zaroori hai.
Aurat me sab se behtar woh hai jo na kisi ghair-meharam ko dekhe aur na koi ghair-mehram us ko dekhne paaye.
(2) Jab aurat ghar ka kaam aur bacho ki tarbiyat kar rahi ho,
Us waqt woh ALLĀH ta’ala ke sab se zyada qareeb hoti hai.
******
Ek martaba Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Sahaaba-e-kiraam se farmaaya ‘Bataao! Aurat ke liye kaun si cheez behtar hai?’ Tamaami ashaaba khaamosh rahe, kisi ne koi jawaab na diya.
Hazrate Ali radiy-Allāhu anhu foran ghar gaye aur Shehzaadi e Rasool Sayyeda Faatima Zahra radiy-Allāhu anha se kaha ke ‘Aaj ALLĀH ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ne ye sawaal kiya hai. Aap bata’iye ke kya jawaab du?’
Sayyeda Faatima Zahra radiy-Allāhu anha ne farmaaya ‘Na Aurat ajnabi mard ko dekhe, Na ajnabi mard use dekhe.’
Hazrate Ali radiy-Allāhu anhu farmaete hain ke ‘Maine jab jaakar ye Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko pesh kiya to Aap sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaya ke :- Faatima mere jigar ka tukda hai.’
********
Ek martaba Hazrate Ali radiy-Allāhu anhu ne dekha ki Ghar ka kaam karte karte Sayyeda Faatima ke haatho me chhale pad gaye hain. Unho ne farmaaya “Aap Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki khidmat me jaao aur un se baat karo. Agar Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam jo kaneeze aai hain un me se ek ata kar de to woh tumhare kaam me madad karegi.” Aap Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki khidmat me tashreef le gai magar Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam se kuchh kehne ki himmat na hui. Kuchh der baithkar Aap waapas aa gai. Hazrat Ali samajh gaye. Phir wo khud Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki khidmat me haazir hue. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne daryaaft kiya “Ali! Kuchh der pehle Faatima aai thi. Kuchh der baithkar chali gai. Kya kuchh kaam tha?” Hazrat Ali ne arz kiya “Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Faatima tanha ghar ka saara kaam kaaj karti hain. Is liye thak jaati hain. Agar Aap ek londi ataa kar den to woh us ke kaam me madad kar degi.” Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya “Ali! Main tumhe is se behtar raasta bataata hu. Faatima se kehna ki har farz namaaz ke baad 33 martaba Sub’hān Allāh, 33 martaba Alhamdulillāh aur 34 martaba Allāhu akbar padhkar badan par dam kar le. Is se us ki saari thakaan door ho jaayegi.”
********
Ek martaba Hazrat Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu ghar tashreef laaye to kuchh ranjeeda lag rahe the. Aap ne puchha to Hazrat Ali ne bataaya “Aaj Hazrat Uṡmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu ne Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ko ashaaba ke saath apne yaha shaandaar daawat ki aur un ke ghar tak Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke jitne qadam pade utne ghulaam Hazrat Uṡmaan Ghani ne aazaad kiye.” Aap ne kaha “Aap bhi Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ko daawat den.” Hazrat Ali ne farmaaya “Daawat kar to len lekin hamare paas itna maal kaha hain ke hum ghulaamo ko aazaad karaayen?” Aap ne farmaaya “Aap daawat ki tayyaari kijiye.”
Hazrat Ali ne Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki khidmat me daawat ke liye arz ki. Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam apne ashaaba ke saath Hazrat Ali ke ghar par tashreef laaye. Khaana khilaane ke baad Sayyeda Faatima musalla bichhaakar sajde me jaakar dua me mashgool ho gaye. Jab Aap faarigh hui to Hazrate Ali ne puchha to Aap ne bataaya ke “Maine Rabb ta’ala ki baargaah me arz karke Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ke qadamo ke barabar ummatiyo ko jahannam se aazaad karwaaya.”
********
Ek baar Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam beemaar hue to Sayyeda Faatima radiy-Allāhu ta’ala anha tashreef laai. Aap sallallāhu alaihi wa sallam ne dekha to farmaaya “Marhaba Aye meri beti!” Aur mohabbat se apne paas bithakar aahista aahista un se kuchh baaten ki, jis se Aap rone lagi. Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne un ke malaal ko dekha to phir aahista aahista kuchh baaten ki, jis se wo muskuraane lagi.
Ummul mo’mineen Hazrate Aa’isha Siddeeqa radiy-Allāhu ta’ala anha ne Sayyeda Faatima se puchha ki “Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne aap se kya guftgu farmai hi jis se pehle aap rone lagi aur phir muskurane lagi?’ To aap ne farmaaya ‘Main Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke raaz ko zaahir nahi karna chaahti.”
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ka wisaal ke baad Hazrate Aa’isha Siddeeqa radiy-Allāhu ta’ala anha ne Sayyeda Faatima se kaha “Main tumhe qasam deti hu aur is haq ka waasta deti hu jo mera tum par hai ab mujhe us raaz se aagah karo.” To Aap ne farmaaya “Ab is raaz ko zaahir karne me koi harz nahi hai. Baat ye hai ki mujhe pehli martaba Huzoor Rasool-Allāh sallallahu alaihi wa sallam ne farmaaya tha ki ‘Aye Faatima! Har Saal Jibr’eel mere saath Qur’an ka daura kiya karte the. Is saal us ne do dafa daura kiya hai. Ma’aloom hota hai ki mere wisaal ka waqt qareeb aa gaya hai aur main tujh se juda hone waala hu, Pus tum ALLĀH se darti rehna aur sabr karti rehna.’ Ye sunkar main rone lagi thi aur jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne mujh ko zyada ghamgeen dekha to mujh se farmaaya ki ‘Kya tum is par raazi nahi ki tum saare jahaan ki aur jannat ki aurton ki sardaar bano? Aur mere ahle bait me sab se pehe tum hi mujh se milogi.’ Yeh sunkar main khush ho gai aur muskuraane lagi.”
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke wisaal ke 6 mahine baad Sayyeda Bibi Faatima ka intiqaal hua.
********
Aap ke wisaal ke din jab Hazrate Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu ghar me tashreef laaye to dekha ke Hazrate Faatima kaam me masroof hain.
Aap ne puchha ke “Aye Faatima! Kya wajah hai ke aaj kuchh zyada masroof lagti hain?”
Aap ne farmaaya ke “Aap logo se rukhsat hone ka waqt qareeb hai. Is liye main Aap ke kapde dhokar rakh dena chaahti hu aur Aap sab ke liye khaana banaakar rakh dena chaahti hu taaki mere jaane ke baad aap ko pareshaani na ho.”
Yeh sunkar Hazrate Ali ki aankho me aansoo aa gaye to Aap ne farmaaya ke “Aap ko har haal me sabr karna hai aur hamare bacho ka khayaal rakhna hai.”
Phir Aap ne Hazrate Ali se kuchh wasiyaten ki, jin me se ek yeh thi ke “Mere janaaze ko raat ke waqt andhere me nikaala jaaye aur ghar ke log hi us me shaamil ho. Jis se Faatima ka parda rahe.”
Aur us kaagaz ko qabr me rakhne ke liye farmaaya jis me ALLĀH ta’ala ne Aap ke mehar me ummate Mustafa ki maghfirat likhkar bheja thi.
********
Aap ka wisaal 3 Ramazaan 11 Hijri (632 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Jannatul Baqi, Madeena munawwara me hai.
********
Yeh hai Hazrate Faatima radiy-Allāhu ta’ala ka martaba.
Aap ke Waalid Sarwar e kaa’inat, Khair ul Bashar, aur Ashraf ul Ambiya hain.
Aap ke Shohar Sher e khuda, Maula e kaa’inat aur Faatih e wilaayat hain.
Aap ke Saahabzaade Jannati jawaano ke sardaar hain.
Aap Sayyedat-un-nisaa (Jannati aurto ki sardaar) aur Khair-un-nisaa (Tamaam aurto me behtar) hain.
Jab maa ka martaba itna buland ho aur woh neki wa parhezgaari aur sabr me bemiṡaal ho to Bete bhi Shaheed e Abraar aur Shaheed e Moazzam hote hain aur Beti bhi Siddeeqa-e-Sughra hoti hain aur neki wa parhezgari aur sabr me bemiṡaal hote hain.
***** ***
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Sayyeda Faatima Zahra radiy-Allāhu ta’ala anha aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.