JO BHI DUSHMAN HAI MERE RAZA KA NAAT LYRICS
Jo Bhi Dushman Hai Mere Raza Ka Jal Raha Tha Jala Hai Jalega
Maslak E Aala Hazrat Ka Naara Lag Raha Hai Hamesha Lagega
Bughzo Keena Ka Chashma Laga Kar najdiyo Ne Likha Jo Chupa Kar
Aam Hazrat Se To Chup Gaya Hai Aala Hazrat Se Kaise Chupega
Baadaza Jiski Duniya Me Shohrat Hai Raza Ka Salaam E Muhabbat
Marhaba Mustafa Jaan E Rehmat Jhoom Kar Unka Aashq Padhega
Wo Raza Ka Gharana Hai Pyare, Ilm Ka Kaarkhana Hai Pyare
Unke Taksaal Me Jo Dhalega Ilm Ka Ik Himala Banega
Mustafa Ki Inayat Se Pyare Ghouse Azam Ki Barkat Se Pyare
Ahle Sunnat Ke Baazar Me Ab Aala Hazrat Ka Sikka Chalega
Ishq E Ahmed Ka Mafhoom Kya Hai, Najdiyo Tumko Ma’alum Kya Hai
Aala Hazrat Le Paykar Me Dekho Ishq E Ahmed Ka Jalwa Milega
Ghous O Khwaja Ki Beshaq Ataa Hai Hind Me Ek Ahmed Raza Hai
Ahle Sunnat Ka Jo Muqtada Hai Wo Bareily Me Tumko Milega
Wo Raza Ke Chaman Ka Sitara, Ahle Sunnat Ke Dil Ka Ujala
Akhtar E Qadri Sabke Dil Par, Raaj Karta Hai Karta Rahega
Haath Malte Rahe Malne Waale Laakh Jalte Rahe Jalne Waale
Ghousa Khwaja Ke Lutfo Karam Se Aala Hazrat Ka Danka Bajega
Naam Le Le Ke Ahmed Raza Ka Apna Ullu Jo Seedha Kare Hai
Paadri Saatri Ye Bata Den Kab Talak Tera Dhanda Chalega
Saade Saade Ye Jangli Kabootar Aajkal Fadfadane Lage Hai
Aala Hazrat Ki Kheechi Ko Lekar Inke Par Ko Kutarna Padega
Taaye Taaye Ki Aawaaz Se Jo Shor Halla Machaye Hue Hai
Maslak E Aala Hazrat Ke Pinjre Me Inhe Band Karna Padega
Doodh Maangoge Hum Kheer Denge Warna Baaghi Ko Hum Cheer Denge
Razviyo Se Na Le Koi Panga Warna Hasmat Ka Danda Padega