Kabe Ke Badrudduja Tum Pe Karoron Durud Lyrics
Kaabe Ke Badrudduja Tum Pe Karodon Durood Lyrics
Kaabe Ke Badrudduja Tum Pe Karodon Durood
Taiba Je Shamsudduha Tum Pe Karodon Durood
Shafa’ae Roze Jazaa Tum Pe Karodon Durood
Daafaye Jumla Balaa Tum Pe Karodon Durood
Jaano Dile Asfiya Tum Pe Karodon Durood
Aabo Gile Ambiya Tum Pe Karodon Durood
Laaye(N) To Yeh Doosra Do Sara Jis Ko Mila
Kushke Arsho Dana Tum Pe Karodon Durood
Aur Koi Ghaib Kya Tum Se Nihaa(N) Ho Bhala
Jab Na Khuda Hi Chupa Tum Pe Karodon Durood
Toor Pe Jo Sham’a Tha Chand Tha Saaeer Ka
Nayyire Faaraa(N) Huwa Tum Pe Karodon Durood
Dil Karo Thanda Mera Woh Kafe Pa Chaand Sa
Seene Pe Rakh Do Zara Tum Pe Karodon Durood
Zaat Hui Intikhaab Wasf Huye Laajawaab
Naam Huwa Mustafa Tum Pe Karodon Durood
Ghaayato Illat Sabab Bahre Jahaa(N) Tum Ho Sab
Tum Se Bana Tum Bina Tum Pe Karodon Durood
Tum Se Jahaa(N) Ki Hayaat Tum Se Jahaa(N) Ka Sabaat
Asl Se Hai Zil Bandha Tum Pe Karodon Durood
Magz Ho Tum Aur Post Aur Hain Baahar Ke Dost
Tum Ho Daroone Sara Tum Pe Karodon Durood
Kya Hain Jo Behad Hain Laus Tum To Ho Gais Aur Gaus
Cheente Mein Hoga Bhala Tum Pe Karodon Durood
Tum Ho Hafeezo Mugees Kya Hai Woh Dushman Khabees
Tum Ho To Phir Khauf Kya Tum Pe Karodon Durood
Woh Shabe Me’raj Raaj Woh Safe Mehshar Ka Taaj
Koi Bhi Aisa Huwa Tum Pe Karodon Durood
Jaano Jahaane Maseeh Daad Ki Dil Hai Jareeh
Nabze(N) Chooti Dum Chala Tum Pe Karodon Durood
Uf Woh Rahe Sang Laakh Aah Yeh Pa Shaakh Shaakh
Aye Mere Mushkil Kusha Tum Pe Karodon Durood
Tum Se Khula Baabe Jood Tum Se Hai Sab Ka Wujood
Tum Se Hai Sab Ki Baqaa Tum Pe Karodon Durood
Khasta Hoon Aur Tum Ma-Aaz Basta Hoon Aur Tum Malaaz
Aage Jo Shah Ki Raza Tum Pe Karodon Durood
Garche Ho Behad Kusoor Tum Ho Afuwwo Ghafoor
Bakhsh Do Jurmo Khata Tum Pe Karodon Durood
Mehre Khuda Noor Noor Dil Hai Siyah Din Hai Door
Shab Mein Karo Chaandna Tum Pe Karodon Durood
Tum Ho Shaheedo Baseer Aur Main Gunah Par Dileer
Khol Do Chashme Hayaa Tum Pe Karodon Durood
Cheent Tumhari Sahar Chhoot Tumhari Qamar
Dil Mein Racha Do Ziya Tum Pe Karodon Durood
Tum Se Khuda Ka Zuhoor Usse Tumhara Zuhoor
Lim Hai Yeh Woh In Huwa Tum Pe Karodon Durood
Be Hunaro Be Tameez Kis Ko Huye Hai Azeez
Ek Tumhare Siwa Tum Pe Karodon Durood
Aas Hai Koi Na Paas Ek Tumhari Hai Aas
Bas Hai Yehi Aasra Tum Pe Karodon Durood
Taa-Rame Aa’la Ka Arsh Jis Kafe Pa Ka Hai Farsh
Aankh Pe Rakh Do Zara Tum Pe Karodon Durood
Kehne Ko Hai Aamo Khaas Ek Tumhi(N) Ho Khalaas
Band Se Kar Do Riha Tum Pe Karodon Durood
Tum Ho Shifaaye Maraz Khalqe Khuda Khud Garaz
Khalq Ki Haajat Bhi Kya Tum Pe Karodon Durood
Aah Woh Raahe Siraat Bandon Ki Kitni Bisaat
Al Madad Aye Rehnuma Tum Pe Karodon Durood
Be Adabo Bad Lihaaz Kar Na Saka Kuch Hifaaz
Afw Pe Bhoola Raha Tum Pe Karodon Durood
Lo Tahe Daaman Ki Sham’a Jhonko Mein Hai Roze Jam’a
Aandhiyon Se Hashr Uthaa Tum Pe Karodon Durood
Seena Ki Hai Daag Daag Keh Do Kare Baag Baag
Taiba Se Aa Kar Saba Tum Pe Karodon Durood
Gesu O Qad Laam Alif Kar Do Bala Munsarif
La Ke Tahe Taig ‘La’ Tum Pe Karodon Durood
Tum Ne Ba Range Falaq Jaibe Jahaa(N) Kar Ke Shaq
Noor Ka Tadka Kiya Tum Pe Karodon Durood
Naubate Dar Hain Falak Khaadime Dar Hain Malak
Tum Ho Jahaa(N) Baadshah Tum Pe Karodon Durood
Khilq Tumhari Jameel Khulq Tumhara Jaleel
Khalq Tumhari Gada Tum Pe Karodon Durood
Taiba Ke Maahe Tamaam Jumla Rusul Ke Imaam
Nau Shahe Mulke Khuda Tum Pe Karodon Durood
Tum Se Jahaa(N) Ka Nizaam Tum Pe Karodon Salaam
Tum Pe Karodon Sana Tum Pe Karodon Durood
Tum Ho Jawwaado Kareem Tum Ho Raufo Raheem
Bheek Ho Daata Ata Tum Pe Karodon Durood
Khalq Ke Haakim Ho Tum Rizq Ke Qaasim Ho Tum
Tum Se Mila Jo Mila Tum Pe Karodon Durood
Naafe’o Daafe’ Ho Tum Shaafe’ O Raafe’ Ho Tum
Tum Se Bas Afzoo(N) Khuda Tum Pe Karodon Durood
Shaafiyo Naafi Ho Tum Kaafiyo Waafi Ho Tum
Dard Ko Kardo Dawa Tum Pe Karodon Durood
Jaaye Na Jab Tak Ghulaam Khuld Hai Sab Par Haraam
Milk To Hai Aap Ka Tum Pe Karodon Durood
Mazhare Haq Ho Tumhi Muzhire Haq Ho Tumhi
Tum Mein Hai Zaahir Khuda Tum Pe Karodon Durood
Zor Di-He Narasaa(N) Takya Gahe Bekasaa(N)
Baadshahe Maa Waraa Tum Pe Karodon Durood
Barse Karam Ki Bharan Phoolen Ni’am Ke Chaman
Aisi Chala Do Hawa Tum Pe Karodon Durood
Ik Taraf Aa’daaye Dee(N) Ek Taraf Haasidee(N)
Banda Hai Tanha Shaha Tum Pe Karodon Durood
Kyun Kahoon Bekas Hoon Main Kyun Kahoo Bebas Hoon Main
Tum Jo Main Tum Par Fida Tum Pe Karodon Durood
Gande Nikamme Kameen Mehnge Ho(N) Kodee Ke Teen
Kaun Humein Paalta Tum Pr Karodon Durood
Baat Na Dar Ke Kahi(N) Ghaat Na Ghar Ke Kahi(N)
Aise Tumhi Paalna Tum Pe Karodon Durood
Aiso Ko Ne’mat Khilaao Doodh Ke Sharbat Pilaao
Aiso(N) Ko Aisi Gizaa Tum Pe Karodon Durood
Girne Ko Hoon Rok Lo Ghota Lage Haath Do
Aison Par Aisi Ata Tum Pe Karodon Durood
Apne Khatawaaron Ko Apne Hi Daaman Mein Lo
Kaun Kare Yeh Bhala Tum Pe Karodon Durood
Kar Ke Tumhare Gunaah Maange Tumhari Panaah
Tum Kaho Daaman Mein Aa Tum Pe Karodon Durood
Kar Do ‘Adoo Ko Tabaah Haasidon Ko Roo Baraah
Ahle Wilaa Ka Bhala Tum Pe Karodon Durood
Hum Ne Khata Mein Na Ki Tum Ne Ata Mein Na Ki
Koi Kami Sarwara Tum Pe Karodon Durood
Kaam Ghazab Ke Kiya Us Pe Hai Sarkaar Se
Bandon Ko Chashme Raza Tum Pe Karodon Durood
Aankh Ata Kijiye Us Mei Ziya Dijiye
Jalwa Kareeb Aa Gaya Tum Pe Karodon Durood
Kaam Woh Le Lijiye Tum Ko Jo Raazi Kare
Theek Ho Naame Raza Tum Pe Karodon Durood
काबे के बदरुद्दुजा तुम पे करोरों दुरूद / Kabe Ke Badrudduja Tum Pe Karoron Durood
का’बे के बदरुद्दुजा ! तुम पे करोरों दुरूद
तयबा के शम्सुद्दुहा ! तुम पे करोरों दुरूद
शाफ़े’-ए-रोज़-ए-जज़ा ! तुम पे करोरों दुरूद
दाफ़े’-ए-जुम्ला-बला ! तुम पे करोरों दुरूद
और कोई ग़ैब क्या तुम से निहाँ हो भला
जब न ख़ुदा ही छुपा, तुम पे करोरों दुरूद
दिल करो ठंडा मेरा वो कफ़-ए-पा चाँद सा
सीने पे रख दो ज़रा, तुम पे करोरों दुरूद
ज़ात हुई इंतिख़ाब, वस्फ़ हुए ला-जवाब
नाम हुआ मुस्तफ़ा, तुम पे करोरों दुरूद
वो शब-ए-मे’राज राज, वो सफ़-ए-महशर का ताज
कोई भी ऐसा हुआ, तुम पे करोरों दुरूद
तुम से खुला बाब-ए-जूद, तुम से है सब का वुजूद
तुम से है सब की बक़ा, तुम पे करोरों दुरूद
आस है कोई न पास, एक तुम्हारी है आस
बस है यही आसरा, तुम पे करोरों दुरूद
सीना कि है दाग़-दाग़, कह दो करे बाग़-बाग़
तयबा से आ कर सबा, तुम पे करोरों दुरूद
तुम हो जवाद-ओ-करीम, तुम हो रऊफ़-ओ-रहीम
भीक हो दाता ‘अता, तुम पे करोरों दुरूद
ख़ल्क़ के हाकिम हो तुम, रिज़्क़ के क़ासिम हो तुम
तुम से मिला जो मिला, तुम पे करोरों दुरूद
जाएँ न जब तक ग़ुलाम, ख़ुल्द है सब पर हराम
मिल्क तो है आप का, तुम पे करोरों दुरूद
बरसे करम की भरन, फूलें नि’अम के चमन
ऐसी चला दो हवा, तुम पे करोरों दुरूद
इक तरफ़ आ’दा-ए-दीं, एक तरफ़ हासिदीं
बंदा है तन्हा, शहा ! तुम पे करोरों दुरूद
क्यूँ कहूँ बेकस हूँ मैं, क्यूँ कहूँ बेबस हूँ मैं
तुम हो मैं तुम पर फ़िदा, तुम पे करोरों दुरूद
गंदे निकम्मे कमीन, महँगे हों कौड़ी के तीन
कौन हमें पालता, तुम पे करोरों दुरूद
ऐसों को ने’मत खिलाओ, दूध के शरबत पिलाओ
ऐसों को ऐसी ग़िज़ा, तुम पे करोरों दुरूद
अपने ख़तावारों को अपने ही दामन में लो
कौन करे ये भला, तुम पे करोरों दुरूद
कर के तुम्हारे गुनाह, माँगें तुम्हारी पनाह
तुम कहो दामन में आ, तुम पे करोरों दुरूद
हम ने ख़ता में न की, तुम ने ‘अता में न की
कोई कमी, सरवरा ! तुम पे करोरों दुरूद
आँख ‘अता कीजिए, उस में ज़िया दीजिए
जल्वा क़रीब आ गया, तुम पे करोरों दुरूद
काम वो ले लीजिए, तुम को जो राज़ी करे
ठीक हो नाम-ए-रज़ा, तुम पे करोरों दुरूद
शायर:
इमाम अहमद रज़ा ख़ान
ना’त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी
असद इक़बाल कलकत्तवी
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी
सय्यिद अब्दुल क़ादिर अल-क़ादरी