Khayal Aata Hai Dil Mein Ye Gar Hua Hota Lyrics

Khayal Aata Hai Dil Mein Ye Gar Hua Hota Lyrics

 

Khayaal Aata Hai Dil Men Ye Gar Huwa Hota
Unhin Ke Daur Men Main Ne Janam Liya Hota

Main Chupke Chupke Unhen Dekhta Raha Hota
Naseeb Waalon Ka Phir Main Bhi Peshwa Hota

Wo Chalte Aage Mere Shaan-E-Dilrubaai Se
Main Peechhe Un Ki Sawaari Ke Daudta Hota

Mere Bhi Sar Pe Tasalli Ka Haath Rakhte Wo
Yateen Gar Main Usi Daur-E-Paak Ka Hota

Mujhe Bhi Milta Sharaf Talwe Choom Lene Ka
Nabi-E-Paak Ki Paa-Posh Ban Gaya Hota

Wo Le Ke Jaate Mujhe Roz Kaash ! Sehra Men
Haleema Daai Ki Bakri Hi Ban Gaya Hota

Wo Aa Ke Mere Janaaze Pe Jab Khade Hote
Kafan Hata Ke Main Un Ko Hi Tak Raha Hota

Ameen-E-Khasta Ka Uthta Janaaza Tayba Men
Muraad Apni Be-Chaara Ye Paa Gaya Hota

Mujhe Bhi Saakin-E-Tayba Bana Diya Hota
Nabi Ka Naqsh-E-Kaf-E-Paa Bana Diya Hota

Main Un Ke Shehr Men Be-Rok-Tok Jaa Sakta
Hawa Ka Mujh Ko Jo Jhonka Bana Diya Hota

Mah-O-Nujoom Se Behtar Chamak Meri Hoti
Jo Un Ke Kooche Ka Zarra Bana Diya Hota

Baqi’-E-Paak ‘Ata Kar Ke Apne Rizwan Ko
Muqeem-E-Sehr-E-Madina Bana Diya Hota

 

ख़याल आता है दिल में ये गर हुआ होता
उन्हीं के दौर में मैं ने जनम लिया होता

मैं चुपके चुपके उन्हें देखता रहा होता
नसीब वालों का फिर मैं भी पेशवा होता

वो चलते आगे मेरे शान-ए-दिलरुबाई से
मैं पीछे उन की सवारी के दौड़ता होता

मेरे भी सर पे तसल्ली का हाथ रखते वो
यतीम गर मैं उसी दौर-ए-पाक का होता

मुझे भी मिलता शरफ़ तलवे चूम लेने का
नबी-ए-पाक की पा-पोश बन गया होता

वो ले के जाते मुझे रोज़, काश ! सहरा में
हलीमा दाई की बकरी ही बन गया होता

वो आ के मेरे जनाज़े पे जब खड़े होते
कफ़न हटा के मैं उन को ही तक रहा होता

अमीन-ए-ख़स्ता का उठता जनाज़ा तयबा में
मुराद अपनी बे-चारा ये पा गया होता

मुझे भी साकिन-ए-तयबा बना दिया होता
नबी का नक़्श-ए-कफ़-ए-पा बना दिया होता

मैं उन के शहर में बे-रोक-टोक जा सकता
हवा का मुझ को जो झोंका बना दिया होता

मह-ओ-नुजूम से बेहतर चमक मेरी होती
जो उन के कूचे का ज़र्रा बना दिया होता

बक़ी’-ए-पाक ‘अता कर के अपने रिज़वाँ को
मुक़ीम-ए-शहर-ए-मदीना बना दिया होता

 

Hazrat Khwaja Sayyed Fakhr-ud-deen Gurdezi Biography
Hazrat Shaikh Ala-ud-deen Ali al-Muttaqi al-Hindi Biography
Hazrat Shaahe Meeran Sayyed Ali Qaadri al-Jilani Biography
Hazrat Meer Abdus Samad Khudanuma Qaadri Biography
Hazrat Shaikh Wasi Ahmad Muhaddith Naqshbandi Surat Biography
Hazrat Sayyed Badi-ud-deen Ahmad Madaar Shah Biography
Hazrat Allama Maulana Muhammad Haamid Raza Khan Biography

Sharing Is Caring:

Leave a Comment