love shayari in hindi

love shayari in hindi

 

**********************************

Tha boht khush jo bhula k mujhe

Tha boht khush jo bhula k mujhe,
Aaj roya gally lga k mujhe,

Us ny pehla swal ye pucha,
Tm ko kesa laga ganwa k mujhe,

Mujh ko pathr bnaa k kehta hai,
Jan! dekho na, muskura k mujhe,

Zindgi ne to azmaya hai
Tm b dekh lo azma k mujhe,

Us ne rasta badal lia apna,
Pyar ki rah per chala k mujhe.

**********************************************************

*”GHAZAL”*

Hanste hain yun hi hans kr rula jate hain log “?”

Milte hain yun hi mil kr juda ho jate hain log”?”

“Pal do pal ki Mohabbat ko umar bhar ka sath na samajhna”?”

“Mohabbat bhi karte hain aur khafa bhi ho jate hain log”?”

“Naseeb mein pyaar na tha jo Mujhe mila hi Nahi”?”

“Kr k izhar-e-Mohabbat be parwah ho jate hain log”?”

“Ab kis se Shikwa karen Apni kismat ka’

“Kr k wafa k vaadey bewafa ho jate hain log”

**********************************************************

zuban tak jo na aye wo mohabbat aur hoti hia
fasana aur hota hia,haqiqat or hoti hai

nahi miley tu aik adna shikayat hia na
magar mil ke na milney ki shikayat or hoti hai

yeh mana sheesha-e-dil ronaq bazar-e-ulfat hai
magar jab toat jata hai tu Qeemat or hoti hai.

**********************************************************

Shikwa Hai Ab Humko Apni Taqdeer Se
Logon Se Aye Dil Hum Kuch Kaha Nahi Karte
Kar Lete Hai Tanhaiyon Mein Khud Se Hi Baaten
Dard Apne Dil Ka Kisi Se Kaha Nahi Karte
Apne Afsane Ke Khud Hi Malik Hai Hum
Apne Fasane Kisi Se Kaha Nahi Karte
Andhero Se Hi Karli Hai Dosti Humne
Ujale Ab Hamein Bhaya Nahi Karte
Dil Hi Ko Bana Liya Hai Faqat Apna Rafeeq
Sun Lete Hai Sabki Apni Kisi Se Kaha Nahi Karte

**********************************************************

Bikharti Rait Par Kis Naqsh Ko Aabad Rakhy Ga?

Wo Mujhko Yaad Rakhy Bhi To Kitna Yaad Rakhy Ga?

Usay Bunyad Rakhni Hy Abhi Dil Mein Mohabat Ki,,,

Magr Ye Sang Seenay Par Wo Mere Baad Rakhy Ga?

Palat Kar Bhi Nahi Dekhi Uski Ye Be-Rukhi Hum Ne,,,

Bhula Dein Gey Usay Aysa

K Wo Bhi Yaad Rakhe Ga…!!

**********************************************************

BATAO KESA, LAGTA HY,

ksi ko pa k kho dena

ksi k sath to chalna mgr uska na ho pana

khudi ko kosty rehna mgr usko na kuch kehna

khudi gi
a, sambhalna,

hansna,or ro dena,

“BTAO KESA,LAGTA HY,

khizaan ki sakht sardi main

Hijar ki lambi raaton me ksi ki yaad me rona,

ksi ko sochte sochte apni ankhen bnd KRNA.

Or andheron me chlay jana

“BATAO KESA, LAGTA HY

naye rishton me rang jana

MAGAR

ksi ko bhool na pana,

BTAO KESA LAGTA HY

**********************************************************

Wo titli thi usey Urh jana Tha..

Usne mere hath main Kab anA tha..

maiN dhondTa raha usey deWanon ki tarah..

Uski na koi Manzil, Na koi thikana Tha..

Iss Gharz se us Ne mera Hath thama Nahi thA..

Kyun ke raste main Usey Ch0r JanA tha..

Usne Ansuu bhi BohaT BahayE lakin..

Baad main paTa chala Yeh saB bahaNa tha..

Meri deewangi to haD se guzaR gayi magar..

Us k liYe to Mehaz yeh Dil ka lagana Tha..

Qasoor uska Nahi koi iss Main..

Khata to Apni thi Main hii Zara Deewana Tha..!!

**********************************************************

Tumara Khat Mila Jana..

Tumara khat mila jana,

wo jis main tumne pocha hai,

mere halaat kaise hain,

mere din raat kaise hain.

tumari meharbani hai,

jo is tarah tum ne,

mere halaat poche hain,

mere din raat poche hain.

main tumein sab kuch batla doun ga,

magar muje itna bata do k,

kabi sagar kinare par,

kisi machli ko dekha hai?

k jis ko lehrain pani ki,

kinare tak to lati hain,

magar phir chor jati hain,

mere halaat aise hain,

mere din raat aise hain…

**********************************************************

**********************************************************

Ankhon Se Kaho Pyar Ka Andaz Na Badlen…
Sanson Se Kaho Dard Ka Yeh Saaz Na Badlen..

Aye Ga Kabhi PYaar Mousam Ka BHi Kissi Roz,,
Dharkan Se Kaho Rooh Ka Andaz Na Badlen…

Yun Sochna Aur Jagna Kismat Main Hai Din Raat,,
Yaadon Se Kaho Pyaar ki Parvaaz Na Badlen…

Miltay Hain Door Ja k Darya K do Kinaray,,
Chahat Se Kaho Safar Ka Andaaz Na Balden….

Suntay Hain Har Ek Chaap Main Apkay Anay Ki Awaz,,
Paoon Se Kaho Chalnay Ka Andaaz Na Badlen

**********************************************************

‘NA RANG ANKHON KA LAAL
RAKHNA
NA VIRAN VIRAN SA HAAL
RAKHNA
JO CHAHTON MEIN LIKHE THAY
HUM NE
WO LAFZ SAREY SANBHAL
RAKHNA
MACHAL MACHAL KE ADAA
DEKHANA
ADDA KE ANDER KAMAAL
RAKHNA
TUJHE DILON KI MILEY HAKUMAT
TO SHAHON JESA JALAAL RAKHNA
MERI DUAEIN HAIN SATH TERE
BAS APNA BOHT KHAYAL RAKHNA’

**********************************************************

“Ashk Girte Hain Meri Sans Sambhal Jati Hai,

Day K Ek Dard Shaam Guzar Jati Hai,

Us Ko Dekhon To Mere Dard Ko Milta Hai Sakon,

Us Se Bichron To Meri Jaan NIKAL Jati Hai,

Ishq Kuch Aise Mitata Hai
Nishan-e-Hasti,

Jese Har Raat Ujaale Ko NIGAL Jati Hai,

Zakham Bharta Hi Nahi Us Ki JUDAI Ka Mager,

Phir Us Ki Yaad Naya Dard UGAL Jati Hai,

Wo Agar Dil Pe Mere Hath Hi Rakh day. . .

Tot’ti Sans Bhi Kuch Dair SANBHAL Jati Hai…

**********************************************************

Kuch zeest safar bhi lamba tha,

kuch hum bhi thorra susst chalay !

kuch hum bhi apnay dushman thay,

kuch hum ko dushman bohat milay !

kuch hum manzil ko bhool gaye,

kuch rastay behad sakht milay !

Or aaj yeh apni haalat hay,

har simt andhera chaya hay !

har simt hay chayie weerani,

har simt usi ka saaya hay !

is dasht mein hum nay kya khoya,

is raah mein hum nay kya paya !

Ik aag si dil mein bharrak othi or aankh mein pani bhar aaya!

**********************************************************

______Ghazal______

Muje jeenay ki umeed dobara dy do.

Meri doobti kashti ko kinara dy do.

Main dard k sahil pe tanha khara hoon,

Phir aa k apni baanhon ka sahara dy do.

Tera daman to bhara hy sitaron se.

Mujhe sadqay mein aik sitara dy do.

Mere aangan mein aaj andhera hai bohat.

Meri dehleez ko phir apna nazara dy do.

Cand lamhay

tujhay dekhnay ki Hasrat hai bus.

Main nay kab kaha waqt apna sara day do.

**********************************************************

,, BEBASI ,,

Mosam badal gaye zamaanay badal gaye,

Lamhon me dost barson puranay badal gaye,

Din bhar rahay jo meri mohabat ki chaaon man

Wo log dhoop dhaltay hi thakane badal gaye

Kal jin k lafz lafz me chahat thi pyar tha,

Lo aaj un labon k taraney badal gaye,

Ab wo ‘wo nahi raha main’ main nahi raha

Sare hi zindagi k fasane badal gaye.

**********************************************************

Bhoolne Wale Se Koi Keh De Zara,

Is Tarhan Yaad Aane Se Kya Faida???

Jab Mere Dil Ki Duniyan Basaate Nahi,

Phir Khayaalon Main Aane Se Kya Faida???

Pehle Dil Ko Buraii Se Kar Paak,

ToO Phir Khulose Akidat Se Kar Justoju,

Aise Sajdon Se Allah Milta Nahi,

Aise Sajdon Main giRNe Se Kya Faida???

Chaar Tinke Jalane Se Kya Mil Gaya??

Mit Saka Na Zamane Se Mera Nishaan,

Mujh Pe Jaane Se Bijli Girao ToO WASI

Ashiyan Par Girane Se Kya Faida…~~/

**********************************************************

Main Jab Bhi Teri Yaadon Ka Sahara Thaam Leta Hoon,

Bhula Deta Hoon Dard-o-Ghum Zara Aaram Leta Hoon.

Na Jaany Kon Sa Jazba Mujhay Majboor Karta Hai,

Main Aksar Be-khudi Main Bhi Tumhara Naam Leta Hoon.

Yaqeen Karta Nahi Koi Bhi Meri Be-gunahi Ka,

Main Khud Chup Chaap Apnay Sar Pe Har Ilzam Leta Hoon.

Mujhay Har Baat Par Rona Kabhi Acha Nahi Lagta,

Isi Khatir Main Apnay Ghum Hansi Main Taal Deta Hoon…!!

**********************************************************

Kyun Khud Ko Beqaraar Kiye Jaarahi Hoon Mein
Kis Bewafa Ko Pyar Kiye Jarahi Hoon Mein

Aaya Kabhi Na, Aur Jo Na Ayega Phir Kabhi
Kyun Uska Intezar Kiye Jarahi Hoon Mein

Jo Kisi Wafa Ke Naam Se Bhi Ashna Nahi
Uspar Hi Jaan Nisaar Kiye Jarahi Hoon Mein

Poora Na Hoga Wada-E-Wafa Kabhi Magar
Danista Aitebar Kiye Jarahi Hoon Mein

Ankhoun Ko Ashkbaar Kiye Jarahi Hoon Mein
Usko Mein Bhool Jaoun Ye Mumkin Nahi Magar

Koshish Ye Baar Baar Kiye Jarahi Hoon Mein
Dena Naa Gair Ko Itni Jagah Qareeb Kabhi

Dil Tujhko Baar Baar Hoshiyar Kiye Jarahi Hoon Mein
Ruswa Hui Hoon Aaj Jiske Pyar Me Mein

Isko Bhi Sharmsaar Kiye Jarahi Hoon Mein

**********************************************************

Ghazlon mein tere ishq ka churcha na karen gay
Hum tujh ko yuon sar-e-aam ruswa na karen gay

Kiyon hum peh uthaeen sang-e-malamat ki fasilein
Behtar hai tere shehar mein hum aaya na karen gay

Yeh chaand yeh taary yeh haseen raat ka aalam
Munsoob tere naam se kya kya na karen gay

Wiraan hoey qasr-e-tamana ke dareechy
Aabaad kabhi pyar ki ab duniya na karen gay

Har cheez ki bohtaat mein nuqsaan bohat hai
Shiddat se kisi shakhs ko chaha na karen gay…

**********************************************************

 

**********************************************************

Sadyon Se Ik Sapna Hai,
Kaho Pura Karo Gey Tum?

Bhool Jao Mere Siwa Sub Kuch,
Kaho Aisa Karo Gey Tum?

Nhi Kuch Or Tamana Ab
K Bus Mere Ho Jao Tum

Kbhi Na Chor K Jao Gey,
Kaho Aisa Karo Gey Tum?

Faqt Ik lafz Sunne Ko
Kai Barso se Tarsa Hun

KHIYAL ko APNA BANA LO Tum
Kaho Aisa Karo Gey Tum.

**********************************************************

Be’Rabt Si Tehreer
“ibarat Nahi hoti”
Hathon ki Lakiron main to
“Qismat Nahi hoti”
Sajday main dikhawa ho to
“sajda nahi hota”
Gardan k Jhukanay se
“Ebadat Nahi hoti”
Woh shaks mohabbat se
“Hamesha Raha Mehroom”
Oron k liye jis main
“Mohabbat nahi hoti”
Chehray ka singhar kabhi
“kaam na aaya”
Sirat k bina koi bhi
“Surat Nahi Hoti”
Shahkaar ki takmeel main shamil na ho gr fiker
Tasveer to ban jati hai
“Murat nahi hoti”

**********************************************************

Aaj Dulhan Ke Laal Jode Mein,
Use Uski Saheliyon Ne Sajaya Hoga…

Meri Jaan Ke Gore Haathon per
Sakhiyon Ne Mehndi Ko Lagaya Hoga…

Bahut Gehra Chadega Mehndi Ka Rang,
Us Mehndi Mein Usne Mera Naam Chupaya Hoga…

Reh Reh Ker Ro Padegi
Jab Jab Usko Khayal Mera Aaya Hoga…

Khud Ko Dekhgi Jab Aaine Mein,
To Aks Usko Mera Bhi Nazar Aaya Hoga…

Lag Rahi Hogi Balaa Si Sunder Woh,
Aaj Dekh Ker Usko Chaand Bhi Sharmaya Hoga…

Aaj Meri Jaan Ne
Apne Maa Baap Ki Izzat Ko Bachaya Hoga…

Usne Beti Hone Ka
Doston Aaj Har Farz Nibhaya Hoga…

Majboor Hogi Woh Sabse Jyada,
Sochta Hoon Kis Tarah Usne Khud Ko Samjhaya Hoga…

Apne Haathon Se Usne
Hamare Prem Ke Khaton Ko Jalaya Hoga…

Khud Ko Majboot Bana Ker Usne
Apne Dil Se Meri Yaadon Ko Mitaya Hoga…

Bhooki Hogi Woh Jaanta Hoon Mein,
Kuch Na Us Pagli Ne Mere Bageir Khaya Hoga…

Kaise Sambhala Hoga Khudko
Jab Use Fairon Ke Liye Bulaya Hoga…

Kaampta Hoga Jism Uska,
Haule Se Pandit Ne Haath Uska Kissi Or Ko Pakdaya Hoga…

Mein To Majboor Hoon Pata Hai Use,
Aaj Khud Ko Bhi Bebas Sa Usne Paaya Hoga…

Ro Ro Ke Bura Haal Ho Jaayega Uska,
Jab Waqt Uski Vidayi Ka Aaya Hoga…

Bade Pyaar Se Meri Jaan Ko
Maa Baap Ne Doli Mein Bithaya Hoga…

Ro Padegi Aatma Bhi
Dil Bhi Cheekha or Chilaya Hoga…

Aaj Apne Maa Baap Ke Liye
Usne Gala Apni Khushiyon Ka Dabaya Hoga…

Reh Na Paayegi Juda Hoker Mujhse
Darr Hai Ki Zehar Chupke Se Usne Khaya Hoga…

**********************************************************

Gham-O-Dukh K Ye Ishare Tum Na Samjho Ge,

Jo Din Hum Ne Tumhare Bin Guzare Tum Na Samjho Ge,

Tumhain Kese Bataein Tum Hamare Waste Kiya Ho,

Samandar Ki Kahani Mein Kinare Tum Na Samjho Ge,

Bus Itna Jan Lo Ek Shakhs Se Hum Ne Mohabbat Ki,

Hamare Tootne Ka Kheil Piyare Tum Na Samjho Ge,

Hazaron Mushkilon Se Kheil Kar Bhi Jeetne Wale,

Ye Aakhir Kis Jaga Per Aa K Haaray Tum Na Samjho Ge

**********************************************************

 

Kaun ho tum?
Jo mere dilo-dimag par
Is tarah chh gaye ho

Kaun ho tum
jo is tarah chupke se
Meri zindagi me aa gaye ho

Kabhi door lagte ho , bahut door
Kabhi paas , ek dam paas
Pal men hota hun khush
Pal men udas.

Hari ghas aur hari ho gai hai
Aur neela aasman aur bhi
Neela ho gaya hai
Phir bhi kuchh hai
Jo kho gaya hai.

Kaun ho, tum
jo meri neend udathe ho
tum jo mera chain churate ho

tum jo meri dhadkanon men sama gaye ho
tum jo is tarah chupke se
meri zindagi me aa gaye ho

kaun ho?
Kaun ho tum

*********************************************************

Meharban mujh pe thay halat kabhi youn bhi tha

Hum raha karte thay ik sath kabhi youn bhi tha

Ab to perchaian b uski milne nahih aati,

Roz hoti thi us se mulakat kabi yun be tha

Ab to khushian b juda ghum b hain juda,

Hansty roty thay hum ik sath kabi yun be tha,

Dekhna b jo gawara nahi karta ik pal b mujh ko,

Dekha karta tha din rat meri rah kabi yun be tha,

Ab to rony say b fursat nhi milti mujhko,

Hansta rehta tha main din rat kabi yun b tha!’

*********************************************************

Uljhe Hue Haalat Ka Shikwa Na Kia Kar,
Khairaat Mein Khushiyon Ki Tamanna Na Kia Kar,

So Baar Kaha Itni Mohabat Nahih Achi,
So Baar Kaha Itna Bharosa Na Kia Kar,

Halaat Tujhko Mujhse Na Milney Kabhi Dein Gey,
Ae Dost Merey…Meri Tamanna Na Kia Kar,

Kya Jane Ye Kis Moarr Pe Le Jaye Zamana,
Tu Mujh Ko Kisi Pal Bhi Alehda Na Kia Kar,

Mumkin Hai Kisi Roz Bichar Jaon Achanak,
Tu Mujh Se Pyaar Itna Ziyada Na Kia Kar.

*********************************************************

Gungunatay Hue Anchal Ki Hawa Deh Mujh Ko
Ungliyaan phair Ke BAloon Main Sulla Deh Mujh Ko

Jis Tarah Faltu Guldaan Paray Rehtay Hain
Apne Ghar Ke Kisi Konay Se Lagga Deh Mujh Ko

Yaad Kar Ke Mujhe Takleef He Hoti Hogii
Aik Kissa Hoon Purana Sa Bhulla Deh Mujh Ko

Doobtay Doobtay Awaaz Teri Sunn Jaoon
Akhiri Baar Tu Sahil Se Sadah Deh Mujh Ko

Main Tere Hijr Main Chup Chaap Na Marr Jaoon Kahin
Main Hoon Saktay Main Kabhii Aa Ke Rulla Deh Mujh Ko

Dekh Main Hogaya Badnaam Kitaboon Ki Tarah
Merii Tasheer Na Kar Ab Tu Jalla Deh Mujh Ko

Rhootna Tera Meri Jaan Liye Jata Hai
Aesay Naraaz Na Ho Hans Ke Dekha Deh Mujh Ko

Aur Kuch Bhi Nahi Manga Mere Malik Tujh Se
Us Ki Galiyoon Main Parii Khaak Banaa Deh Mujh Ko

Log Kehtay Hain Ke Yeh Ishq Niggal Jata Hai
Main Bhi Is Ishq Main Aya Hoon,Dua Deh Mujhe Ko

Yahi Okaat Hai Meri Tere Jeevan Mein Ke Main
Koi Kamzoor Sa Lamha Hoon, Bhulla Deh Mujh Ko

*********************************************************

Main sun k uski sub batain,
Faqat itna hi kehta tha,
Khafa hona mana laina,
Yeh sadiyon say riwayat hay,
Gilay shikway karo mujh say,
Tumhain janan ijazat hay,
Magar ik baat meri bhi,
Tum yaad rakh laina,
Kabhi aisa bhi hota hay,
Hawa’ain rukh badalti hain,
Khata’ain ho hi jati hain,
Khafa hona bhi mumkin hay,
Khata hona bhi mumkin hay,
Hamaisha yaad rakhna tum,
Ta’aluq toot janay say,
Kabhi toota nahin kertay…!

*********************************************************

Suno Jana!
Palat Aana!

K Koi Yaad Karta He,
Tumhe Awaz Deta He,

Tumhe Khush Dekhne K Waste

Apne Dil,E,Muztir Ko Jo
Na-Shad Karta He

Tumhari Ik Jhalak K Waste
Galiyo Me,

Raston Me ,
Subho Se Sham,

Din Se Raat Karta He

Jinhe Tum Se Aqeedat He,
Teri Be Los Chahat He,

Tumhe Takne Ki Hasrat He,

JINHE TUM SE MUHABBAT HE,

Unhe Kuch Waqt Dete Hen

So Gar Mumkin Ho Kuch Esa?

To Un Ki Chah Ki Khatir

“SUNO JANA!

PALAT AAnA!

K

“KOI YAAD KARTA HAI”…

*********************************************************

Tere Haath Ki Main Woh Lakeer Ban Jaoon..

Sirf Main Hi Tera Muqadar Teri Taqdeer Ban Jaoon..

Main Tujhe Itna Chahoon K Tu Bhool Jaye Her Rishta..

Sirf Main Hi Tere Her Rishte Ki Tasweer Ban Jaoon..

Tu Ankhain Band Kare To Aaoon Main Hi Nazar..

Is Tarha Main Tere Hr Khuwab Ki Tabeer Banjaon.

*********************************************************

Kiya Yahi Matlab Hota Hai Rishton Ka?
Ek Rishta
Jo Abhi Ban Raha Tha ,
Tootne Laga Magar Banne Se Pehle.

Ek Saahare
Se Uthay The Hum,
Gir Gaye Magar Sambhalne Se Pehle.

Seekhane
Lage The Aap Se Muskurana,
Rula Diya Magar Hansne Se Pehle.

Qadam Jo
Barhaye The Aap Ki Simt,
Ruk Gaye Waheen Chalne Se Pehle.

Maangne Ke
Liye Kuch Jo Jholi Phailaye,
Kheench Liya Haath Kuch Dene Se Pehle.

Humne Jo
Jalaye Umidon Ke Chiragh,
Bujh Gaye Magar Jalne Se Pehle.

Kiya Yahi
Matlab Hota Hai Rishton Ka?
Tootna Hota Hai Inhein Banne Se Pehle.

*********************************************************

*********************************************************

Kuch Tm Ny Himat Hari Thi
Kuch Main Ny Dhooka Khaya Tha

Kuch Mery Thay Hallat Sanam
Kuch Teri Bhi Majboori Thi

Kuch Wakat B Apny Sath Na Tha
Kuch Dunia Waly Zalim Thay

Kuch Tu Ny Mujh Ko Doosh Dia
Kuch Main Bhi Himat Kr Leeta

Kuch Hum Dono Majboor Bhi Thy
Kuch Ik Doojy Sy Door Bhi Thy

*********************************************************

dekho ge humain roz magar bat na hogi
Ek shehr man reh keh be mulaqat na hogi

kehna hai jo keh dalo abi waqt hai baqi
kal hum honge … magar art-e-halat na hogi

jo pochna hai tum ko abi poch lo warna
phir Rasm-e-sawalat na hogi

din itne huwe taweel hijir ke logo
tarpo ge sar-e-sham magar raat na hogi

ye soch kar be dil tarap uthta hai yara
bichren ge is tarah, ke kabi mulaqat na hogi

*********************************************************

Me mar jau to mere Sirhane na bithana us ko,
Boht Tasalli dena boht pyar se Samjhana us ko,

Ghomne ka bahana kar k door Fizao me kahi le jana us ko,
Wo bawafa hy us waqt ye ehsas na dilana us ko,

Us k samny na karna batey aesi k meri yaad ajae,
Meri tafri k mashghale suna suna k hansana us ko,

Wo roye ga boht bilawaje to meri rooh tarap uthegi Yaar,
Dost tm aesa karna meri Mout ka he na batana us ko…….

*********************************************************

Ab tujhy dekhun to mohabat nahi hoti mujhko

zakham khulty hain to aziyat nahi hoti mujh ko

itna badla hun tery sheher ka pani pi kar

jhoot bolun to ndamat nahi hoti mujh ko

ab koi aae chala jae main khush rehta hun

ab kisi shakhs ki adat nahi hoti mujh ko

itna masroof hun jiny ki hawas main Shahid

sans leny ki bhi fursat nai hoti mujh ko

*********************************************************

Naa jaane aaj kya mehsoos kar rahi hoon main
Lag raha hai jaise sare ehsaas mar se gaye hai mere
Jin ehsaaso ko shabdo mein piro kar ek naya roop diya karti thi

Aaj na jane kyun un shabdo se hi chid ho gayi hai mujhe
Itne log hai mere aas paas lekin phir bhi akeli hoon main
Sab kuch paakar bhi jaise kuch adhuri si hoon main
Sapno me is kadar khoi rahi ki sacchai ka pata hi na chal saka

Is tarah achanak sab khatm ho gaya ki ek aansu tak na beh saka
Aaj khush hoon main, muskurati hoon main
Koi dar nahi ki khone ko ab bacha hi kya hai
Sab poochte hai ki itni khush kaise rehti hoon main
Ki nahi jante wo, ab mere paas rone ko bacha hi kya hai….

*********************************************************

Kisi saBaB sy agar bolti nahi h0n MAiN,
To yun nahi k TUJHE sochti nahi h0n MAiN,

MAiN TUM ko khud sy juda kr k kis trha dekh0n,
K MAiN b TUM h0n koi doosri nahi h0n MAiN,

MERE Badan ki har eent main anaa rakhi hai,
MAiN khud Bani nahi Banayi hui h0n MAiN,

MERE wajood k andar MUJHE talash na kya kar,
K is makaan mein kaBi rahi nahi h0n MAiN,

MAiN ik umr sy khud ko talashti h0n magar,
MUJHE yaqeen nahi k h0n Bya nahi h0n MAiN………………

*********************************************************

Buhat Muddat Se Aisa Hai,
K Tum Khamosh Rehtay Ho,

Koi Gehra Hai Ghum Shayad,
Jisay Chup Chap Sehtay Ho,

Yunhi Chaltay Hue Tanha,
Koi Ghamgeen Se Naghma,
Tum Aksar Gungunatay Ho,
Doran-e-Guftago Yunhi,

Milein Nazron Se Jab Nazren,
Toh Baatein Bhool Jatay Ho,
Kisi Gum Sum Si Halat Mein,

Ya Phir Barish K Mousam Mein,
Faqat Itna Hi Kehtay Ho,

Udasi Bewaja Si Hai,
Buhat Bojhal Tabiyat Hai,

Bhala Sach Kyun Nahi Kehtay,
Mujhe Tum Yaad Kartay Hooo…!

**********************************************************

In faslon ki fikr min kiyon karon bhala.
Bht door reh k bhi mere pas he koi.

Is soch min duba he bht der se mera dil.
Kia us k dil min bhi aisa ahsas he koi.

Us ki nazron se he bana meri sanson ka tasalsul.
Is trah meri zindgi ki aas he koi.

Us ka jo pucha he to bas itna jan lo.
Bht khas, bht khas, bht khas he koi.

MOHSIN jo ja rahe ho to use ye bhi kehna.
Us k bina is shehar min udas he koi.

**********************************************************

Badalti Rut Ka “ISHARA” Dekhte Hain
Ab Kaise Hoga “GUZARA” Dekhte Hain

Mohabat Ki Ye Rasm Bhi Ktni Ajeeb Hai
Jaane Wale Palat Kr”DUBARA” Dekhte Hain

K Jaisey Doobne Wale Doobne Se Zra Pehle
Ek Umeed Pr “KINARA” Dekhte Hain

Teri Khudai Se Gila Hone Lagta Hai
Jab Dunya Mein Koe “BE SAHARA” Dekhte Hain

Kya Mohabat Hamein Bhi Raas Aye Gi “WASI”
Aao Apna Apna “SITARA” Dekhte Hain.

**********************************************************

Sadma to hai mujhe bhi ke tujhse judaa hoon mein
Lekin ye sochta hoon, Ke aab tera kyaa hoon mien

Mein Khudkushi ke jurm ka karta hoon aitraaf
Apne Badan ki kabr mein, Kab se Gadhaa hoon mein

Kis kis ka naam laao Zubaan par ke tere saath
Har roz ek shaks naya Dekhta hoon mien

Kyaa jaane kis adaa se liya tu ne mera naam
Duniyaa Samajh rahi hai, ke sab kuch tera hoon mein

Le mere Tajrubo(n) se sabak, aye mere raqeeb
Do-Chaar saal umr mein, Tujhse bada hoon mien

Jagaa huwa zameer woh aiyeena hai “Qateel”
Sone se pehlay roz, jise dekha thoon mein

**********************************************************

**********************************************************

!!Shaam K Saanwly Chehry Ko Nikhara Jaye!!
Kuin Na Saagar Se Koi Chaand Ubhara Jaye,

Raas Aaya Nahi Taskeen Ka Saahil Koi!!
Phir Mujhe Piyas K Darya Me Utara Jaye,

Meharban Teri Nazar,Teri Adaein Qatil!!
Tujhe Kis Naam Se Ae Dost Pukaara Jaye,

Mujh ko Dar Hai Tere Wady Pe Bharosa Kar K!!
Muft Me Ye Dil-e-Khush Fehem Na Maara Jaye

Jis K Dam Se Mere Din Raat Darakhshan The Qateel!
! Kaise Ab Us K Bina Waqt Guzara Jaye.

**********************************************************

 

**********************************************************

Hijar Mein Khoon Rulatay Ho,Kahan Hotay Ho?
Laut Kar Kiun Nahi Aatay Ho,Kahan Hotay Ho?

Mujh Se Bichray Ho To Mehboob e Nazar Ho Kis k?
Aaj Kal Kis Ko Manaty Ho,Kahan Hotay Ho?

Yaad Aati Hain Akaily Mein Tumhari Neendein
Kis Tarah Khud Ko Sulaty Ho,Kahan Hotay Ho?

Tum To Bichray Thy Khushion Ki Rafaqat k Liye
Ab Kiun Ashk Bahaty Ho,Kahan Hotay Ho?

Shehar k Log b Kartay Hain Ab Yehi Sawal
Bohat Kam Nazar Aatay Ho,Kahan Hotay Ho…???

**********************************************************

Ik Ishq Nager Ki Wadi Thi
Jahan Pyar Ki Nadiya Behti Thi

Kuch Dil Waley Bhi Rehtey They
Jo Pyar Ki Baatein Kertey They

Jab Bahar Ka Mousam Aata Tha
Aur Phool Pyar K Khiltey They

Mast Nasheeli Shamon Mein
Pyar Se Do Dil Miltey They

Ik Roz Woh Basti Ujer Gai
Aur Pyar Ki Hasti Bikher Gai

Phir Her Ik Dil Ko Sog Laga
Aur Jeevan Bhar Ka Rog Laga

Deewaney Phirtey Rehtey Hein
Aur Her Ik Se Woh Kehtey Hein

Iqrar Kisi Se Na Kerna
Pyar Kisi Se Na Kerna.

**********************************************************

Wo anna parast sahi us ki baton mein iqrar bhi tha.
Us k chubtay hue lehjay mein chupa pyar bhi tha.

Wo mujhy likhta ha k muntazir na raho lakin.
Us ki tahreer mein sadion ka intzaar bhi tha.

Wo kehta ha mat rutho k mananaa nahi aata.
Meri narazgi pe lakin wo bekarar bhi tha.

Main shayad phir na likhta usy apni khabar.
Dosti ka bharam rakhna tha kuch dil be_ikhtiar bhi tha.

Shayad yehi us ka anadaz-e-mohabat ho.
Wo mera hum dam bhi tha sitam shuaar bhi tha

**********************************************************

Mere Zakhmo Ko Aapka Dukhana Acha Laga,
Meri Halat Pe Aapka Muskurana Acha Laga,

Me To Talib Tha Aap k Pyar Ka,
Aapka Nafrat Se Nigahen Churana Acha Laga,

Laga K Aag Mere Aashyane Ko,
Phir Aapka Khushian Manana Acha Laga,

Dil Me Thi Hasrat Aap K Deedar Ki,
Saamne Aakar Chehra Chupana Acha Laga,

Dil K Mere Darwaze Pe Di Dastak,
Phir Khud Hi Aapka Pathar Barsana Acha Laga,

Bana Kar Mujhko Apna Dewana Phir,
Aap Ka Khud Hi Thokar Lagana Acha Laga . . .

**********************************************************

Mene Haq-e-Mohabat ada kiya,
Na kabi kisi se Gila kiya,

Mujhe ajab iska Sila mila,
Mujhe DIL se us ne bhula diya,

Muhabton ki Kitab ka,
Her ek varq jala diya,

Wo jo arzo ka Chiraagh tha,
Usay Nafraton ne bujha diya,

Mujhe Zakhm phir ek Naya diya,
Mujhe is MUHABAT ne kya diya?..

Wo jo kehta tha Khush Raho,
Wo jo kehta tha meri JAAN ho TUM,

Har Lamha Hansa karo,
Mujhey Aaj us ne Rula diya..

Mujhey aj us ne Bhula diya

**********************************************************

**********************************************************

Ghar se yeh soch k nikla hon k Mar jana hai
Ab koi Raah dikha de k kidhar jana hai

Jism se sath nibhane ki mat umeed rakho
Is musafir ko to Rastay mein theher jana hai

Mout lamhay ki sada Zindagi umron ki pukar
Mei yehi soch k zinda hon k Mar jana hai

Nasha aesa tha k Maikhanay ko duniya samjha
Hosh aaya to khayal aaya k ghar jana hai

Mere jazbay ki bari qadar hai logon mei magar
Mere jazbay ko mere sath he mar jana hai…….

**********************************************************

Tumharey Rah badalney ki baat kis sey karun
MAin apney KHaab bhikharney ki baat kis sey karun

Abhi woh jaan-e-Ghazal duor hai nighahoon sey
Abhi main Jaan sey Guzarney ki baatv kis sey karun

ABhi toh hijr ki tareekiyan hain dono tafar
Abhi main Chaand Nikalney ki baat kis sey karun ?

Abhi toh ghammoon sey Nidhaal hain sabhi
Abi main tery Bicharneyki baat kis sey karun ?

Meri Judaii ki ghaam mein koi bhi nehi suunta
Tumharey Baad sulaghney ki baat kis sey karun ?

Kisey baataun k tujhy kahaan kahaan nehi dhunda
Nagar nagar mein bhatakney ki baat kis sey karun ?

TEri talab mein yeh beichaain ab bhi rehta hai
Main apney dil k machalney ki baat kis sey karun??!!!!!

**********************************************************

Na koi khawab na koi saheli thi
us mohabbat mein main akeli thi

ishq main tum kahaan kay sachay the
jo aziyat thi woh hum ne jheeli thi

yaad ab kuch nahiin raha laiken
ik dariya tha ya haveli thi

jis nay uljha kay rakh diya dil ko
woh mohaabbat thi ya paheli thi

mein zara si bhi kam wafa karti
tum ne tu meri jan le li thi

waqt kay sanp kha gaaye usko
meray aangan main ik chanbeli thi

us shab-e-ghum main kis ko batlaon
kitni roshan meri hatheli thi

**********************************************************

Tere Siva

Nahin Aur Kuch Bhi Tere Siva?!!!
Mere Dosti
Meri Zindagi
Meri Khamoshi
Meri Be-Basi
Mera Alam Bhi
Mera Naam Bhi
K Meri Subah
K Mere Sham Bhi
Wo Sabhi Kuch Tujhe Atta Kare
Mere Jaan To Yaqeen To Kar
Mujhe Mangana Tuna Aa Saka
Main Ne Phir Bhi Mangi Yehi Dua
K Gawahi De Ga Mera Khuda
Maine Jub Bhi Us Se Talab Kiya
Nahi Manga Kuch Bhi

Tere Siva .. Tere Siva !!

**********************************************************

Aye Dost Tu Itna Badkalam Na Ho
Ki Kabhi Karib Se Gujrae To Dua-Salam Na Ho

Dil Mai Haazaar Gila Shikva Ho Magar Yeh Nahi Mumkin
Tum Aao Mere Ghar Mein Aur Ahitram Na Ho

Haazaar Dusmani Ho Tumse,Magar Khuda Karen
Dil Mein Kabhi Ahsaas-E Intekam Na Ho

**********************************************************

Bhulanay se jo bhuly na wo kahani chor jaoungi
teri ankhoon me pani ki aisy nami chor jaoungi

lipat kar dair tak dar-o-dewar roye gy
main aisi sog me lipti jwani chor jaoungi

mitao gy kahan thak tum meri batan meri yadan
main har ik mor per apni nishani chor jaoungi

mera ya lafz mujha mar kay bhi marna nahi dain gay
main chup ho kay bhi lehje ki rawani chor jaoun gi

kuch is tarhan se niklon gi is dunya ko thukra kar
main dushman kay bhi chehry par herani chor jaoungi …!!!

**********************************************************

?Kiun Rakhoon Main Apne Qalam Main Sayahi?!?
?Jab Koi Armaan Dil Main Machalta Hi Nahi?!?

?Na_Jane Kiun Sabhi Shak Karte Hain Mujh Par?!?
?Jab Sookha Gulab Meri Kitaabon Main Milta Hi Nahi?!?

?Kashish To Bohat Thi Mere Pyaar Main?!?
?Magar Kya Karoon Koi Pathar Dil Pighalta Hi Nahi.!

Agar Khuda Mile To Us Se Apna Pyaar Mangoon Ga.!
?Par Suna Hai Wo Marne Se Pehle Kisi Se Milta Nahi?

**********************************************************

Zindagi ka
sochta hoon na zamaney ka
sochta hoon,

Main to bas
usey apna
bananey ka
sochta hoon,

Us key rooth janey key andaz ki qasam,

Woh rooth jaey to mananey ka
sochta hoon,

Us ney na ki wafa to koi gila nahin,

Main us sey wafaen nibhaney ka sochta hoon,

Woh mujhe rulaey to koi baat nahin,

Main ro kar bhi usey hansaney ka sochta hn…!!!

**********************************************************

Log Mujh Se MiL Kr Bichar Jatey Han_

Is Liye Me Logon Se Door Rehta Hon_

Mat Samjho K Aatay Nhi Adab_E_MuLaqat Mujhey_

KhuLoos Ka Banda Hon Aadat Se Majboor Rehta Hon_

Jin Se Barha Mera Rabta Ghum Hi MiLa_

Ab Raabtay Nhi Barhata Boht Masroor Rehta Hon_

Log Mujhey Kehtay Han Be’Murawat Aur Khud Gharz_

Dekho Me Kitnay Achay Namon Se Mashoor Rehta Hon_

Hr Waqt Khoya Rehta Hon Khud Ki TaLash Me_

Boht Thak Gaya Hon Ghamon Se Choor Rehta Hon…!

**********************************************************

Most TOUCHING LINES
By A Boy Whoz Beloved Was Marrying Sum1 Else…

Aaj Dulhan K Laal Jode Me Use Uski Shaliyon Ne Sajaya Hoga
Meri Jaan K Gore Haathon Ko Mehndi Se Sajaya Hoga

Bahut Gehre Chadha Hoga Mehndi Ka Rang
Us Mehndi Me Usne Mera Naam Chhupaya Hoga

Rah Rah K Ro Padi Hogi,,,Jb Usko Mera Khayal Aaya Hoga
Khud Ko Dekha Hoga Jb Aaine Me To Akks Mera Bhi Nazar Aaya Hoga

Bahut Pyaari Lg Rahi Hogi Wo,,Aaj
Dekh Kr Usko Chand B Sharmaya Hoga

Aaj Meri Jaan Ne Apne Maa Baap Ki Izzat Ko Bachaya Hoga
Usne Beti Hone Ka Har Farz Nibhaya Hoga

Sochta Hu Kis Tarah Usne Khud Ko Samjhaya Hoga
Apne Hathon Se Hamare Khaton Ko Jalaya Hoga

Khud Ko Mazbut Banakar Meri Yado Ko Mitaya Hoga
Bhukhi Hogi Wo Jaanta Hu Main,,Mere Bina Usne Kuch Na Khaya Hoga..

**********************************************************

**********************************************************

Kuch Tm Ny Himat Hari Thi
Kuch Main Ny Dhooka Khaya Tha

Kuch Mery Thay Hallat Sanam
Kuch Teri Bhi Majboori Thi

Kuch Wakat B Apny Sath Na Tha
Kuch Dunia Waly Zalim Thay

Kuch Tu Ny Mujh Ko Doosh Dia
Kuch Main Bhi Himat Kr Leeta

Kuch Hum Dono Majboor Bhi Thy
Kuch Ik Doojy Sy Door Bhi Thy

**********************************************************

Tumse Pyaar Na Karma Meri
Majboori Hai
Apni Zindgi Mein Jagah Na Dena
Meri Majboori Hai

Khud Ko Apne Aapme Chuppakar
Rakhna Meri Majboori Hai

Ankhon Mein Ansooyon Ka Sailab Hai
Hoot.On Par Fir Bhi Muskarahat Lana
Meri Majboori Hai

Apni Tadap Tum Par Naa Khul Gaye.
Tumse Door Jana Meri Majboori Hai

Meri Inn Majbooriyon Ko Tum Par
Zahir Na Karma Bhi Meri Majboori Hai.

**********************************************************

Dekha palat k us ne k hasrat usay bi thi
Hum jis par mar mitey thay muhabat usay bi thi.!
Chup ho gaya tha dekh kar wo bi idher udher
Duniya se meri tarah shikayat usay bi thi
Ye soch kar andheray me galay se laga liya

Raaton ko jaagnay ki to aadat usay bi thi
Wo ro dia tha mujh ko pareshan dekh kar
Us din khul k meri zarorat usay bi thi
Un pathron k saath nibhaani pari usay
Jin se faqat mujhy nahi nafrat usay bi thi..?

**********************************************************

Mohabat ki kahani mein koi tarmeem mat karna,
Mujhy tum tor dena per mujhy taqseem mat karna,
Bohat hongey humare baad
dawa-e-mohabat karne wale !!

Yaad-e-wafa rakhna kisi ko tasleem mat karna,
Agar lafzon me nazar aye kabhi chehra mera !
Chopke se choo lena…
Choom lena…
toheen mat karna..

**********************************************************

“Mujhe wo lakh tarpaye magar us shaks ki khatir”
Mere dil k andheron me duain raks karti hain”

“Usay kehna k lot aaye sulgti shaam se pehlay”
“Kisi ki khushk ankhon me sadain raks karti hain”

“Khuda janay kesi kashish he uski yaadon me”
“Mein uska zikar cheron to hawain raks karti hain.

**********************************************************

Abi to main tmhre liye kuch nahi,
Ye din guzr jaen ge,
Ye musam Badal jaen ge,
Waqt to guzar hi jata hai,
Tmhra b mera B,
Lekin…
1 din kisi lamhe tmhe meri yaad aaye gi,
To Tum Be-ikhtiyar muskura do ge,
Log pochain ge kya howa,
Aur
Tum kaho ge,

koi tha jo hum ko boht chahta tha

**********************************************************

sitara hamari kismat ka us say mila hi nahi
wo kese hota hamara
aisa kabi hva hi nahi
hmne apni hr khushi dusron me bant di

ksi ne hme kya dya
ye kbi socha hi nhi

bato baton m mhbt is qadar brh gyi
use ab bhool jaen kese itna hosla hi nhi
hr ksi ne hume matlab tak pyar kya
koi hamsafar ban kar sath chala hi nhi
hr koi mri chahat ko mazaq smjta rha
dil m he dard ktna koi smja hi nhi

**********************************************************

Har Ek Chehrey Ko ZaKhmon Ka Aaina Na Kaho
Ye Zindagi Tou Hai Rahmat Isey Saza Na Kaho

Na Jaaney Kaun Si Majbooriyon Ka Qaidi Ho
Wo Saath Chorr Gaya Hai Tou Bevafa Na Kaho

Tamaam Shaher Ney Naizon Pey Kyun Uchaala Mujhey
Ye Ittefaaq Thaa Tum Is Ko Haadisaa Na Kaho

Ye Aur Baat Ke Dushman Huwa Hai Aaj Magar
Mera Dost Thaa Kal Tak,Usey Buraa Na Kaho

Humarey Haib Humein Ungliyon Pey Ginvaao
Humaari Peetth Ke peechey Humein Buraa Na Kaho

**********************************************************

ashk aankhon main chupatay huay thak jata hun

bojh pani ka uthatay huay thak jata hun

tm jo ik pal main uthatay ho chlay jatay ho

main wo dewaar giratay huay thak jata hun

paon rakhtay hain jo mujh pr unhain ehsas nahin

main nishanaat mitatay huay thak jata hun

barf esi k pighlti nahin pani bn kr

pyaas esi k bujhatay huay thak jata hun

achi lagti nahin is drja shanasai bhi

hath haton se milatay huay thak jata hun

ghamgusaari bhi ajab kar e mushaqqat ha k main

ronay walon ko hansatay huay thak jata hun

itni qabrain na bnao meray andr shahid

main charaghon ko jalatay huay thak jata hun

**********************************************************

dar pardah jafaon ko agar jaan gaye hum
tum yeh na samajhna k bura maan gaye hum

palkon pe laraztay huwe taray se yeh aansoo
aye husn e pashemaan tere qurbaan gaye hum

hum aur tere husn e tughaful se bigarte
jab tu na kaha maan gaye, maan gaye hum

badla hai magar bhais gham e ishq ka tu ne
bus aye gham e dauraan tujhe pehchaan gaye hum

hai saif bus itna hi to afsana e hasti
aaye thay pareshaan , pareshaan gaye hum

**********************************************************

**********************************************************

”YAADON” ko bhulane main kuch dair to lagti hai,
”ANKHON” ko sulany main kuch dair to lagti hai,
Kisi ”SHAKHS” ko bhula dena itna aasan nahi hota,
”DIL” ko samjhany main kuch dair to lagti hai,
Bhari ”MHAFIL” main jab koi achanak yaad aa jay,
Phir ”ASHAQ” chupany main kuch dair to lagti hai,
Jo shakhs ”JAAN” se b pyara ho achanak door ho jay,
Dil ko ”YAQEEN” dilany main kuch dair to lagti hai….!

**********************************************************

WO NAHI MERA MAGAR USSE MOHABAT HAI TO HAI
YEH AGAR RASMO RIVAZO SE BAGAWAT HAI TO HAI
SACH KO MAINE SACH KAHA JAB KEH DIYA TO KEH DIYA
AB ZAMANE KI NAZAR MEIN YE HIMAKAT HAI TO HAI.
DOST BAN KAR DUSHMANO SA VO SATATA HAI MUJHE
FIR BHI US ZAMLIM PE MARNA APNI FITRAT HAI TO HAI
KAB KAHA MAINE KE WO MIL JAYE MUJHKO USKI BAHON
MAY DUM NIKLAY ITNI HASRAT HAI TO HAI
SAATH HAI TO ZINDA HU,
MERI SAASO KO USKI ZAROORAT HAI TO HAI

**********************************************************

Saza pe chorr diya Jaza pe chorr diya
Her ik kaam hum ne KHUDA pe chorr diya

Wo hum ko yaad rakhta ya phir bhula daita
Ussi ka kaam tha uss ki raza pe chorr diya

Ab uss ki merzi bujha de ya phir jala rakhay
Charagh hum ne jala k hawa pe chorr diya

Ab uss se baat bhi kertay to kiss tarha kertay
Ye masla ANA ka tha ANA pe chorr diya

Issi liye to wo kehtay hain BE-WAFA hum ko
K hum ne sara zamana WAFA pe chorr diya

**************************

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: