Me Lab Kusha Nahi Hun Aur Mahwe Iitijaa Hun
Main Lab Kusha Nahi Hoon Aur Mehewe Ilteja Hoon
Main Mehfil E Haram Ke Adaab Janta Hoon
Koi Tou Ankh Wala Guzre Ga Is Taraf Se
Taiba Ke Rastay Mein, Main Muntazir Khara Hoon
Yeh Roshni Se Kiya Hai Khusboo Kahan Se Aye
Shayad Mein Chalte Chalte Rozay Pe Agiya Hoon
Aisa Koi Musafir Shayad Kahien Na Ho Ga
Dekhay Baghair Apni Manzil Se Ashnaa Hoon
Taiba Ke Sab Gadahgar Pechantay Hain Mujh Ko
Mujh Ko Khabar Nahi Thi Main Kadar Bara Hoon
Jo Kuch Bhi Mangna Hai Us Dar Pe Ja Ker Mango
Wo Dar Bht Bara Hai Jis Dar Ka Mein Ghada Hai
Sad Shuker Ek Tasalsul Qaim Hai Zindaghi Mein
Ek Naat Keh Chuka Hoon Ek Naat Keh Raha Hoon
Iqbaal Mujh Ko Ab Bhi Mehsoos Ho Rha Hai
Ke Rozay Ke Samne Hoon Aur Naat Parh Raha Hoon
Main Lab Kusha Nahi Hoon Aur Mehewe Ilteja Hoon
Main Mehfil E Haram Ke Adaab Janta Hoon