Haider Ka Gharana Karbal Mein Kya Zulm Anokhe Sehta Hai Lyrics
हैदर का घराना कर्बल में क्या ज़ुल्म अनोखे सहता है / Haider Ka Gharana Karbal Mein Kya Zulm Anokhe Sehta Hai
हैदर का घराना कर्बल में क्या ज़ुल्म अनोखे सहता है
प्यासे हैं मुहम्मद के प्यारे और सामने दरिया बहता है
दिल डूब गया है बानो का और ख़ून का दरिया बहता है
जिस झूले में असग़र सोते थे, दो दिन से वो ख़ाली रहता है
ज़ैनब की नज़र है चौखट पर और कान लगे हैं आहट पर
जब कोई दुलारा बाहर हो तो माँ को खटका रहता है
ऐ कूफ़ियो ! क्या पाया तुम ने, उन पर ही सितम ढाया तुम ने
जिस घर का हर बच्चा बच्चा सरकार से निस्बत रखता है
ऐ शिम्र-ए-लईं ज़ालिम ! तू ने, क्या शाही गला काटा तू ने
बह जाते हैं आँखों से आँसू वो मंज़र सामने आता है
सज्जाद ! शहीदों का ग़म है, जितना ही लिखो उतना कम है
हर साल मुहर्रम में घर घर शब्बीर का चर्चा होता है
शायर:
सज्जाद निज़ामी
ना’त-ख़्वाँ:
सज्जाद निज़ामी
haidar ka gharaana karbal me.n kya zulm anokhe sehta hai
pyaase hai.n muhammad ke pyaare aur saamne dariya behta hai
dil Doob gaya hai baano ka aur KHoon ka dariya behta hai
jis jhoole me.n asGar sote the, do din se wo KHaali rehta hai
zainab ki nazar hai chaukhaT par aur kaan lage hai.n aahaT par
jab koi dulaara baahar ho to maa.n ko khaTka rehta hai
ai koofiyo ! kya paaya tum ne, un par hi sitam Dhaaya tum ne
jis ghar ka har bachcha bachcha sarkaar se nisbat rakhta hai
ai shimr-e-laee.n zaalim ! tu ne, kya shaahi gala kaaTa tu ne
beh jaate hai.n aankho.n se aansu wo manzar saamne aata hai
Sajjaad ! shaheedo.n ka Gam hai, jitna hi likho utna kam hai
har saal muharram me.n ghar ghar shabbir ka charcha hota hai
Poet:
Sajjad Nizami
Naat-Khwaan:
Sajjad Nizami