rakhshinda tere husn se rukhsar e yaqeen hai lyrics
rakhshinda tere husn se rukhsar e yaqeen hai
taabinda tere ishq se imaan ki jabeen hai
chamka hai teri daat se insaan ka muqaddar
tu khaliq e konain ka rakhshinda nabi hai
chamki thi kabhi jo tere nakshe paa se
ab tak wo zameen chaand sitaaron ki zameen hai
jis mein ho tera zikr wohi bazm hai rangeen
jis mein ho tera naam wohi baat haseen hai
ankhon mein hai us khulq e mujassam ka tasawwur
jiska koi na ho ghamkhwar zamaane bhar mein
aise nadaan ko seene se lagaane wale wo hain
gham ke maare hue mayoos khatakaron ka
apna daaman e sawayat mein chhupaane waale
ankhon mein hai us khulq e mujassam ka tasawwur
jis khuld e masarrat meri nazron pe kari hai