Shab e Barat Namaz | Shab e Barat Ki Ibadat Ka Tarika

Shab E Barat Ki Ibadat Ka Tarika 

  

Shab E Barat Ki Ibadat Ka Tarika Mukammal Yahan Dekhiye. Shab E Barat Ki Nafil Namaz Ka Tarika Aur Har Nifl Mein Kya-kya Kitna Padha Jata Hai. Har Ek Jankari Parhiye. Shab-e-barat Ki Fazilat Uthayein. Ise Shab Qadr Bhi Kaha Jata Hai Aur Shaban Ki 15vi Raat Bhi. Shab-e-barat Ko Ibadat Karne Ka Sahi TarIqa Aur Sath Nawafil Parhne Ka Tariqa Zarur Dekhiye. 

 

Shab E Barat Ki Ibadat Ka Tarika 
Shab E Barat Ki Ibadat Ka Tarika

Shab E Barat Ki Ibadat Ka Tarika-nafil Namaz Ka Tarika In Hindi 

 

  

  • Dua Nisf Shaban 
  • दुआ निस्फ़ शाबान 
  • Shab E Barat Ki Ibadat Ka Tareeqa In Roman English 
  • Shaban Ul Mubarak Ki Pahli Shab Ki Ibadat

 

 

Maah E Shaban Ki Pahli Shab Isha Ki Namaz Ke Bad 12 Rak’at Namaz 6 Salam Ke Sath Parhiye. 

Har Rak’at Me Surah Fatiha Ke Bad Surah Ikhlas Pandra (15) Bar Parhiye. Salam Pherne Ke Bad Sattar (70) Bar Durood-e-pak Parhiye. Phir ALLAH Ta’ala Se Apne Tamam Gunaho Ki Muafi Mangiye. Insha ALLAH, Is Namaz Ki Barkat Se ALLAH Ta’ala Gunho Ki Bakhshish Farmayega Aur Jannat Me Dakhila Ata Karega.

 

 

Shaban Ul Mubarak Ke Pahle Juma Ki Ibadat 

 

 

Shaban Ul Mubarak Ke Pahle Juma Ki Shab Isha Ki Namaz Ke Bad 8 Rak’at Namaz Ek Salam Ke Sath Parhiye. Har Rak’at Me Surah Fatiha Ke Bad Surah Ikhlas Gayara (11) Bar Parhiye. Aur Iska Savab Khatoon E Jannat Hazrat Fatima Radiallahu Anha Ko Bakhshiye. 

Khatoon E Jannat Farmati Hain Ke Main Hargiz Bahisht Me Qadam Na Rakhungi, Jab Tak Ke Is Namaz Ke Parhne Wale Ko Apne Hamrah Dakhil E Bahisht Na Kar Lun. Yahan shab E Barat Prayers dekhiye! 

Shaban Ul Mubarak Ke Pahle Juma Isha Ki Namaz Ke Bad 4 Rak’at Nifl Namaz Ek Salam Ke Sath Parhiye. Har Rak’at Me Surah Fatiha Ke Bad Surah Ikhlas Teen (3) Bar Parhiye. Is Namaz Ki Bohat Fazilat Hai. Ye Namaz Parhne Wale Ko ALLAH Ta’ala Ki Taraf Se Umrah Ka Savab Ata Hoga. 

Shaban Ul Mubarak Ke Pahle Juma Ki Raat Maghrib Ki Namaz Ke Bad Aur Isha Ki Namaz Se Pahle 2 Rak’at Nifl Namaz Ada Kijiye. Har Rak’at Me Surah Fatiha Ke Bad Ayatul Kursi Ek (1) Bar, Surah Ikhlas Das (10) Bar, Surah Falaq Ek (1) Bar, Surah Naas Ek (1) Bar Parhiye. Ye Namaz Taraqqi E Imaan Ke Liye Bohat Afzal Hai. Yahan what Is Ramadan-ramzan Duas-guidelines, Tips & Suggestions dekhiye! 

 

 

14 Shaban Ul Mubarak Ki Ibadat 

 

 

14 Shaban Ko Maghrib Ki Namaz Ke Bad 2 Rak’at Nifl Namaz Ada Kijiye. Har Rak’at Me Surah Fatiha Ke Bad Surah Hashr Ki Aakhri Teen (3) Ayaat 1-1 Bar Aur Surah Ikhlas Teen (3) Bar Parhiye. 

Gunaho Ki Muafi Ke Liye Ye Namaz Bohat Afzal Hai. 

 

  

Shab-e-qadr- Laylatul Qadr Mein Parhne Ki Dua In Hindi Roman English & Urdu 

 

 

Shaban Ki 15vi Shab Yani March 7, 2023 Ki Raat 

Aaj March 7, 2023 Ki Raat Shaban Ul Mubarak Ki Raat Hai. Jis Me Ibadat Karne Ki Bohat Fazilat Payi Jati Hai. 

Rasul Akram Sallallahu ‘Alayhe Wasallam Ka Irshad E Mubarak Hai. 

“Maah E Shaban Ul Mu’azzam Bohat Hi Burgazeeda Mahina Hai. Aur ALLAH Ta’ala Is Maah E Mubarak Ki Ibadat Ka Behad Savab Ata Farmata Hai.” 

Aaj Main Aap Sab Ki Khidmat Me 15 Shaban Ul Mubarak Ke Khas Wazaif Le Kar Aaya Hun. Jo Ke Bohat Hi Mujarrab O Afzal Hain.

Inki Barkat Se Aapki Jo Hajat Ya Dili Tamanna Hogi, Puri Ho Jayegi. Jo Bhi Koi Pareshani Hogi, Rafa Ho Jayegi. Rizq Me Be Panah Izafa Hoga. Lambi Sehatmand Zindagi Naseeb Hogi. Gunahon Ki Bakhshish Hogi. Bohat Ajar O Savab Hasil Hoga, Insha ALLAH.

Yahan safar Ki Dua In Hindi Urdu Arabic English-images dekhiye! 

Aan-hazrat Sallallahu ‘Alayhe Wasallam Ka Irshad E Mubarak Hai, 

“15 Shaban Ul Mubarak Ko ALLAH Ta’ala Apne Bando Ke Liye Apni Rahmat Ke Beshumar Darwaze Khol Deta Hai Aur Farmata Hai Ke Kon Hai Jo Aajki Raat Mujhse Bakhshish Talab Kare Aur Main Usko Azab E Dozakh Se Nijat De Kar Uski Maghfirat Karun.” 

Aur Farmaya, 

“Is Shab Ki Ibadat Karne Wale Par ALLAH Ta’ala Dozakh Ki Aag Haram Kar Deta Hai.” 

  

 

Shab E Barat Ki Ibadat, Nawafil O Wazaif Parhne Ka Tareeqa In Roman English 

 

 

15vi Shab Me Parhe Jane Wale Mujarrab O Mufid Nawafil O Wazaif Darj Zail Hain. 

15vi Shab Ko Maghrib Ki Namaz Ke Bad 6 Rak’at Nifl Namaz 2-2 Rak’at Parhiye. Sab Se Pahle 2 Rak’at Nifl Namaz Darazi E Umr Bil-khair (Lambi Aur Sehatmand Zindagi) Ki Niyyat Se Parhiye. 

Salam Pherne Ke Bad Surah Yaseen Ek (1) Bar, Surah Ikhlas Ikkees (21) Bar Aur Dua Nisf Shaban Ul Mubarak Ek (1) Bar Parhiye. Ye Dua Aap Aage Image Me Dekh Sakte Hain. 

Phir 2 Rak’at Nifl Namaz Daf’a E Bala (Har Bala Se Hifazat) Ki Niyyat Se Parhiye. Salam Pherne Ke Bad Surah Yaseen Ek (1) Bar, Surah Ikhlas Ikkees (21) Bar Aur Dua Nisf Shaban Ul Mubarak Ek (1) Bar Parhiye. 

Aakhri 2 Rak’at Nifl Namaz Makhlooq Ka Mohtaj Na Hone Ki Niyyat Se Parhiye. Salam Pherne Ke Bad Surah Yaseen Ek (1) Bar, Surah Ikhlas Ikkees (21) Bar Aur Dua Nisf Shaban Ul Mubarak Ek (1) Bar Parhiye. Yahan dua For Exam-imtihan Mein Kamyabi Ka Wazifa dekhiye! 

15vi Shab Ko Ghusal Kar Lijiye. Agar Aapko Ghusal Karne Me Koi Diqqat Ya Pareshani Hai. To Aap Paaki Ki Halat Me Wuzu Bana Kar Bhi Ye Nifl Ada Kar Sakte Hain. Wuzu Banane Ke Fauran Bad 2 Rak’at Tahiyyatul Wuzu Ada Kijiye. 

Tahiyyatul Wuzu Me Aap Wuzu Banane Ke Fauran Bad 2 Rak’at Nifl Namaz Ada Karenge. Jiski Niyyat Aap Yahi Karenge, 2 Rak’at Tahiyyatul Wuzu. Tahiyyatul Wuzu Ki Namaz Me Dono Rak’at Me Surah Fatiha Ke Bad Ayatul Kursi Ek (1) Bar Aur Surah Ikhlas Teen (3) Bar Parhiye. Ye Namaz Bohat Hi Afzal Hai. 

15vi Shab Ko 2 Rak’at Nifl Namaz Ada Kijiye. Har Rak’at Me Surah Fatiha Ke Bad Ayatul Kursi Ek (1) Bar Aur Surah Ikhlas Pandra (15) Bar Parhiye. Salam Pherne Ke Bad Sau (100) Bar Koi Si Bhi Durood-e-pak Parhiye. 

Phir ALLAH Ta’ala Ki Bargah Me Apne Rizq Ki Kushadgi Aur Kashaish Ke Liye Dil Se Dua Kijiye. 

ALLAH Ta’ala Is Namaz Ki Barkat Se Aapke Rizq Me Be Panah Barkat Aur Kushadgi Ata Farmayega, Aameen. 

15vin Shab Ko 8 Rak’at Namaz 4 Salam Se Parhiye. Yani 4-4 Rak’at Parhiye. Har Rak’at Me Surah Fatiha Ke Bad Surah Qadr Ek (1) Bar Aur Surah Ikhlas Pachis (25) Bar Parhiye. Yahan dua E Masura In Namaz-arabic Urdu Hindi English Translations dekhiye! 

Parhne Ke Bad ALLAH Ta’ala Se Apne Gunaho Ki Bakhshish Ki Dua Kijiye. Apni Maghfirat Ki Iltija Kijiye. Ye Namaz Maghfirat Ke Liye Bohat Hi Afzal Hai. Insha ALLAH, ALLAH Ta’ala Aapke Gunaho Ki Bakhshish Farmayega, Aameen. 

8 Rak’at Namaz 2 Salam Se Parhiye. Yani 4-4 Rak’at Parhiye. Har Rak’at Me Surah Fatiha Ke Bad Surah Ikhlas Das (10) Bar Parhiye. ALLAH Ta’ala Is Namaz Ke Parhne Wale Ke Liye Beshumar Farishte Muqarrar Karega. Jo Usay Azab E Qabr Se Nijat Ki Aur Dakhil E Bahisht Hone Ki Khushkhabri Denge. Yahan roza Kholne Ki Dua-dua For Breaking Fast dekhiye! 

14 Rak’at Namaz 7 Salam Ke Sath Parhiye. Yani 2-2 Rak’at Parhiye. Har Rak’at Me Surah Fatiha Ke Bad Surah Kafiroon, Surah Ikhlas, Surah Falaq, Surah Naas, Ye Tamam Suratein 1-1 Bar Parhiye. Salam Pherne Ke Bad Ayatul Kursi Ek (1) Bar Parhiye. 

Phir Surah Tauba Ki Aakhri Ayaat Ek (1) Bar Parhiye. 

لَقَدْ جَاءَكُمْ رَسُولٌ مِّنْ أَنفُسِكُمْ عَزِيزٌ عَلَيْهِ مَا عَنِتُّمْ حَرِيصٌ عَلَيْكُم بِالْمُؤْمِنِينَ رَءُوفٌ رَّحِيمٌ 

فَإِن تَوَلَّوْا فَقُلْ حَسْبِيَ اللَّهُ لَا إِلَـٰهَ إِلَّا هُوَ ۖ عَلَيْهِ تَوَكَّلْتُ ۖ وَهُوَ رَبُّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ 

Tamam Rak’at Mukammal Karne Ke Bad Apni Dili Hajat Ke Liye Dua Kijiye. Ye Namaz Qubooliyat E Dua Ke Liye Bohat Afzal Hai. Chahe Wo Dua Duniyawi Ho Ya Deeni Ho. Insha ALLAH, Lazman Puri Hogi, Aameen. 

15 Shaban Ul Mubarak Ke Din Zohar Ki Namaz Ke Bad 4 Rak’at Nifl Namaz 2 Salam Ke Sath Parhiye. Pahli Rak’at Me Surah Fatiha Ke Bad Surah Zilzaal Ek (1) Bar Aur Surah Ikhlas Das (10) Bar Parhiye. 

Dusri Rak’at Me Surah Fatiha Ke Bad Surah At-takasur Ek (1) Bar Aur Surah Ikhlas Das (10) Bar Parhiye. 

Teesri Rak’at Me Surah Fatiha Ke Bad Surah Kafiroon Teen (3) Bar Aur Surah Ikhlas Das (10) Bar Parhiye. Teesri Rak’at Me Surah Fatiha Ke Bad Ayatul Kursi Teen (3) Bar Aur Surah Ikhlas Pachis (25) Parhiye. 

Is Namaz Ki Behad Fazilat Hai. ALLAH Tabarak Wata ‘Ala Is Namaz Ke Parhne Wale Par Qayamat Ke Roz Khas Nazr E Karam Farmayega. Aur Is Namaz Ki Barkat Se Deen O Duniya Ki Bhalayi Hasil Hogi, Insha ALLAH. Yahan sone Se Pahle Ki Dua | Achi Neend Ke Liye Amal dekhiye! 

Hazrat Ali Radiallahu Anhu Farmate Hain, 

“Jo Shab E Qadr Me Isha Ki Namaz Ke Bad Saat (7) Bar Surah Qadr Parhega, Usay Har Museebat Se Nijat Milegi, Hazar Farishte Uske Liye Jannat Ki Dua Karte Hain.” 

15vi Shab Me Quran Pak Ki Tilawat, Durood-e-pak Ka Kasrat Se Wird Aur Salatul Tasbeeh Parhne Ki Bohat Fazilat Payi Jati Hai. 

Jo Shab E Qadr Me Isha Ki Namaz Ke Bad Saat (7) Bar Surah Qadr Parhega, Usay Har Museebat Se Nijat Milegi, Hazar Farishte Uske Liye Jannat Ki Dua Karte Hain. 

 

Shaban Ul Mubarak Ki Pahli Shab Ki Ibadat 

 

Maah E Shaban Ki Pahli Shab Isha Ki Namaz Ke Bad 12 Rak’at Namaz 6 Salam Ke Sath Parhiye. 

Har Rak’at Me Surah Fatiha Ke Bad Surah Ikhlas Pandra (15) Bar Parhiye. Salam Pherne Ke Bad Sattar (70) Bar Durood-e-pak Parhiye. Phir ALLAH Ta’ala Se Apne Tamam Gunaho Ki Muafi Mangiye. Insha ALLAH, Is Namaz Ki Barkat Se ALLAH Ta’ala Gunho Ki Bakhshish Farmayega Aur Jannat Me Dakhila Ata Karega. 

 

 

Shaban Ul Mubarak Ke Pahle Juma Ki Ibadat 

 

 

Shaban Ul Mubarak Ke Pahle Juma Ki Shab Isha Ki Namaz Ke Bad 8 Rak’at Namaz Ek Salam Ke Sath Parhiye. Har Rak’at Me Surah Fatiha Ke Bad Surah Ikhlas Gayara (11) Bar Parhiye. 

Aur Iska Savab Khatoon E Jannat Hazrat Fatima Radiallahu Anha Ko Bakhshiye. 

Khatoon E Jannat Farmati Hain Ke Main Hargiz Bahisht Me Qadam Na Rakhungi, Jab Tak Ke Is Namaz Ke Parhne Wale Ko Apne Hamrah Dakhil E Bahisht Na Kar Lun. 

Shaban Ul Mubarak Ke Pahle Juma Isha Ki Namaz Ke Bad 4 Rak’at Nifl Namaz Ek Salam Ke Sath Parhiye. Har Rak’at Me Surah Fatiha Ke Bad Surah Ikhlas Teen (3) Bar Parhiye. Is Namaz Ki Bohat Fazilat Hai. Ye Namaz Parhne Wale Ko ALLAH Ta’ala Ki Taraf Se Umrah Ka Savab Ata Hoga. 

Shaban Ul Mubarak Ke Pahle Juma Ki Raat Maghrib Ki Namaz Ke Bad Aur Isha Ki Namaz Se Pahle 2 Rak’at Nifl Namaz Ada Kijiye. Har Rak’at Me Surah Fatiha Ke Bad Ayatul Kursi Ek (1) Bar, Surah Ikhlas Das (10) Bar, Surah Falaq Ek (1) Bar, Surah Naas Ek (1) Bar Parhiye. Ye Namaz Taraqqi E Imaan Ke Liye Bohat Afzal Hai. 

 

 

14 Shaban Ul Mubarak Ki Ibadat 

 

 

14 Shaban Ko Maghrib Ki Namaz Ke Bad 2 Rak’at Nifl Namaz Ada Kijiye. Har Rak’at Me Surah Fatiha Ke Bad Surah Hashr Ki Aakhri Teen (3) Ayaat 1-1 Bar Aur Surah Ikhlas Teen (3) Bar Parhiye. 

Gunaho Ki Muafi Ke Liye Ye Namaz Bohat Afzal Hai. 

 

 

Dua Nisf Shaban Hindi Mein – दुआ निस्फ़ शाबान हिन्दी में 

 

 

अल्लाहुम्मा या ज़ल मन्नी वला यमुन्नू ‘अलयहि| या ज़ल जलाली वल इकराम| या ज़त्तवलि वल इन’आम| ला इलाहा इल्ला अनता ज़हरूल्लजीना| वजारूल मुसतजि-रीना| व अमानुल ख़ाइफ़ीना| अल्लाहुम्मा इन कुन्ता कतब तनी ‘इन्दका फ़ी उम्मिल किताबि शकिय्यन अव-म’हरू-मन अ-व-मतरू-दन अव-मुक़त्तरन ‘अलय्या फिर्र-रिज़्क़ि फम’हु| अल्लाहुम्मा बिफ़ज़-लिका शक़ा-वती व हिर-मानि वतर-दी वक़-तितारा रिज़्क़ी| व-असबितनी ‘इन्दका फ़ी उम्मिल किताबि स’ईदम्मर ज़ू क़म्मु फ़क़्क़न्लिल्ल ख़ैयराति| फ़-इन्नका क़ुल-ता व क़व-लुकल-हक़्क़ु| फ़ी किताबिकल मुन-ज़लि| ‘अला लिसानी नबीय्यिकल मुरसली| यम- हुल्लाहु मा-यशाऊ वयुस-बितु| व ‘इनदहू उम्मुल किताबि| इलाही बित्त-जल्लियल अ’अज़मि| फ़ी लय-लतिन निसफ़ी मिन शहरी शा’अबानल मुकर्रमि| अल्लति युफ-रक़ु फ़ीहा कुल्लु अमरिन ‘हकीमिन्व वयुब-रमु| इन तक-शिफ़ा ‘अन्ना मिनल बला-इ वल बलवा-इ मान’अ लमु वमा-लान’अ-लमु व अनता बिहि अ’अलमु| इन्नका अनतल अ ‘अज़्ज़ुल अकरमु| व सल्लल्लाहु त’आला ‘अला सय्यिदिना मुहम्मदिंव ‘अला आलिहि वसह-बिहि वसल्लम| वल ‘हम्दुलिल्लाही रब्बिल ‘आलमीन 

  

  

 

 

Sharing Is Caring:

Leave a Comment